Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Phir pyar kise tum kehte ho

Ghazal Shayari

Phir pyar kise tum kehte ho?

Khamosh zuban k lafzo mein,
Kuch poshida si baatein hain,

In poshida si baaton mein,
Kuch chahat ki barsaten hain,

In baton ko hum muddat se,
Seeny me chupa k bethe hain,

Kuch paaye bina kuch khoo dena,
Ye pyar mein hum ne seekha hai,

Suraj mein chand sitaron me,
Har shey me tumhi ko dekha hai,

Dharkan me bhi naghma ban ke,
Sagar ki tarha tum behty ho,

Ye pyar nahi to tum hi kaho,
Phir pyar kise tum kehte ho.



Mohabbaton Main

Ghazal Shayari

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain
Khafa Hoon Jin Se Unhi K Khayal Hote Hain.
Machalte Rehte Hain Zehnon Main Waswason Ki Tarhan
Haseen Loog Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hain
Main Dil K Zakhm Chupaon Teri Tarhan Kaise
…K Tere Paas To Lafzon K Jaal Hote Hain
Bas Ek Tu Hi Sabab To Nahin Udaasi Ka
Tarhan Tarhan K Dilon Ko Malaal Hote Hain
Siyah Raat Main Jalte Hain Jugnuon Ki Tarhan
Dilon K Zakham Bhi Kitne Kamaal Hote Hain.



Mujhy kya hoa

Ghazal Shayari

Mujhy kya hoa yeh aaj kal,
Kuch ajeeb sa mera haal hai.
Mujhy zindagi bhi aziz hai,
Mujhy moot ka bhi khayal hai.
Tou milla tou ban gya ajnabi,
Mujhy phir bhi koi gilla nahi.
Teri berukhi bhi kamaal hai,
Mera hosla bhi kamal hai.
Tery paas jitnay sawal thy,
Mery pass un k jawab thy.
Tou jawab jis ka na day saka
Wohi lab py mery sawal tha.
Mery yaar baat zara si yeh,
Kabhi aaj tak na tou samjh saka.
Jahan hon shakook uroj per,
Wahin chahatoon pe ZAWAAL hai…



Wo aksar kahti thi.

Ghazal Shayari

Wo aksar mujh se kahti thi.
Wafa he zat AURAT ke. .

Magar jo mard hoty hain
bohat be dard hoty hain.

kisi bhanware ki surat
Gul ki khushbu lot jate hain. .
plat k phir na aate hain

SUNO!!!

Tm ko KASAM he meri,
Rewayat tor dana tum,

na tanha choor k jana
na ye dil tor ke jana

MAGAR phir yun huwa hamdam.
Mujy Anjan rasty par

Akela chor kar usne,
mera dil tor kr usne

MUHABAT chor de usny,.,

WAFA HE ZAT AURAT KE RAWAYT TOR DE US NE. . .



Mujhay TumSe Mohabbat Thi

Ghazal Shayari

Mujhay Tum Se Mohabbat Thi
Main Ab Iqraar Karta Hoon
Bahut Pehlay Jo Karna Tha
Woh Ab Izhaar Karta Hoon

………Bahut Chaaha Tha Ban Jaoo’n
Kabhi Saaya Tumhara Main
Tumhari Aankh Mein Chamkoo’n
Kabhi Ban Ke Sitaara Main

Koi Jazbaa He Ban Jaoo’n
Tumharay Dil Mein Pal Jaoo’n
Adaa Ho Jaoo’n Honto’n Se
Naye Lafzo’n Mein Dhal Jaoo’n

Hawaa Ka Jhau’nka Ban Jaoo’n
Tumhari Zulf Se Khailoo’n
Tumhain De Kar Khushi Apni
Tumharay Saaray Gham Le Loo’n

Kabhi Jo Muskura Do Tum
Hansi Meri Bhi Khil Jaaye
Meri Khush-Rung Socho’n Ko
Tumhara Saath Mil Jaaye

Kabhi Jo Khwab Dekho Tum
Merii Soorat Nazar Aaye
Tumhain Na Dekh Paoo’n Main
Kabhi Na Woh Sahar Aaye

Mukhaatib Kar Ke Main Tum Ko
Na Kuch Bhi Yaar Likhoo’n Ga
Magar Jo Ab Ke Likhoo’n Ga
Faqat Ik Baar Likhoo’n Ga

“Mujhay Tum Se Mohabbat Thi
Main Kab Inkaar Karta Hoon,
Magar Sun Meri Jaa’n! Abb Bhi
Main Tujh Se Pyaar Karta Hoon”



KAL KI BAAT HA

Ghazal Shayari

Hum Yousaf-E-zaman thay abhi KAL KI BAAT HA
Tum hum pe meherban thay abhi KAL KI BAAT HA

Wo din b thay k hum hi tumari zaban pe thay
Mozoo-e-Dastan thay abhi KAL KI BAAT HA

Ae karwan-E-inqilab-O-gul tumko yaad ho
Hum meer-E-karwan thay abhi KAL KI BAAT HA

Jin doston ki kami ha aaJ hayat mei
Wo apne darmyan thay abhi KAL KI BAAT HA

Kuch haadson se gir gaye MOHSIN zameen par
Hum rashk-E-Aasman thay abhi KAL KI BAT HA.!!



Dar Lagta Hai

Ghazal Shayari

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai?
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai?

Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye?
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai?

Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo?
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai?

Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein?
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai?



Kaise Kaise Sawaal

Ghazal Shayari

Tum Bhi JanaaN Kamaal Karte Ho
Kaise Kaise Sawaal Karte Ho

Aik Hi Pal Mein Toot Jaati HooN
Kaisi Tum Dekh Bhaal Karte Ho

Jhoot Saabit Na Kar Sake Koi
Guftaguu Ba’Kamaal Karte Ho

Rog Jitne The Mere Naam Kiye
Mera Kitna Khayaal Karte Ho

Tark-e-Ulfat Ko Garche Arsa Hua
Dil Ko Ab Bhi Nidhaal Karte Ho

Dil Chaahe Pooch LooN Us Se
KyunN Bayaan Apna Haal Karte H



Us Say Kehna K,

Ghazal Shayari

Us Say Kehna K,
Sasain Ab Bhi Teray Naam Say Chalti Hain….

Dil
Ab Bhi,Taray Naam Say Dkarakta Hai…

Aankhain Ab Bhi,Teri
Muntazir Hian….

Sawan Ab Bhi Barasta Hai…
……..
MAGAR…….

UsSay Kehna,
Ab Rat Guzarti Nae..
Parinday Ab Geet Gatay Nae…..
Bahar Ab Ati Nae…..
…….
MAGAr…….

Intezar Tab Bhi Tha…..
Intezar Ab Bhi Hai…



Mere Saath Na Chal

Ghazal Shayari

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal

Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-e-badan Par Mera
Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi
Main Tere Gesu-o-rukhsar Ka Haqdar Nahi
Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal…….

Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kaise
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise
Meri Kismat Men Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad
Mere Haathon Ki Lakeeron Men Nahi Tu Shayad
Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal……

Mujhse Kehtin Hain Ye Khamosh Nigahen Teri
Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri
Aur Gairat-e-ehsaas Pe Sharminda Hun
Ab Kisi Aur Ki Bahon Men Hain Bahen Teri
Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal……


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari