Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra

Ghazal Shayari

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Jallay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Maira Chehra
Woh Tairay Hijar Kay Din woh Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Maira Chehra
Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath
SadaTairi Talaash,Zamanay, Hawa, Maira Chehra
Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Maira Chehra
Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Maira Chehra
Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoe Tairi Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Maira Chehra
Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Maira Chehra
Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi Keh Maira Chehra
Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi “Mohsin”
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Maira Chehra ?



Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta

Ghazal Shayari

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta
Phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta

Yak tarfa takazay to nibae nhai jate
Kuch apne faraaiz ki bhi tameel wo karta,

Ilzamm lagata wo bare sho se par,
Kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta,

Kuch us ko bi ehsas to hota tanhai ka,
Kuch khuwab mere khud me tabdeel wo karta..



Is Qadar Badla Zamana, Log Shashdar Reh Gaye

Ghazal Shayari

Dour-e-Gul Rukhsat Hua, Hathon Me Pathar Reh Gaye
Is Qadar Badla Zmana, Log Shashdar Reh Gaye

Hm Bhala Kis Se Kahein Mehrumion Ki Dastan?
Tishna Lub Hm Hi Nahi, Pyasy Smundr Reh Gye

Zeest Ki Sachaiyon Ka Zehr Pi Jany K Baad
Talkhion K Zaiqy Meri Zubaan Pr Reh Gye

Jany Kesy Log Thay Jo Naqsh-e-Daaim ban Gye
Aankh Se Ojhal Huay Pr, Dil K Andar Reh Gye

Haadson Ne Is Qadar Sb Se Gureizaan Kr Dia
Tujh Se Kya, Hm Khud Se B Aksar Ulajh Kr Reh Gaye..!



Milte milte adhoori khushi reh gayi

Ghazal Shayari

Milte milte adhoori khushi reh gayi
Meri ankhon mein thori nami reh gayi

Hont darya ke sookhey reh gaye
Tishna lab chal diya, Tishnagi reh gayi

Kon sunta bhala us ki awaaz ko
Charon janib hawa cheekhti reh gayi

Phir makanon ke malbey mein sab dher they
Jab khuli ankh tou bass khuli reh gayi

Jese mein us ke khawbon ki tabeer hoon
Us ne dekha mujhe dekhti reh gayi

Dhoop ne chutkiyaan ke tou kuch bhi na tha
Apne jugnu ko woh sochti reh gayi



Wo mehfilain kahan gaeen wo bazmain kahan gaeen

Ghazal Shayari

Wo mehfilain kahan gaeen wo bazmain kahan gaeen
Ta-umar sath denay ki rasmain kahan gaeen

Do qadam sath chal k ker laitay hein kinara
Ik sath jeenay marnay ki qasmain kahan gaeen

Aata hay yad mujh ko us ka lagatar dekhna
Jo jhapki kabhi na theen wo palkain kahan gaeen

Sookhi patton ki tarah bikhar jati hein ulfatain
Jo pakti theen piyar mein wo faslain kahan gaeen

Bujh jatay hein aik jhonkay say jhooti chahat k charagh
Jo jalti theen aandhiyon mein wo sham\’ain kahan gaeen

Na milna ho to aajkal so so bahanay hein
Jo kachy ghary pe hoti theen wo mulaqatain kahan gaeen

Hay be wafaai her su aur ja baja hay bay rukhi
Jo theen wafa ki paiker wo soortain kahan gaeen

Uski sitamgaryon k ab jari hein silsilay
Jp mangain Azmi k wastay wo duaaen kahan gaeen.

Nauman Azmi



Tumhaara sath mil jaaye to sub dukh bhool jaon gi

Ghazal Shayari

Tumhara saath mil jaye to sab dukh bhool jaaon gi
Woh kehti thi ke har soorat tumhein apna banaon gi
Nichaawar khwaab ker doon gi tumharay her ishaaray per
Kabhi peepal ki chaaon men kabhi nadya kinaray per
Tumhen thandak ata ker don gi ik barsaat ki maanand
Bikharte chaand jharnon men ujalti raat ki maanand
Mujhay tum se muhabbat he men logon ko bataon gi
Woh kehti thi k her soorat tumhein apna banaon gi
Mein chahon gi tumhein jaana umangon se ujaalon tak
Khudi k dasht se lay ker naye janmoon k saalon tak
Meri thandi si tanhaai sulagti raat jaisi ho
Mujhay bas saath lay jaao bhalay baraat jesi ho
Tumharay surkh jooray main hi dulhan ban k aaon gi
Woh kehti thi k her soorat tumhein apna banaon gi…!



Woh meri rooh ko shaadaab karta rahta tha

Ghazal Shayari

Woh meri rooh ko shaadaab karta rahta tha
Main un dinoN safar E khaab karta rahta tha

Bas eik zikr tera tha jo gaah gaah mujhay
Aseer E halqaa E ahbaab karta rahta tha

Use to zakhm-rutaiN dekhne ki aadat thi
MaiN chaaraa-jooyii ke asbab karta rahta tha

Hum ek ghar ke liye khaar, aur hakim e shahr
Shumar E gumbad O mehraab karta rahta tha

Usay khabar thi K maiN paar utar hi jaauNga
So, kashtiyaaN meri Gharqaab karta rahta tha



Daaman-e-koh k Manzar-e-khaab mein

Ghazal Shayari

Titliyaan, Konplain, Rung-o-Boo Or Tu,
Chaandni, Shaaeri Or Saboo Or Tu..

Daaman-e-koh k Manzar-e-khaab Mein,
Roshni ho Meray Chaarsoo Or Tu..

Sandli Sandli khaamshi Or Mein,
Makhmali Makhmali Guftgoo Or Tu..

Es Taraf Ishq ki Tashnagi Or Mein,
Us Taraf Husn ki Aab-e-Joo Or Tu..

Jis Taraf Dekhay aur kuch Bhi Nhin,
Sirf Main Or Main, Sirf Tu Or Tu..



Kal halki halki barish thi, Sard hawa ka raqs bhi tha

Ghazal Shayari

Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha

Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha

Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay

Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay

Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin

Kal yaad bohut tum aye thay
Kal yaad bohut tum aye thay …



Zindagi men do lahza koi mere pass na betha

Ghazal Shayari

Zindagi men do lahza koi mere pass na betha,
Aaj sab mere pas bethe ja rahe the.

Koi Tohfa na mila aaj tak mujhe,
Aur aaj phool hee phool diye ja rahe the.

Taras gaya mn kisi k hath se Diye ek kapde ko,
Aur aaj nae nae kapde Orhaae ja rahe the.

Do Qadam sath na chalne wale,
Aaj Qafla bana kar chale ja rahe the…

Aaj pata chala k Mout itni haseen hoti he,
Aur hum to yunhi Jiye Ja rahe the…


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari