Intezaar Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Intezaar Shayari Poetry. Feel free to add your own Intezaar Shayari Shayari here.

Intezaar Shayari Collection

Intezaar Shayari is poetry on waiting for someone. Intezaar Shayari is often very sad and depressing poetry. Intezar Shayari is loved by urdu readers so we are committed to keeping our Intezaar Shayari database fresh. Read these Intezaar Poetry and send them to your friends.



Intizar kesa hai

Intezaar Shayari

Yakeen hai ke na aye ga mujhse milne koi
Tou phir yeh dil ko mere intizar kesa hai



Naadani ki hadd hai

Intezaar Shayari

Naadani ki hadd hai jara dekho to unhe…..
Mujhe kho kar wo mere jaisa dhoondh rahe hai….



Kitni talabgar hu teri

Intezaar Shayari

Tum ko malum b hai kitne talabgar hu teri
Poch un farishto se jo roz likhty hai duyain meri or Naam teRa…!!!



koi muntazir hai uska

Intezaar Shayari

koi muntazir hai uska kitni shiddat se….
wo janti hai par ANJAAN bani rehti hai….



nahi ho sakte kabhi tum humare

Intezaar Shayari

Jaante the keh nahi ho sakte kabhi Tum Humare,
Phir bhi Khuda se Tujhe maangne ki aadat ho gayee,
Paiman-e-wafaa kya hai Hume kya maloom,
Ke bewafaaon se dil lagane ki aadat ho gayee…..



Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai

Intezaar Shayari

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai
na jaane kiska isay intezaar rehta hai

Wo duur ho ke bhi rehta hai saat-saat meray
meray khayal ke rath par sawar rehta hai

Kaha tha ishq na karna kisi se dil mairay
junoo mein khud pay kaha ikhteyaar rehta hai

Udaasi jeel sii ankhon say jab tapakti hai
kinaray aab kohi sogwar rehta hai

Ye dil darakta hai bas teri chaap ke sadqay
mareez-e-shab ko tera intezaar rehta hai

Kabhi to khul kay baras ja meri zameenon pay
ke dasht-e-hijr mein haar suu ghubaar rehta hai

Tu mujh Ebad ko izn-e-beyaan ataa kar day
Ke baat karnay ko dil beqaraar rehta hai



Kaisa hai woh

Intezaar Shayari

Khirrkiyan kis tarha ki hain, aur dar kaisa hai wo
Sochta hun jis mein wo rehta hai, ghar kaisa hai wo

Kaisi wo aab_o_hawa hai jis mein wo leta hai saans
Aata jata hai wo jis per, rah_guzer kaisa hai wo

Kaun see rangat k hain us k zameen_o_aasman
Chaon hai jis ki yahan tak, shajar kaisa hai wo

Main to us k ek ek lamhay ka rakhta hun shumaar
Aur meray haal_e_dil say kaisa bekhabar hai wo

Us ka hona he bohat hai, wo kahin hai to sahe
Kaya sarokaar us say hai mujh ko, kaisa hai wo…. .



Ehad nibhaane kii khaatir mat aanaa

Intezaar Shayari

us ne kahaa sun
ahad nibhaane kii Khaatir mat aanaa
ahad nibhaanevaale aksar majabuurii yaa
mahajuurii kii thakan se lauTaa karate hain
tum jaao aur dariyaa dariyaa pyaas bujhaao
jin aaNkhon mein Duubo
jis dil mein bhii utaro
merii talab aavaaz na degii
lekin jab merii chaahat aur merii Khvaahish kii lau
itanii tez aur itanii uuNchii ho jaaye
jab dil rode
tab lauT aana



Intizar

Intezaar Shayari


unka waada hai ke wo laut aayenge
isi ummeed par ham jeeye jayenge

yeh intezaar bhi unhi ki tarah pyara hai
kar rahe the kar rahe hein aur kiye jayenge



Andheron Main

Intezaar Shayari

Hum to moujood thy andheron main ujalon ki tarha

tum ne chaha hi nahi chahny walon ki tarha


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Intezaar Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari