Intezaar Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Intezaar Shayari Poetry. Feel free to add your own Intezaar Shayari Shayari here.Intezaar Shayari Collection
Intezaar Shayari is poetry on waiting for someone. Intezaar Shayari is often very sad and depressing poetry. Intezar Shayari is loved by urdu readers so we are committed to keeping our Intezaar Shayari database fresh. Read these Intezaar Poetry and send them to your friends.
Marne ke baad
Intezaar Shayari
Marne Ke Baad Bhi Meri Aankheh Khuli Rahi
Aadat Hi Parrh gayi Thi inne Intehzaar Ki
Mera Talabgaar
Intezaar Shayari
Safar mohabt ka dushwar kitna hai
Magr dekhna hai k koi wafadar kitna hai
Yahi soch k usay kabi manga nahi maine
Usay prakhna hay k wo mera talbgar kitna hai
Ik Baar Aa Jao
Intezaar Shayari
Sadiyon Sey Jagi Ankhon Ko Eik Bar Sulaney Ajao,
Mana Key Tum Ko Pyaar Nahin Nafrat Hi Jataney Ajao,
Jis Mor Pey Hum Ko Chor Gaye Hum Bethey Ab Tak Soch Rahey,
Kya Bhool Hoi Kyun Juda Hoye Bus Yeh Samjhaney Ajao,
Her Lamha Teri Furqat Main Hum Tarap Rahey Hum Tras Rahey,
Meri Mano Tum Is Dil Ko Kuch Pal Hi Behlaney Ajao….
Raat ka Aalam
Intezaar Shayari
Phir Muqaddar Ki Lakeeron Main Likh Dia Intezar,
Phir Wohi Raat Ka Aalam Aur Main Tanha Tanha…
Usay Kehna
Intezaar Shayari
Qasid Paigham-e-Shoq Ko Na Kar Taveel Itna
Bus Mukhtasir Unsey Kehna K Aankhien Taras Gay’in
Tera Intzaar
Intezaar Shayari
Tere Firak Ke Lamhe Shumar Kerte Howe
Bekhar Gaye Tera Intazar Kerte Howe
To Main Bhi Khush Hoon Koi Us Say Jake Keh Day
Agar Woh Khush Hai Mujhe Bekarar Kerte Howe
Main Muskarata Howa Ainay Main Ubher Aonga
Woh Roo Paregi Achanak Singhar Kerte Howe
Tumhe Khaber Hi Nahi Koi Toot Gaya
Mohabbaton Ko Bohat Paidar Kerte Howe
Woh Keh Rahi Thi Samander Nahi Hain Ankhain Hain
Main Un Main Doob Gaya Aitebar Kerte Howe
Mujhe Khaber Thi Ke Abh Loot Ker Na Aooga
Tujh Ko Yaad Kiya Der Paar Kerte Howe
Masroof Boht hai
Intezaar Shayari
Dil ki shikayat dosto
Intezaar Shayari
Mitt gai barbadi e dil ki shikayat dosto,
Ab gulistan rakh lia hay main nay wiranay ka naam…
Ussi ka naam
Intezaar Shayari
Abhi Tak Saada Rakha Hai Yeh Kaaghaz Apni Chaahat ka
Munaasib Jab bhi Samjhein Gey koi Paighaam likh dein gey
Koi Paighaam kya Likhna hai Ik chotey se Kaaghaz par
Jisey Ham Chahtey hain Bus Ussi ka Naam Likh dein gey
Intezaar jaari rahay
Intezaar Shayari
Gali mein paon ki manoos ahatoun ki sada
Hui hai dar pe jo makhsoos hath ki dastak
K jaisay a hi gaya ho wo jis ne aana tha
Magar jo dekhta hon khol kar mein darwaza
Tou meri aankhon ko kuch bhi nazar nahi aata
Main sochta hun k ye intezaar jaari rahay………
Agar milaap k dhagon ne hum ko jor diya
Agar visaal k phoolon ko main ne choom liya
Agar firaq ki raaton ko mein ne chor diya
Main intezaar ki khushboo ko bhool jaon ga
Main sochta hun k ye intezaar jaari rahay………
Jo meri aankh ki gehraiyon mein jhaank sakay
Jo meray hath ki tehreer se shinasa ho
Wo jis ke zehn ka saya bhi mera apna ho
Wo jis ki subh bhi meri ho shaam bhi meri
Main intezaar usi aadmi ka karta hun
Jo meri soch ki galiyon mein roshni kar de
Jo meray dekhnay ka daira wasee kar de
Jo roz dil k kiwaron mein a k jhaankti ho
Jo meri shab k piyolon mein roshni bhar de
Main intezaar usi roshni ka karta hun……….
Wo jis ki chaon ki khushboo mein tu mila tha mujhe
Wohi udaas shajar teri raah dekhta hai
Wo waqaiya jo meri yaad ka sawaira hai
Wo waqt jab k mein teray hi paas rehta tha
Main intezaar usi zindagi ka karta hun………..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Intezaar Shayari.