Aansoo Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Aansoo Shayari Poetry. Feel free to add your own Aansoo Shayari Shayari here.

Aansoo Shayari Collection

Aansoo means Tears, So this is another unhappy form of Urdu poetry. Aansoo shayari is loved by people who are depressed and are in tears. Aansoo shayari is a popular topic in urdu poetry.



Kitni be’sabar zaroorat thi ke us ke ghar..

Aansoo Shayari

Kitni be’sabar zaroorat thi ke us ke ghar ke log,
Bech aye hain shajjar kaat ke phall se pehle..



Apni mohabbat pe nidaamat si hui..

Aansoo Shayari

Sach kahoon apni mohabbat pe nidaamat si hui,
Jab bhi dekhi teri utri hui surat meine..

(nidaamat;guiltiness)



Yeh din to qayamat ki tarah guzra hai..

Aansoo Shayari

Saif yeh din to qayamat ki tarah guzra hai,
Jane kya baat thi, har baat pe rona aaya..



Kam Khatey Hain, Kam Sotey Hain..

Aansoo Shayari

Kam Khatey Hain, Kam Sotey Hain,
Bohat Zeyada Hum Rotey Hain 🙁



Zikr chairr dete hain jab gaye zamanon ka..

Aansoo Shayari

Zikr chairr dete hain jab gaye zamanon ka,
Woh bhi roney lagte hain, hum bhi roney lagte hain..



Doobte chand pe royi hain hazaron aankhain..

Aansoo Shayari

Doobte chand pe royi hain hazaron aankhain,
Main to roya bhi nahi, tum ko hansi kyun aayi?



Sabab har aik mujh se poochta hai mere ronay ka..

Aansoo Shayari

Sabab har aik mujh se poochta hai mere ronay ka,
Elaahi saari dunya ko mein kese raazdaa’n kar loon..



Yeh shararat bhara lehjaa to meri aadat hai

Aansoo Shayari

Yeh shararat bhara lehjaa to meri aadat hai,
Tu har ik baat pe yu’n nam na kiya kar aankhain..



Yeh kis maqaam pe le aaye hain tujhe halaat

Aansoo Shayari

Yeh kis maqaam pe le aaye hain tujhe halaat,
Ke teri aankh bhi pur’nam dikhayi deti hai..



Rote hain kitabon mein chupa kar chehre

Aansoo Shayari

Jin ke honton pe tarb-khezz hansi hoti hai,
Woh bhi rote hain kitabon mein chupa kar chehre..

(tarb-khezz;fake)


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Aansoo Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari