Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Bachpan Ke Dukh

Ghazal Shayari

?”Bachpan Ke Dukh Bi Kitne Ache The,
Tab To Sirf Khilone Tuta Karte The,

Wo Khushiyan Bi Na Jane Kaise Khushiyan Thi,
Titli Ko Pakad Ke Uchhla Karte The,

Paoon Maar Ke Khud Barish Ke Pani Mae,
Apna Aap Bhigoya Karte The,

Ab To Ek Aansu Bi Rusva Kar Jata Hai,
Bachpan Mein Dil Khol Ke Roya Karte The”



Roz-O-Shab

Ghazal Shayari

Nigaah-E-Shoq Say Hum Nay Tumhain Ek Bar Dekha Tha,
Koi Jazba Tha Pehli Baar Jisay Be-Daar Dekha Tha,

Wo Jis K Hont Per Her Dam Saji Muskan Rehti Thi,
Na Janay Kyon Usay Main Nay Bara Bezaar Dekha Tha,

Roz-O-Shab Badalnay Main Bhala Kya Dair Lagti Ha,
Jo Takht-O-Taaj Rakhtay Thay Unhain La-Chaar Dekha Tha,

Hum Apnay Dost Dushman Ki Khabar Jo Rakh Nahi Paye
Usi Nay Waar Ker Dala Jisay Gham-Khwaar Dekha Tha….!



Sar-e-Reh-Guzar

Ghazal Shayari

Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai
Meray Charo’n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai

Mera Dard Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho’n K Azaab Say
Meray Shair Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai

Jo Hai Ta’ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee’n
Mujhay Jaan Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai

Mai Lahoo Jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo’n Warq Warq
Hai Qalam Ki Nauk Say Mukhtasar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai

Mai Peher Ki Tapti Hawao’n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar
Sar-e-Reh-Guzar Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai



Na Chaah Kar Bhi

Ghazal Shayari

Hoon To Khafa Us SE,
Per Janay Phir B Kiyn…?

Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…

Haqeeqat Se Hoon Dhoor,
Ye Mujh Ko Hai Pata…

Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…

Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…
Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…

Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga…

Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai….!!



Shikwa Nahi Mujhe

Ghazal Shayari

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!



Saaz-e-dil

Ghazal Shayari

Ik jabar hay ab ehsaas-e-wafa bhe, ye dil me bansana theek nahi
ab saaz-e-dil afsurda per, is geet ko gana theek nahi

Tum bhool chukay ye sub behtar, Tum chor chaly ye aur Achaa
khowabon mein magar majboron ke, ye aana jana theek nahi

Keh do k nahi hum mil saktay, keh do k koe majbori hay
laikin ye labon tak la la kar, baaton ko chupana theek nahi

Ay shooq-e-juno ab baaz bhe aa, kuch maan bhe lay tu mera kaha
jo jaan k bhe anjaan bane, gham usko sunana theek nahi

ab chor bhe do deewana pan, ab bhool bhe jao maazi ko
ay shams ye pal pal khilwat me, ashkon ka bahana theek nahi.



Bijliiyaan aksar vo giraate rahe

Ghazal Shayari

Bijliiyaan aksar vo giraate rahe
Aashiyaane hum bhi banaate rahe

Kitni mujhko aap se umeede thi
Kitnaa aap mujh ko rulaate rahe

Dekhta raha main ek phool ko
Khayaal mujhko aapke aate rahe

Aapke dil ko Khuda humne kaha
Aap mere dil ko dukhaate rahe

Kaati is tarah se humne zindagi
Diye jalaa-jalaa ke bhujhaate rahe

Hum bhi sun ke an-suni karte rahe
Samjhaane waale humko samjhaate rahe

Dil gawaya barson pehle ishq mein
Jaan se bhi aaj hum jaate rahe

Duniya deewana kahegi
Yuh hi agar share hum sunaate raheā€¦



Khokhla jazba

Ghazal Shayari

MOHABBAT JHOOT LAGTI HAI MUJE
IK KHOKHALA JAZBA

JISE IZHAR KI HER WAQT KHAWAISH HO
KAHE JANE KI,SUNNE KI

JISE HER PAL ZAROORAT HO
“MUJE TUM SE MOHABBAT HAI”

NA JANE ROZ KITNE LOG
IS JUMLE KO SUNNE K LIYE BEDAR HOTE HAIN

YE AISA JHOOT HAI JIS KA SEHER
SADION SE TAARI HAI
MAGAR JANAN!!!

MOHABBAT JAB KABHI IZHAR KO TARSE
KOI TUM SE AGAR KEH DE

“MUJE TUM SE MOHABBAT HAI”
TO US KI BAAT MAT SUNNA

MOHABBAT ROOH SE PHOOTE

MOHABBAT AKS BAN JAYE

TO PHIR TUM KO YAQEEN AAYE
K MAIN NE SACH KAHA TUM SE

MOHABBAT ROOH BAN JAYE
TO PHIR IS KA YAQEEN KERNA

WERNA IK JUMLA KOI KITNI BAR DHURAYE
KAHE JAYE
NAHI SUNNA

MOHABBAT JHOOT HAI JANAN!!!
AGAR IZHAR KI IS KO ZAROORAT HO



Khamosh zuban

Ghazal Shayari

Phir pyar kise tum kehte ho?

Khamosh zuban k lafzo mein,
Kuch poshida si baatein hain,

In poshida si baaton mein,
Kuch chahat ki barsaten hain,

Kuch paaye bina kuch khoo dena,
Ye pyar mein hum ne seekha hai,

Suraj mein chand sitaron me,
Har shey me tumhi ko dekha hai,

Dharkan me bhi naghma ban ke,
Sagar ki tarha tum behty ho,

Ye pyar nahi to tum hi kaho,
Phir pyar kise tum kehte ho.



Aisi Be-Rukhi

Ghazal Shayari

Gham e Aashqi Se keh Do Rah e Aam tak na Pahunche,
Uthey Har Nigaah Lekin Koi Baam tak Na Pahunchey,

Main Nazar Sey Pi Raha tha to Ye Dil ne Bad-Dua di,
Uthey har Nigaah Lekin Koi Jaam tak Na Pahunchey,

Yeh Adaaye Be-Niyaazi Tujhe Be Wafaa Mubarak,
Mgar Aisi Be-Rukhi Kya k Salaam Tak Na Phunche,


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari