Intezaar Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Intezaar Shayari Poetry. Feel free to add your own Intezaar Shayari Shayari here.Intezaar Shayari Collection
Intezaar Shayari is poetry on waiting for someone. Intezaar Shayari is often very sad and depressing poetry. Intezar Shayari is loved by urdu readers so we are committed to keeping our Intezaar Shayari database fresh. Read these Intezaar Poetry and send them to your friends.
Kuch Din
Intezaar Shayari
Chalo kuch din k liye dunya chor dety hain faraz
suna hai log bohat yaad kerty hai chaly jany k bahd
Beqarar tu bhi
Intezaar Shayari
kia hai tanhaiyon ne bechain mujh ko
aur beqarar tu bhi
mujhy bhi hai doston ki khwahish
akely pan ka shikar tu bhi
meri bhi ankhen hain muddat se
chokhaton peae janan
tery bhi lehjy main hasraten hain
ik sarapa intzaar tu bhi
Athrun ro ro thory reh gaye
Intezaar Shayari
Nasiban vich vichory reh gaye
athrun ro ro thory reh gaye
ik na manni onny meri
hath vi mery jory reh gaye
jandi wari chor gya menu
bhijy waal nichory reh gaye
aj vi sajan murr nai aya
motiyee de phul tory re gaye
aj te a ja wasty rab de
saa vi hun te thory reh gaye
Mohabat ka sitara
Intezaar Shayari
uski ankhon main mohabat ka sitara ho ga
ik din aye ga wo shakhs hamara ho ga
zindagi ab k mera nam na shamil karna
gar ye taeh hai k yehi khel dubara ho ga
dil main ujala sa hua jata hai achanak
dil ne chupky se tera nam pukara ho gaa
kam mushkil hai magar usy pa hi lun ga
agar sath mery wasi khuda ka sahara ho ga
Barsoon Bahd
Intezaar Shayari
yadon ka ik jhonka aya hum se milny barson bahd
pehly itna roya na thy jitna roye barson bahd
lamha lamha ghar ujra hai mushkil se ehsas hua hai
pathar aye barson pehly shishy tooty barson bahd
aj hmari khak pe dunya rony dhony bethi hai
phool hue hain itny sasty jany kesy barson bad
dastak ki umeed lagaye kab tak bethy rehty hum
kal ka wada karny waly milny aye barso bahd
Qayem hai umeed
Intezaar Shayari
Aj tk qayem hai oske loat any ki umeed
aj tak thehri hai zindagi apni jaga
lakh ye chaha k osy bhool jaun pr faraz
hosly apni jaga
bebasi apni jaga
Muddat se koi shakhs rulany nahi aya
Intezaar Shayari
mudat se koi shakhs rulany nahi aya
jalti hui ankhon ko bujhany nahi aya
kehta tha k hum sath jiyen sath maren ge
ab rooth gaye hain to manany nahi aya
Tab lout Aana
Intezaar Shayari
Us Ney Kaha Sun
Ehead Nibhaney Ki Khatir Mat Aana
Ehaed Nibhaney Waley Aksar
Majboori Ya Mahjoori Ki
Thakaan Sey Louta Kartey Hain
Tum Jaoo
Aur Dariya Dariya Piyaas Bhujaoo
Jin Aankhoon Main Dubo
Jis Dil Main Bhi Utro
Meri Talab Aawaz Na Degi
Lekin Jab Meri Chahat Aur Khuwahish Ki Lou
Itni Tez Aur Itni Oonchi Ho Jaey
Jab Dil Ro Dey
TAB LOUT AANAA
TAB LOUT AANA
Izhaar Kya Kare
Intezaar Shayari
Zakhm Itne Gehre Hai Izhaar Kya Kare
Hum Khud Nishana Bann Gaye Waar Kya Kare
Mar Gaye Hum Magar Khuli Rahi Aankhe
Ab Isse Zyada Unka Intezaar Kya Karee?
Door Nikal Saktay Thay
Intezaar Shayari
Tum Ne Chaha Hi Nahi Haalat Badal Saktay Thay
Terey Aansoo Meri Aankhoon Se Nikal Saktay Thay
Tum To Theray Rahay Jheel K Pani Ki Terhan
Derya Bantay To Bohat Door Nikal Saktay Thay
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Intezaar Shayari.