Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Tujhy Khabr thi

Ghazal Shayari

Tere Firaaq k lamhe shumar karte hoye,
Bikhar gaye hain Tera Intizaar karte hoye

To Mai b Khush hoon koi us se ja k keh de,
Agar wo Khush hai Mujhe Be-Qarar karte hoye

Mai Muskurata hua Aaine mai ubhrunga,
Wo Ro parega Achanak Singhaar karte hoye

Tujhe Khabar hi nahi Toot gaya hai koi,
Mohabbat ko boht Paaidar karte hoye

Wo Keh rahi thi Samandar nahin hai Aankhon mai,
Mai un mai Doob gaya Aitbaar karte hoye



Lout Aao

Ghazal Shayari

Usay kehna
kitaaboN meiN rakhay sookhay hoye kuch phool
Us kay lout aanay ka yaqeeN ab tak dilaatay haiN

Usay kehna
kay uski jheel si aankhaiN kisi manzar par chaa jaeN
To sab manzar yohiN phir bheeg jatay haiN

Usay kehna
kay thandi baraf par koi kisi kay saath chalta hai
tou Qadmon kay nishaaN phir say usi kay
loat aanay kay nishaaN dil par banaatay haiN

Usay kehna
kay uski bheeghi aankhoN ka
wo aansoo Sitaaray ki taraH ab bhi hamaiN
shab bhar jaghaata hai

Usay kehna
kay baarish khirkiyoN pay us kay
aansu paint karti hai Usi ka naam likhti hai

Usay hi gungunaati hai Usay kehna
kay khushbu ‘chaandni
‘taaray ‘ saba ‘ rastay ‘ ghata ‘ kaajal ‘
Muhabbat ‘ chaandni ‘shabnam ‘ hawaiN ‘
raat din ‘ baadal Sabhi naraaz haiN
hum say

Usay kehna
judai kay darakhtoN par jo sookhi tehniyaN haiN
Wo saary baraf ki chaadar main
kab ki dhak chuki haiN Aur un shaakhoN
pay yaadoN kay Jo patay thay sunehry ho gaye haiN

Usay kehna
december so gaya hai
Aur yakh basta wo bheegy January
phir lout aaey hai Usay kehna kay lout aaey.. usy kehna K …. ab Lout aye



Ghazal Shayari

Uss k nazdek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahi
Mutmain aise hai wo jaise hova kuch bhi nahi

Ab to hathon se lakirain bhi miti jati hain
Uss ko kho k to mere pass raha kuch bhi nahi

Char Din reh gaye Mailey k magar ab k bhi
Usny aany k liye khatt mai likha kuch bhi nahi

Kal bicharna hai to phir ehd-e-wafa soch k bandh
Abhi aghaz-e-mohabbat hai gya kuch bhi nahi

Main to iss waste chup hon k tamasha na bane
Tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahi

Aye Shumaar ankhen issi tarah bichaye rakhna
Jane kis waqt aa jaye pata kuch bhi nahi



Woh Humsafa tha

Ghazal Shayari

Tark e taulaqaat? pe, Roya na tu na mein,
Lakin yeh kya keh chain se soya na tu, na mein

Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi
keh dhoop chaaon ka alam raha,judaai na thi

Kuch iss adaa se aj wo pehlu nasheen rahy,
Jab tak hmary paas rahy , hum nahi rahy

Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha
Shiikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi

Adawatein thin,taghaful tha,ranjishein thin
Bicharhnay walay main sab kuch tha,bewafaayi na thi

Bicharhtay waqt un aankhon main thi humari ghazal
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi

Kabhi yeh haal keh donon main yakdili thi bohat
Kabhi yeh marhala jaisay keh aashnayi na thi



Tery Shehr k log

Ghazal Shayari

Sach kahon ga to saza dain gy tery shehr k log..
Mujko sooli pr charha dain gy tery shehr k log..

Baton Baton mein tera zikr krain gy mujh sy..
Is trha zakhmon ko hawa dain gy tery shehr k log..

Aik diwar gira doon bhi to aye jan e ghazal..
Nai diwar utha dain gy tery shehr k log..

Main ny sadion mein hunsny ka saliqa sikha..
Kiya khabar thi rula dain gy tery shehr k log..

Main to shama hoon meri umar hi kiya hai..
Subha hoty hi bujha dain gy tery shehr k log..



UsKo Bhool Kar Khush Hoon

Ghazal Shayari

Haqeeqat Hay,Yaqeen Kar Lo,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Muhabbat Mar Chuki Ab To,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Badalti Rutt Ki Wajah Se, Zra Bojhal Tabiyat Hay
Yun Mera Haal Mat Poocho,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Mery Lehjay Pa Mat Chonko,Meri Aankhon Mein Mat Jhanko
Yun Hairat Se Na Dekho tm,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Tumhein Kya Weham Hay Kiun Raat Bhar Milnay Nahi Aatin
Aey Meri Neend Ki Pariyoon,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Udasi Saray Ghar Mein Pahilti Jati Hay Gham Ban Kar
Dar O Deewar Pe Likh Do,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon…



Ik Kashmakash

Ghazal Shayari

Kabhi Tairi Rafaaqat Sey Nikalna Hi Nahin Mumkin
Kabhi Daaman Chura Laina Bohat Asaan Lagta Hey

Kabhi Tum Rothtey Ho To Ajab Mushkil C Parti Hey,
Kabhi Tujhko Mana Laina Bohat Asaan Lagta Hey

Kabhi Samjha Karo Kuch Faisley Halaat Kartey Hain,
Kabhi Waaday Nibha Laina Bohat Asaan Lagta Hey

Kabhi Kuch Din Tumharey Bin Guzertey Hi Nahin Laikin
Kabhi Muddat Bita Daina Bohat Asaan Lagta Hey..



Mery Sath Na Chall

Ghazal Shayari

Tu Kisi Or Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal !

Pehele Haq Tha Teri Chahat K Chaman Per Mera !
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-E-Badan Per Mera !

Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi !
Main Tere Gesu-O-Rukhsar Ka Haqdar Nahi !

Ab Kisi Or K Shano Pe Hai Tera Aanchal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal ……. !

Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basao(n) Kaise ?
Main Teri Maang Sitaro(n) Se Sajao(n) Kaise ?

Meri Qismat Mein Nahi Pyaar Ki Khushbu Shaiyad !
Mere Haatho(n) Ki Lakeeron Mein Nahi TU Shaiyad !

Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal …… !

Mujh se Kehtein Hein Ye Khamosh Nigahein Teri !
Meri Parvaaz Se Oonchi Hein Pnaahein Teri !

Or Gairat-E-Ehsaas Pe Sharminda Hun !
Ab Kisi Or Ki Baho(n) Mein Hein Bahein Teri !

Ab Kahaan Mera Thikana Hai Kahaan Tera Mehal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal ……. !



Ye Kashmakash

Ghazal Shayari

Kuch log sitam karne ko taiyar baithe hain,
Kuch log mager Hum pe dil haar baithe hain,

Is kashmakash mein Humse pehchane nahi jate,
Kahaan dushman hain aur, kahan dost yaar baithe hain,

Ishq ko aag ka dariya hai samajh lijiye hazoor,
Koi uss paar baitha hai tu, Hum is paar baithe hain,

Kaun kehta hai ke is shehar mein saare hain bewafa,
Humare samne do chaar wafadar baithe hain,

Kal tak jin ki hasrat thi Humien badnaam karne ki,
Aaj wohi log Apne kiye pe sharamsaar baithe hain,

Duniyaa se rooth jane ki khwahish hai Humari,
Kya karoon is khwahish pe pehredaar baithe hain.



Mohabbat roz bikti hai

Ghazal Shayari

Naseehat roz bikti hy aqeedat roz bikti hy
Tmhary sheher mein logo’n mohabbat roz bikti hy

Ameer-e-sheher k darr ka abhi mohtaj hy mazhab
Abhi mulla k fatwo’n mein shariyat roz bikti hy

Humary khuun ko bhi wo baich daale ga
Khareedaro’n k jhurmat mein adalat roz bikti hy

Najane kia lutf milta hy un ko roz bikne mein
Tawaif ki terha qayadat roz bikti hy

Kabhi masjid k mimbar pr kabhi hujrey mein chup chup k
Mere waa’ez k lehje mein qayamat roz bikti hy

Barii la’chaar hyn jabeenei’n inn ghareebo’n ki
K majbuuri ki mandii mein ibaadat roz bikti hy… !


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari