Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Rootha huwa

Ghazal Shayari

Aaj Rootha huwa ek dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya
Meri aankho ke her ek ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh Roye tu bohot yaad aaya
Jo mere Dard Ko seene main chupa laita tha…
…aj jab Dard huwa mujh Ko bohot yaad aaya…



Kya Rakha Hy

Ghazal Shayari

Mere Be-Rabt khayalat Mai Kya Rakha Hy,
Mai To Pagal Hon Meri Baat Mai Kya Rakha Hy,

Baandh Rakha Hai Teri Yaad Ne Maazi Se Mujhe,
Warna Guzrey Howey Lamhaat Mai Kya Rakha Hy,

Tu Jo Mil Jaye To Or KHUDA Se Kiya Mangon,
Tu Alag Ho To Meri Zaat Mai Kya Rakha Hy



Apne angan main

Ghazal Shayari

Apne ehsas kay sab rang uttar janay do
Meri umeed meray khawab bikhar janay do…

Apne angan main charaghon ko jalao na abi,
Meray angan main siya raat utar janay do…

Bari mushkil se mila hai muje mere ghar ka pata
Rassto ab na uljhao muje gher janay do…

Jin kay aane ka bohat shor phaila tha her soo,
Inhi lamhon ko chup chap guzar janay do…

Meri berbadi ka ilzam na aye kahin tum per,
Meray halat ko khuch or bigar janay do.



Jab Tera Dard

Ghazal Shayari

Jab Tera Dard Merey Saath Wafa Karta Hai?..!!!
Ek Samunder Sa Meri AankhoOn Say Baha Karta Hai..!!

Uski Baatain Mujhey KhushboO ki Tarah Lagti Hain….
PhoOl Jaisey Koi Sehraa Main Khila Karta Hai…!!

Mere Dost Ki Pehchan Yehi Kaafi Hai……………
Woh Har Ek Shakhs KoO Danista Khafa Rakhta Hai…!!

Aur koi Sabab us ki Muhabbat ka Nahi???..
Baat itni si Hai k woh Mujh Sey Jafa karta Hai……!!!

Jab khiz’aan aye Toa Lo’ut Aaye Ga Wo Bhi
WoH BaharoOn Main Zara kam Hi Mila Karta Hai…!



Zindagi ki talash

Ghazal Shayari

Mujhe aansuaon ki talab nahi,
Mujhe zindagi ki talash hai
Jise Dhoond kar bhi na pa saki
Mujhe phir uski talash hai,
?
…Mujhe Dushmanon main na dhoondna
Mujhe doston main talashna,
Main Mohabbaton ki Aseer hon
Mujhe Muhabbat ki talaash hai
Meri Rah-E-Azm-E-Talaash Main,
Koi Zindagi ka Rafeeq ho,
Koi Ansuaon ka Charagh De
Mujhe Roshni ki talaash hai
Me Bulandio ki Zameer hon
Me Rafaqaton ki Pazir hon
Mujhe Nafraton ki Zameen per
Mohabbaton ki talaaaaash hai



Ulfat Ka Naam

Ghazal Shayari

Ulfat Ka Jab Kisine Liya Naam Ro Pade,
Apni Wafa Ka Soch Ke Anjaam Ro Pade,

Har Shaam Ye Sawal Mohabbat Se Kya Mila,
Har Shaam Ye Jawab Ke Har Shaam Ro Pade,

Raah-E-Wafa Mein Humko Khushi Ki Talash Thi,
Do Gaam Hi Cahle The Ke Har Gaam Ro Pade,

Rona Naseeb Mein Hai To Auron Se Kya Gila,
Apne Hi Sar Liya Koi Ilzaam Ro Pade…



Woh Janti Thi

Ghazal Shayari

Woh Janti Thi Wafaa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabaton Main Sabar Ka Samar Nahi Hota
Woh Janti Thi
Muhabat Dukhon Ka Sehraa Hay
Jehan Serab Si Khushyan Hain
…Aur Azaab Say Ghum
Jehan Hay Pyaas Judaai Ki Betahasha Magar
Milan Ki Barishain Hoti Hain Jis Dyar Main Kam
Woh Janti Thi
Muhabat Khiraj Mangti Hay
Woh Jis Ko Dil Ka Lahoo Day Kay Jagmagaya ho
Andheri Rah Kay Lya Woh Chiragh Mangti Hay
Woh Janti Thi
Muhabat Woh Rehguzar Hay Jehan
Bichay Hain Kaanch Judai Kay Beshumar magar
Brehna-pa hi Inhain Paar Kerna Perta Hay
Ghemon Ki Dhoop Main Jab Saibaan Koi Na Ho
Kisi Ki Yaad Ki Chader Ko Taan Ker Khud Per
Tamam Aahain Deba Ker Guzerna Perta Hay
Woh Janti Thi Wafa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabaton Main Saber Ka Samer Nahi Hota
Hijer Ki Rah Main Hoti Hay Betahashah ghutan
Wehan Kebhi Bhi hawa Ka Guzer Nahi Hota
Woh Janti Thi Magar Phir Bhi Roag Lay Bethi
Kisi Kay Pyar Main Janay Kun Joag Lay Bethi
Woh Janti Thi Magr Phir Bhi.
**** PYAAR KER BETHEE ****



Pyaar ki barsaat

Ghazal Shayari

~Kab hui pyaar ki barsaat hmen yad nahe,
khof mai dobi wo mulaqat hmen yad nahe.
~hum to madhosh thy kuch itna uski chahat mai,
us ny kb chorr dya sath yad nahe,
~zindagi jabr-e-masalsal ki trah kati hai,
…jany kis jurm ki pai saza yad nahe,
~mai ny palkon se dar-e-yar py dastak di hai,
mai wo sahil hon jisy koi sada yad nahe,

~Aao 1 Sajda kren aalam-e-madhoshi mai ,
log kehty hain Sager ko KHUDA yad nahe.



Masoom bachpan ko

Ghazal Shayari

chalo phir dhoond laayn ham
usi masoom bachpan ko
usi masoom khushiyon ko
usi rangeen lamhon ko
jahan gham ka pata na tha
…jahan dukh ki samjh na thi
jahan bas muskuraahat thi
baharen hi baharen then
k jab saawan barsta tha
to us kagaz ki kashti ko
banana or dabo dena
buhat acha sa lagta tha
or is duniya ka har cehra
buhat sacha sa lagta tha

CHALO PHIR DHOOND LAAEN HAM
USI MASOOM BACHPAN KO



Ajab khwab

Ghazal Shayari

Mairay wajood ke jageer us ne mangi hai

Ajab khwab ke tabeer us ne maangi hai

Us ke qaid main rahti hoon main pahlay bhe

Na janay phir keon zanjeer us ne mangi hai

Gumaan hota hai wo bhool sakta hai mujhay

Keon k aj mairy tasveer us ne mangi hai

Mairay Khuda mujhay us k naseeb main likh de

Keh mujh se mairy taqdeer us ne mangi hai?


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari