Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Jab mein rooth jaaun to Phool le ke aaye

Ghazal Shayari

Jab men rooth jaaun to Phool le k aae
Ulti seedhi batein kr k Mjhe Hansaye
Me jis k lye pura Sajaaun khud ko
Or jab wo dekhe to bas dekhti jaye
Palken num hojaen agr Meri
Wo Pyar ki Barish Mujh pe Barsaye
Jo neend roth jae Ankho se meri
Koi to ho Jo band Palkon ko Choom kr
Baahon mei le k pyar se Sulaye
‘KASH’ Koi to hoJis pe Me Haq se Haq jataoun
Jo sirf Meri or Bas Meri hi reh Jaye!



Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat wasi

Ghazal Shayari

Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat “wasi”
ab to urooj pe puhanchi hai uski zaat “wasi”

wahi wady hain aur rasmon ki zanjiren baqi
kab badalti hain zamany ki riwayat “wasi”

aik wo din thy k ek dosry ko sochty thy hum
ab milty nahi dono k khayalat “wasi”

meri her subha ka aghaz tery naam se ho
teri yadon mai kati meri her aik raat “wasi”

tum kahan aur mery piyar ka miyar kahan
wo kitni sadgi se ker gaya ye baat “wasi



Koyee had nahi hai kamaal ki

Ghazal Shayari

Koyee had nahi hai kamaal ki
Koyee had nahi hai jamaal ki

Wahi qurb O door ki manzileN
Wahi sham khaab O khyaal ki

Na mujhe hi uska pata koyee
Na use khabar mere haal ki

Ye jawaab meri sada ka hai
K sada hai uske sawaal ki

Wo qayamateN jo guzar gayeeN
ThiN amanaten kayee saal ki

Ye namaaz E asr ka waqt hai
Ye ghari hai din k zawaal ki

Hai MONIR subh E safar nayee
Gayee baat shab k malaal ki..



Tujh ko teri nazroun main hi gira doun mai

Ghazal Shayari

Youn hi sochta hoon main aksar
Tujhey kis tarhaan saza doun main

Teri arzoo karun aur phir
tera khayal tak bhulla doun main

Tujh ko khuwaboun main apney bula kar
apni raatein sabhi jala doun main

Teri manzil ko guloun sey saja kar
rah main kaantey bicha doun main

Ya teri zeest ka har ik pehloo
bhooli hui dastaan bana doun main

Tu jo chahey ussey main pa loun
tu jo paa ley ussey mita doun main

Ya tujhey iss tarhaan sey chahoun key
tujh ko teri nazroun main hi gira doun main……!



Tum jo hastey ho to phoolon ki ada lagte ho

Ghazal Shayari

Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho

Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho

Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho

Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho

Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho



Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota

Ghazal Shayari

Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota
Magar hadsha judai ka ghamon se kam nahin hota

Koi jugnu koi tara kahin se dhond kar lao
Gharon ko phoonk dene se andhera kam nahin hota

Mohabbat karne waley tou hamesha sath rehta hain
Mohabbat mein judai ka koi mausam nahin hota

Mujhe chor kar khud bhi sari umar tum tarpey ho
Koi aesi saza dete tumhe tou gham nahin hota

Zameen walo se yeh keh kar dhal geya sooraj
Ujala baant dene se ujala kam nahin hota



Chalo aao Mohabbat ki Nae Bunyaad Rakhty hain

Ghazal Shayari

Chalo aao Mohabbat ki Nae Bunyaad Rakhty hain
Khud Paaband Rehty Hain Usay Aazad Rakhty hain

Humary Khoon Mei Rab Ne Yehi Taseer Rakhi hy
Buraai Bhool Jaty Hain Achai Yaad Rakhty hain

Mohabbt Mei Kahin Humse Gustakhi na Ho jaye
Hum Apna har Qadam us k Qadam k Baad Rakhty hain



Mohabbat kerny walo ko koi rasta nahi deta

Ghazal Shayari

Mohabbat kerny walon ko koee rasta nahi deta,
Zameen waqif nahi banti ,falak saya nahi deta,

Udasi jis k dil mein ho usi ki neend urrti hae,
kisi ko apni aankhon ka koee sapna nahi deta,

Khushi or dukh k mosam sab k apny apny hoty haen,
Kisi ko apny hissey ka koee lamha nahi deta,

Uthana khud hi parrta hae thaka toota badan apna,
K jab tak saans chalti hae ,koee kandha nahi deta.



Bohat gumaan tha mausam shanaas honey ka

Ghazal Shayari

Bohat gumaan tha mausam shanas honey ka
Wohi bahana bana hai udaas honey ka

Badan ko garh liya zakham ke gulabon se
Tu shok pura kar khush libas honey ka

Fiza mehkne lage roshni jhalakne lage
To yeh nishan hai tere aas pass honey ka

Gulon ke beech woh chehra khila, to har titli
Tamasha karne lagi, bad hawas honey ka

Usy bhi shok tha bewajah dil dukhaney ka
So hum ne khel rachaya udaas honey ka

Naye safar pe rawana tou hum bhi ho jate
Bas intizar tha mausam ke raas hone ka

(Khush Libas:Well Suited)(Bad Hawas:Confused)(Rawana:Depart)(Raas:Compatible)



Mohabbat ki hadhon se door jana chahta hai dil

Ghazal Shayari

Mohabbat ki hadhon se door jana chahta hia dil
Kisi andher nagri mein thikana chahta hai dil

Dharkne se kabhi baghi, kabhi be-dharak dharka hai
Dharakne se mukarnay ka bahana chahta hai dil

Tera milna bhi junoon ka sunehri daur tha lekin
Zara is se bhi pehle ka zamana chahta hai dil

Yeh kesa ishq hai chand aansuyon, aahon ke badle
Meri har saans pe hi haq jatana chahta hai dil

Bhale Rustam mujhe ko zamana be-wafa kahe
Per ab ronay per tere, muskurana chahta hai dil

(Nagri:Town)(Mukarnay:Skip)(Daur:Time)(Aahon:Sigh)


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari