Intezaar Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Intezaar Shayari Poetry. Feel free to add your own Intezaar Shayari Shayari here.Intezaar Shayari Collection
Intezaar Shayari is poetry on waiting for someone. Intezaar Shayari is often very sad and depressing poetry. Intezar Shayari is loved by urdu readers so we are committed to keeping our Intezaar Shayari database fresh. Read these Intezaar Poetry and send them to your friends.
Mujhe Itna Pyaar Kyon Hai
Intezaar Shayari
Ek Ajnabi Se Mujhe Itna Pyaar Kyon Hai
Inkar Karne Par Chahat Ka Ikraar Kyon Hai
Use Pana Nahi Meri Taqdeer Mein Shayad
Phir Har Mod Pe Usi Ka Intezar Kyon Hai
Wafa Mein Ab Ye Hunar
Intezaar Shayari
Wafa Mein Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai
Woh Sach Kahe Na Kahe Aetbar Karna Hai
Ye Tujko Jagte Rehna Ka Shouk Kabse Hoa
Mojhe Tu Khair Tera Intezar Karna Hai
Intezaar Rehta Hai
Intezaar Shayari
Intezaar Rehta Har Shaam Tera
Yaadain Katati Hain Le-Le Kar Naam Tera
Muddat Se Baithe Hain Yeh Aas Paale
Ki Aaj Aayega Koi Paigaam Tere
Terii Mohabbat Teraa Khayaal
Intezaar Shayari
Ab Ki Baras Bhi Vo Nahin Aayaa Bahaar Men
Guzaregaa Aur Ek Baras Intazaar Men
Ye Aag Ishq Kii Hai Bujhaane Se Kyaa Bujhe
Dil Tere Bas Men Hai Na Mere Ikhtiyaar Men
Hai Tuute Dil Men Terii Mohabbat Teraa Khayaal
Khush–Rang Hai Bahaar Jo Guzarii Bahaar Men
Aansuu Nahiin Hai Aankhon Men Lekin Tere Bagair
Vo Kaanpate Huye Hain Dil-E-Beqaraar Men
A Mere Yar Lot Kar A Ja
Intezaar Shayari
A Mere Yar Lot Kar A Ja
Ajj Tere Bohat Kami Mehsos Ho Rahe Hai
Na Jane Kis Duniya Main Chala Gaya
Ajj Tere Bohat Yaad A Rahe Hai
Jab Logo Ko Baatain Kartee Dhekta Ho
Tere Baatain Yaad Ate Hai
Tere Saath Guzra Har Lamha
Majhey Tarppata Hai
Ek Hi Sacha Dost Mila Tha
Na Jane Wo Bhi Kaha Chala Gaya Hai
Ek Tu Hi Tha Jis Se Apni Dil Ki Har Baat Kartee Tha
Ab Kis Se Apna Dil Ki Baatain Kare Gai Tu Hi Nehi Hai
Jab Bhi Tanha Hote Tha Tum Se Baat Kar Leta Tha
Ajj Tum Nehi Ho As Liye Bus Ab Apni Tanhaiyo Se Baatain Kartee Hai
Tumhre Saath Guzra Har Waqt
Ab Bohat Yaad Ata Hai
Dost Tu Bohat Mila Tha As Zindagi Main
Per Ajj Tak Kio Dost Tere Jasa Na Mila Hai
Dil Ki Nazro Se Bohat Dhooda
Per Tere Jasa Dost Dhoodna Se Bhi Na Mila Hai
Naseeb Se Ek Dost Mila Tha
Badnaseebi Se Wo Bhi Majhe Se Bichar Gaya Hai
Yaroo Sab Hath Utha Kar Duwa Karoo Wo Lot Kar A Jaye
Ajj Us Ki Yaado Main Aso A Rahe Hai
Kuch To Jadu Tha Us Main Tanish
Jo Us Ki Baatain Ajj Bhi Yaad Ate Hai
Izhaar Kiya Karte Hai
Intezaar Shayari
Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hai
Diwane Hi To Hai Hum Tere
Jo Har Waqt Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hai
Dil Beqaraar Apna Hai
Intezaar Shayari
Tu Paas Bhi Ho Tu Dil Beqaraar Apna Hai
K Ham Ko Tera Nahi Intezar Aapna Hai
Woh Dur Ho Tu Baja Terk-E-Dosti Ka Khiyal
Woh Saamnay Ho Tu Kab Ikhtiyaar Apna Hai
Zamanay Bher K Dukhon Ko Laga Liya Dil Se
Is Aasray Pe K Aik Ghamgusaar Apna Hai
Milay Koi Bhi Tera Ziker Chair Daitay Hain
K Jaisay Saara Jahan Raazdaar Apna Hai
Doob Rahi Hain Saansain
Intezaar Shayari
Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai
Muddat Hoee Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai
Wo Saayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai
Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb He Rakhna
Biphri Hoee Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai
Tumharey He Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai
Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhain
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai
Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai
Tere Firak Ke Lamhe
Intezaar Shayari
Tere Firak Ke Lamhe Shumar Kerte Howe
Bekhar Gaye Tera Intazar Kerte Howe
To Main Bhi Khush Hoon Koi Us Say Jake Keh Day
Agar Woh Khush Hai Mujhe Bekarar Kerte Howe
Main Muskarata Howa Ainay Main Ubher Aonga
Woh Roo Paregi Achanak Singhar Kerte Howe
Tumhe Khaber Hi Nahi Koi Toot Gaya
Mohabbaton Ko Bohat Paidar Kerte Howe
Woh Keh Rahi Thi Samander Nahi Hain Ankhain Hain
Main Un Main Doob Gaya Aitebar Kerte Howe
Mujhe Khaber Thi Ke Abh Loot Ker Na Aooga
Tujh Ko Yaad Kiya Der Paar Kerte Howe
Koii Pukaar Rahaa Thaa
Intezaar Shayari
Zahanaton Ko Kahan Karb Se Farar Mila
Jise Nigaah Milii Usako Intazaar Mila
Vo Koii Raah Kaa Patthar Ho Yaa Hasiin Manzar
Jahan Se Raastaa Thaharaa Vahiin Mazaar Mila
Koii Pukaar Rahaa Thaa Khulii Fizaaon Se
Nazar Uthaaii To Chaaro Taraf Hisaar Milaa
Har Ek Saans Na Jaane Thii Justajuu Kis Kii
Har Ek Dayaar Musaafir Ko Bedayaar Milaa
Ye Shahar Hai Ki Numaish Lagii Huii Hai Koii
Jo Aadamii Bhii Milaa Banake Ishtahar Milaa
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Intezaar Shayari.