Aansoo Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Aansoo Shayari Poetry. Feel free to add your own Aansoo Shayari Shayari here.

Aansoo Shayari Collection

Aansoo means Tears, So this is another unhappy form of Urdu poetry. Aansoo shayari is loved by people who are depressed and are in tears. Aansoo shayari is a popular topic in urdu poetry.



Chalo us sheher jatay hain. . !

Aansoo Shayari

Chalo us sheher jatay hain. . !
Chalo taqdeer ko phir aazmatay hain
Chalo hum rait se peero’n k ja kar naqsh chuntay hain
hawao’n per likhi sargoshi’on ko aaj sunty hain
Chalo palko’n se, neelay aur sunehray reshmi se khuwab bunty hain
hatheli per kisi ne likh diya tah lams honto’n ka
Aur aankhon k dareecho’n mein adhoora khuwab rakha tha
Sama’at an-chooi si aahato’n ki zadd mein hai shayad
Jabhi to dharkanain chup hain, jabhi to sa’atain chup hain

Chalo us sheher jatay hain

Jahan per wasl ko zanjeer se bandha nahi jata
Jahan tadbeer ko tadeer se bandha nahi jata
Ma’ni ko jahan tehreer se bandha nahi jata
Jahan dil ko kisi jageer se bandha nahi jata
jahan per chaand, taaro’n se mazayyan raat hoti hai
jahan per chahato’n ki har taraf barsaat hoti hai
Muhabbat ki jahan per jeet hoti hai
Jahan per dil k saray dushmano’n ko maat hoti hai
Chalo us sheher jatay hain. . !



Chaha hai tujh ko tery taghaful k bawajood. . !

Aansoo Shayari

Chaha hai tujh ko tery taghaful k bawajood. . !
Ae zindagi tu yaad karay gi kabhi humain. . !



Muhabbat Saneha Kar De. . . !

Aansoo Shayari

Hamaray darmian qayam hai jo
Is rabt ko kia naam do gay tum?

Zara socho!

Azal se hi zamana chahat’on k dard se na-aashna thehra
Lughat mein iski khushbu sa koi bhi lafz
Shamil hi nahi jana
Ye jab chahay milan k rung mein
Aa kar judai ghol deta hai
Ujalay ko ye jab chahay siyah kar de
Sitar’on ko fana kar de
Muhabbat Saneha Kar De. . !



Sun key mujh sey fasana-e-gham-e-dil!

Aansoo Shayari

Sun key mujh sey fasan-e-gham-e-dil!
Aap bhi gham zada na ho jana..



Na kisi ki aankh ka noor hoon..

Aansoo Shayari

Na kisi ki aankh ka noor hoon, na kisi ke dil ka qaraar hoon,
Kisi bhi kaam mein jo na aa sake mein woh musht-e-ghubaar hoon..



Guftugu kejiye k ye fitrat-e-insan hai. .

Aansoo Shayari

Guftugu kejiye k ye fitrat-e-insan hai ‘Shakeb’
Jaalay lag jatay hain jab band makaan hota hai. . !



Meri Rooh Ki Haqeeqat Mery Aansuo’n Se Pooch!

Aansoo Shayari

Meri rooh ki haqeeqat mery aansuo’n se pooch!
Mera majlisi tabassum mera tarjumaa’n nahi’n hai. .



Muddat K Baad. . !

Aansoo Shayari

Muddat k baad azn-e-tabassum mila magar. .
Wo bhi kuch aisa talkh k aansu nikal parray. .



Khud Ko Kho Raha Hoon!

Aansoo Shayari

Mein takiye per sitaray bo raha hoon. .
Janam din hai, Akela ro raha hoon. .

Kisi ne jhank kar dekha na dil mein. .
K mein ander se kaisa ho raha hoon. .

Jo dil per daagh hain pichli ruto’n kay. .
Unhein ab aansuo’n se dho raha hoon. .

Sabhi parchaai’an hain saath lekin. .
Bhari mehfil mein tanha ho raha hoon. .

Mujhy in nisbato’n se kon samjha?
Mein rishtay mein kisi ka jo raha hoon. .

Mein chonk uthta hoon aksar baithay baithay. .
K jaisay jagtay mein so raha hoon. .

Kisay paanay ki khuwahish hai k ‘Sajid’
Mein rafta rafta khud ko kho raha hoon. . !



Kabhi Tu Ne Bhi Socha Hai K Ye Pyaas Hai To Kyun Hai?

Aansoo Shayari

Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai?
Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai?

Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam
Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai?

Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein
Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai?

Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera
Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai?

Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain
K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai?

Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar
Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai?

Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’
Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ?


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Aansoo Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari