Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Meri ankhon mein khawb sajaney aye

Ghazal Shayari

Meri ankhon mein naye khawb sajaney aye
Phir se jugno mere kamrey ko jaganey aye

Ik muddat se yehi khawish mere dil mein hai
Teri khushboo meri sanson mein samaney aye

Tu kisi roz mere naam ka aanchal oorhey
Tu kisi roz mera sath nibhaney aye

Aao taameer karain pyar ka ik taj mahal
Iss se pehle ke hijar humain rulaney aye

Beth jata hoon mein har roz sar-e-rahguzar
Jane kis lamhey koi mujh ko mananey aye



Mujhko ruswa sarr e mehfil

Ghazal Shayari

Mujhko ruswa sarr e mehfil to na kerwaya kery
kaash aansu meri aankh mai hi reh jaya kery

Ae hawa mane to bs uska pta pucha tha
Ab kahani to na hr baat ki bn jaya kery

Bus boht dekh liye khawab suhaany din k
Ab wo baton ki rafaqat se na behlaya kery

Ik Museebat to nahi tooti hai so is dil par
Jis qayamat ne guzrna hai guzar jaya kery

Jis k khawabon ko mai aankhon mai saja ker rakhun
Uski khushbu kbhi mujhko bhi to mehkaya kery



Mera bachpan Laa de

Ghazal Shayari

Koi mujhko mera bharpoor saraapa ladey
Mere baazoo meri aankhen mera chehra la dey

Aisa dariya jo kisi aur samandar mai girey
Is se behter hai ke mujhko mera sehra la dey

Kuchh nahee chahiye tujh se meri ai umr-e-rawan
Mera bachpan mere jugnoo meri gudia laa dey

Jiski aankhen mujhe ander se bhi padh sakti hon
Koi chehra to mere sheher mai aisa la dey

Kishti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se
Ai Khuda ab to dubo dey ya kinara la dey



Udaas Mousam

Ghazal Shayari

mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna
jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna

jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain
magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna

jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina
jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna

yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain
jab inn ki yakh bas’tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna

tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say
jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna



Doob k jana hai

Ghazal Shayari

masoom mhbbat ka bs itna sa fasana hai
kaghaz ki haweli hai barish ka zamana hai

kia shart-e mhbbt hai,kia shart-e zamana hai
awaz b zakhmi hai or geet b gana hai

us par utarny ki umeed bht km hai
kashti b purani hai,tufaan ko b ana hai

samjhy ya na samjhy,andaz mhbbt ka
ik shakhs ko aankhon se ek shair sunana hai

bholi c ada koi phr ishq ki zid pr hai
PHR AAG KA DARYA HAI OR DOOB KR JANA HAI!



Dil ki tanhayiyon se zindagi ke raaste

Ghazal Shayari

Dil ki tanhayiyon se zindagi ke raaste nahin kat te,
tumhare bina hamari tanha raatein nahin kat te.

Tumne to apne dil ko rakh diya hai us shaher mein,
Jiske raaste hamari manzil tak nahin pahonjhte.

Apne dil ke raaston ko aise band mat karo,
kyunki usi ki raah se hamari bhi saansein hai guzarte.

Itna rooth kar kaha jaaoge humse,
Aap ke raaste to hamari hi manzil par aaker rukte.



Adayen Kb bdalti hain

Ghazal Shayari

“Wafaa k Qaid Khano Mein
Sazayen kab Badalti Hain

Badalta Dil ka Mosam Hai
Hawayen kab badalti Hain

Libada Aurrh kr Gham ka
Nikal jate Hain Sehra ko

Jawab Aye k Na Aye
Aadayen kab Badalti Hain

Koi pa kr Nibhata Hai
Koi kho kr Nibhata Hai

Naye Andaaz Hote Hain
Wafayen Kab Badalti Hain !!



Ghairat-e-jazbaat

Ghazal Shayari

Ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diya
Warna kyaa baat thi kis baat ne rone na diya

Yaar ko maine ne mujhe yaar ne sone na diya
Raat bhar taal-e-beedar ne sone na diya

Aap kehte the ke rone se na badlenge naseeb
Umr bhar aapki is baat ne rone na diya

Ek shab bulbul-e-betaab ke jaage na naseeb
Pehlu-e-gul ne kabhi khaar ne sone na diya

Unse milkar hamen rona thaa bahut rona thaa
Tang e waqt-e-mulaakat ne rone na diya

Raat bhar ki di le betaab ne baaten mujhse
Ranj-o-mehnat ki giraftaar ne sone na diya

Rone waalon se kaho unka bhee rona rolen
Jinko majboor e haalaat ne rone na diya.



Baat batlao

Ghazal Shayari

Abhi to bat lamhon tak hai sadiyon tak nahi i,
Abhi muskan ki nobat bhi honton tak nahi i,

Abhi tak koi majboori khayalon tak nahi i,
Abhi to gard pairon tak hai baalon tak nahi i,

Kaho to laut jatey hain!
Tumhara sath gar mil jaye

To zamane se ulajhna baat hi kia hai?
Agar tum chhor do mujh ko meri auqat hi kia hai?

Mere barey mein na socho!
Tum apni baat batlao,

Kaho to chaltey rehtey hain!
Kaho to lot jate hain…..



Tum Mere ho

Ghazal Shayari

Koi Ghazal Suna Ker Kya Karna,
Yoon baat barrha Ker Kya Karna….?

Tum Mere Thay Tum Mere ho,
Duniya Ko bata Kar Kya Kerna…?

Tum Ehad Nibhao Chaahat Say,
Koi Rasm Nibha Kar Kya Karna…?

Tum Khafa bhi Achay Lagtay ho,
Phir Tum Ko Mana Kar Kya Karna….?

Tere Dar Pe Aa K bethay hain,
Ab Ghar bhi Ja Ker Kya Karna..?

Din Yaad Se Acha Guzray Ga,
Phir Tum Ko bhula Ker Kya Karna….?


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari