Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Mohabbat ka bharam hota

Ghazal Shayari

Mohabat ka Bharam Hota, to Phir kuch Soch kar Jaty,
Wagarna Zindagi Ban k Mery Hamdam Guzar Jaty,

Thaky Hary Prindon Ko Jo Dekha to Khayal Aaya,
Koi Jo muntazir hota tu hum bhi apny ghar jaty,

Main kha kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hon,
ye thokar jo tumhain lagti,tu tum khud bhi bikhar jaty,

Is TANHAi ka hum pe bara Ahsan hai
“ROGI”
Na daiti sath ye apna tu jany hum kidhar jaty.



Yeh pal pal ka chalna, Fasila khatam na karega

Ghazal Shayari

Yeh pal pal ka chalna, fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho, tumhe woh kal na milega!

Yeh koi gaata hai, ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho, tumhe alag khuda na milega!

Yeh guzarti hui raat hai, ya nikalti hui sehar,
Tum kitna bhi chaho, tumhe humsafar na milega!

Yeh Baarish ki boondein hain, ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho, inhe thaamne wala na milega!

Yeh dil ke tukde hain, ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho, tumhe marham na milega!

Yeh dil mein armaan hain ya sulagte hue sholey,
Tum kitna bhi chaho, tumhe sehra mein paani na milega!

Yeh kaisi uljhan ban gayee hai, dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho, tumhe sukoon na milega!!



Khud se bohat khafa hoon mein, Khud se bohat juda tha mein

Ghazal Shayari

Khud se bohat khafa hoon mein, khud se bohat juda tha mein
Dekha nahin ke kya hoon mein, socha nahin ke kya tha mein

Toot geya bikhar gaya, apne liye tou mar geya hoon mein
Teri taraf tha gaamzan, khud se katta howa tha mein

Kijiye mulahiza zara, daftar maah-o-saal dil
Mera aseer tha yeh dil, is mein parra howa tha mein

Yaad na asakon tou bol, Zang para dareecha khol
Teri gali mein kon tha, Tere labon per kya tha mein

Dekha gali mein kon hai, koi nahin hai, aahatein
Sunta hoon chand saal pehle khud se bichar gaya tha mein

Shikwa karoon to kya karon, Ranj karon tou kiska
Kon samajh saka mujhe, Kis ko smajh saka tha mein

Tu bhi khabar ki leher mein behta chala geya naveed
Tere liye tou theek tha mein, Apne liye bura tha mein



Kon sa shakhs mere dheyan mein hai

Ghazal Shayari

Rang o khushbu ke darmeyan mein hai
Kon sa shakhs mere dheyan mein hai

Kal bhi tha nasha-e-khudi us ko
Aaj bhi dil usi gumaan mein hai

Ho sake tou yeh ghaur tum bhi karo
Koi tanha bharey jahaan mein hai

Tujh pe hai dhoop chaaon ka mausam
Tere shayar bhi imtihaan mein hai

Khawb hain phool hain woh ankhen hain
Ik tasalssal sa dastaan mein hai

Haadsa jo na ho saka hai abhi
Gardish e wakt ki amaan mein hai

Mein nibhaon ga sarey ehad zeya
Jab talak meri jaan, jaan mein hai



Bhoonchaal ko roka nahi jata

Ghazal Shayari

Zulmat Ko Ghata Kehne Se Khatra Nahi Jata
Deewar Se Bhoonchal Ko Roka Nahi Jata

Zaato’n K Tarazu Mein Azmat Nahi Tulti
Feetey Se Tou Kirdaar Ko Napa Nahi Jata

Darya K Kinary Tou Pohanch Jaty Hyn Pyaase
Pyaaso’n K Ghar Ko Kabhi Darya Nahu Jata

Wapis Nahi Hona Hy Tou Paao’n Hii Kata Do
Iss Morr Se Aage Koi Rasta Nahi Jata

ALLAH Jise Chahe Usay Deta Hy Sab Kuch
Izzat Ko Dukaano’n Se Khareeda Nahi Jata … !



Jab tera hukam mila, Tark muhabbat kardi

Ghazal Shayari

Jab Tera Hukam Mila,Tark Muhabbat Kar Di,
Dil Mgr Is Py Wo Dharka K Qyaamat Kar Di

Maine Socha Tha K Lot Atay Hain Janay Walay,
Tunay Ja Kar To Judaai Meri Qismat Kar Di

Kis Tarha tujh Se Mai Izhaar e Tamanna Karta?
Lafz Soojhay to Ma,ani Ne Bhaghaawat Kar Di

Ab To Dushman k Iraadon Pe b Pyaar Ata Hai,
Teri Ulfat Ne Muhabbat Meri Aadat Kar Di…



Bhula diya tou kabhi yaad bhi na aaon ga

Ghazal Shayari

Hina ka rang hoon mein hathon per tou aaon ga
Utar gaya tou mehek apni chorr jaaon ga

Ghazal ka sher hoon dil ki kitaab mein likh lo
Bhula diya tou kabhi yaad bhi na aaon ga

Tera hi ashk hoon rok loon mujh ko
Mein aik din teri palkon pe jagmgaaon ga

Khaloos-e-dil se agar sada di kisi ne mujhe
Gayi bahaar ki tarah phir laut aaon ga



Mere wajood ki jaagir isne maangi hai

Ghazal Shayari

Mere wajood ki jaagir isne maangi hai
ajab khuab ki taabir isne maangi hai

iski kaid men rehti hun mai pehle bhi?
naa jaane kiu zanzeer isne maangi hai

gumaan hota hai bool sakta hai mujhe
kiuki aaj meri tasweer isne maangi hai

mere khuda mujhe iske naseeb men likh de
ke mujhse meri hi taqdeer isne maangi hai..



Tootey dil ki raam kahani, mat poocho

Ghazal Shayari

Tootey dil ki raam kahani, mat poocho
Kon tha raja kon thi raani, mat poocho

Tanha tanha, chupke chupke rote hain
Pathar se kab phoota paani, mat poocho

Jab tak chaho tum bhi dera daal raho
Naam pata aur koi nishani, mat poocho

Lehje ki taseer ka yaaro kya kehna
Lafzon ki badmast rawaani, mat poocho

Sara kaleja katt jaye ga yaar nabeel
Ehad junoon ki baat purani, mat poocho



Taweel hijr ka haasil hai, Aik lamha wisaal

Ghazal Shayari

Agar yeh raat na apne diye bichaya kare
Tou kese koi apne hisab-e-gham bakaya kare

Woh aik akss guma hai woh mujhse door rahe
Woh khawb hai tou meri ankh mein na aya kare

Unhe kaho humain bechargi ki huu hai magar
Hamare zarf ko itna na azmaaya kare

Taweel hijr ka haasil hai, aik lamha wasal
Tou koi iska bhi ehsaan kya uthaya kare

Kabhi tou ho ke hamari khamosh goyi
Samaaton mein sadaa ban ke phel jaya kare

Koi tou shab e hijar se akar kahe khalid
Rahe rahe magar itna na sir uthaya kare


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari