Aansoo Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Aansoo Shayari Poetry. Feel free to add your own Aansoo Shayari Shayari here.

Aansoo Shayari Collection

Aansoo means Tears, So this is another unhappy form of Urdu poetry. Aansoo shayari is loved by people who are depressed and are in tears. Aansoo shayari is a popular topic in urdu poetry.



Talkh itni thi ke peenay se zubaan jalti thi..

Aansoo Shayari

Talkh itni thi ke peenay se zubaan jalti thi,
Zindagi aankh ke paani mein mila li mene..



Mere haal pe yeh hairat kesi..

Aansoo Shayari

Mere haal pe yeh hairat kesi, dard ka tanha mausam main,
Pathar bhi ro parttey hain, insaan to phir insaan huaa..



Uss waqat se darta hoon ke woh puch na ley..

Aansoo Shayari

Main to uss waqat se darta hoon ke woh puch na ley,
Yeh agar zabt ka aansuu hai to tapkaa kaisey ??



Paaney se khoney ka mazaa aur hai..

Aansoo Shayari

Paaney se khoney ka mazaa aur hai,
Band aankhon se roney ka mazaa aur hai..



Guzray lamhaat ki yaadon ne rulaaya us ko..

Aansoo Shayari

Guzray lamhaat ki yaadon ne rulaaya us ko,
Chaand ko dekhne wo shakhs jo chhat par nikla..



Kaha tha na usey mat zabt karna..

Aansoo Shayari

Kaha tha na usey mat zabt karna,
Woh aansuu ab samandar ho geya naa..



Woh humain jab tak nazar aata raha..

Aansoo Shayari

Woh humain jab tak nazar aata raha taktey rahe,
Geeli aankhon, ukhrrey lafzon se duaa dete huye..



Awaaz main thehraao tha aankhon main nami thi..

Aansoo Shayari

Awaaz main thehraao tha aankhon main nami thi,
Aur keh rahe they maine sab kuch bhulaa diya..



Sabab roney ka woh poochain to itna kehna..

Aansoo Shayari

Sabab roney ka woh poochain to itna kehna Qasid,
Mujhe hansna nahin ata jahan par tum nahin hote..



Ghar ki taameer chahey jesi ho..

Aansoo Shayari

Ghar ki taameer chahey jesi ho,
Uss main roney ki kuch jaghaa rakhna..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Aansoo Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari