Faiz Ahmad Faiz

Ranjish.com has lots of Urdu Faiz Ahmad Faiz Poetry. Feel free to add your own Faiz Ahmad Faiz Shayari here.

Faiz Ahmad Faiz Collection

Faiz Ahmad Faiz Faiz Ahmad Faiz
1911-1984

Faiz Ahmad Faiz (فیض احمد فیض) was an influential intellectual and a revolutionary poet. His poetry has been translated in to several languages including English and Russian.
Faiz Ahmed Faiz also appeared in some tv shows. He published eight books and all of them were sold in huge numbers. Faiz Ahmad Faiz also worked for British Indian Army but later submitted his resignation in 1947. He died in 1984, but still remains in the hearts of literature admirers.
Ranjish.com is the best place to read all Faiz Ahmad Faiz Poetry.



raat yuun dil main teri khoyi hui yaad ayi..

Faiz Ahmad Faiz

raat yuun dil main teri khoyi hui yaad aayi
jaise viraane main chupke se bahaar aa jaye..



Aur bhi dukh hain zamane main..

Faiz Ahmad Faiz

Aur bhi dukh hain zamane main mohabbat ke siwa,
Rahatain aur bhi hain vasl ki rahat ke siwa..



Tumhari yaad ke jab zakham bharne lagte hain..

Faiz Ahmad Faiz

Tumhari yaad ke jab zakham bharne lagte hain,
Kisi bahaane tumhen yaad karne lagte hain..



Meri khamoshiyon main larzaan hain..

Faiz Ahmad Faiz

Meri khamoshiyon main larzaan hain
Mere naalon ki gum-shuda awaz



Bahaar ayi to jese yak-baar..

Faiz Ahmad Faiz

Bahaar ayi to jese yak-baar
laut aye hain phir adam se
woh khawb sare shabaab sare
jo tere honton pe mar-mitte thay
jo mitt ke har baar phir jiye thay
nikhar gaye hain gulab sare
jo teri yadon se mushkbu hain
jo tere ushaaq ka lahu hain
ubal parre hain azaab sare
malaal-e-ahval-e-dostan bhi
khumar-e-aghosh-e-mah-vashan bhi
ghubar-e-khatir ke baad sare
tere hamare
sawal sare jawab sare
bahar ayi to khul gaye hain
naye siray se hisab sare..

بہار آئی تو جیسے یک بار



Nahin nigah main manzil to justuju hi sahi..

Faiz Ahmad Faiz

Nahin nigah main manzil to justuju hi sahi,
Nahin visaal muyassar to arzuu hi sahi..



Ik tarz-e-taghaful hai so woh un ko mubarak..

Faiz Ahmad Faiz

Ik tarz-e-taghaful hai so woh un ko mubarak,
Ik arz-e-tamanna hai so hum karte rahen ge..



Hum pr tumhari chaah ka ilzaam hi to hai..

Faiz Ahmad Faiz

Hum pr tumhari chaah ka ilzaam hi to hai,
Dushnaam to nahin hai yeh ikraam hi to hai,

Karte hain jis pe taan koi jurm to nahin,
Shauq-e-fazool o ulfat-e-nakaam hi to hai,

Dil muddayi ke harf-e-malamat se shaad hai,
Ae jan-e-jan yeh harf tera naam hi to hai,

Dil naaUmeed to nahin nakaam hi to hai,
Lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai,

Dast-e-falak main gardish-e-taqdeer to nahin,
Dast-e-falak main gardish-e-ayaam hi to hai,

Akhir to ek roz karegi nazar wafa,
Woh yar-e-khush-khisal sar-e-baam hi to hai,

Bheegi hai raat faiz ghazal ibtidaa karo,
Waqt-e-sarod dard ka hangaam hi to hai..

ہم پر تمہاری چاہ کا الزام ہی تو ہے - فیض احمد فیض



Phir hareef-e-bahaar ho bethe..

Faiz Ahmad Faiz

Sari Duniya Se Door Ho Bethe

Phir hareef-e-bahaar ho bethe,
Jaane kis kis ko aaj ro bethe,

Thi magar itni raayegan bhi na thi,
Aaj kuch zindagi se kho bethe,

Tere dar tak pohanch ke laut aaye,
Ishq ki aabruu dubo bethe,

Sari duniya se duur ho jaye,
Jo zara tere paas ho bethe,

Na gayi teri berukhi na gayi,
Hum teri aarzuu bhi kho bethe,

Faiz hota rahe jo hona hai,
Sher likhte raha karo bethe..

Phir hareef-e-bahar ho bethe - Faiz Ahmad Faiz



Tu naya hai to dikha subh nayi, shaam nayi..

Faiz Ahmad Faiz

in ankhon ne dekhe hain naye saal kayi

Tu naya hai to dikha subh nayi, shaam nayi,
Warna in aankhon ne dekhe hain naye saal kayi..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Faiz Ahmad Faiz.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari