Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Inayat Tumhari

Ghazal Shayari

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari

Humay Chahiya Bus Ta?aluq Tumhara
Muhabbat Milay Yah Adawat Tumhari

Kisi Say Bhe Milna Usay Jeet Laina
Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari

Na Dekha Jahan Main Koi Aur Tum Sa
Bari Munfarid hay Tabiyat Tumhari

Humhay Zindagi Kay Kaen Rastoon Par
Hamesha Rahay Ge Zaroorat Tumhari



Baat Hoti Hy

Ghazal Shayari

Sukoon Milta Hy Jab
Un Sy Baat Hoti Hy

Hazaa Raato’n Me Wo
Ek Raat Hoti Hy

Nigah Utha K Wo
Dekhe’n Kbhi Jo Meri
Taraf

Wo Hi 1 Nigah Meri
Kainaat Hoti Hy



Woh Khawaab Hai

Ghazal Shayari

Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain

Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain
Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain

Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain

Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi
Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain

Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain

Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein
Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain

Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar
Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain



Ajab Halat they mere, Ajab din raat they mere..

Ghazal Shayari

Ajab Halat they mere, Ajab din raat they mere,
Mager mein mutmayin tha ke tum sath they mere,

Mery sar key talabgaroun kii nazrein aisey uthti thein,
Ke lakhoun unglian theen aur hazaroun hath they mere,

Main ik pather ka gard alud buut tha un key mander mein,
Na dil tha na mere seeney mein na kuch jazbat they mere,

Kisi se aur kya tayeed ki umeed mein rakhta,
Wohi khamosh they jo mehram-e-halat they mere,

Mein jin sholoun mein jalta tha, shayed tum bhi nahee samjhe,
Mera dil mukhtalif thaa, mukhtalif sadmaat they mere,

Mujhe mujrim bana ker rakh diya jhutey gawahoun ne,
Sabhii rad ho gaye jitney bhii ilzamat they mere,

Tasawar ban geya tasveer akhir aik din Wasi,
Isi ka khauf tha mujh ko yahee khadshat they mere..

Wasi-Uz-Zaman



Usey kehna

Ghazal Shayari

Bikhar rahi hai meri zaat usey kehna,
Kabi mily to yahi bat usey kehna

Wo sath tha to zamana tha hamsafar mera,
Magar AB koi nai mery sath usey kehna

Usey kehna k bin us k din nahin kat?ta,
Sisik sisik k kat’ti hai raat usey kehna

Agar who phir b na lotey to aey meherban,
Hamari zeest k halaat usey kehna..!

Her jeet us k naam ker rahi hoon main,
Main manti hoon apni haar usey kehna..



koi tehreer hoti he

Ghazal Shayari

Lahu se dil k kaghaz pr koi tehreer hoti he

To ahl-e-dil smjhty hain yahi taqdeer hoti he

Tujhy khwabon me aksar log mjhse cheen lete hain

Suna he sare khawbon ki ult taabir hoti he

Yahi chahat ksi ko taaj ki surat nazar aaye

Yhi chaht ksi k paon ki zanjeer hoti he

Wafa ki jung talwaron se jeeti ja nhi skti

K Sachai or mohabbat se wafa ki jeet hoti he

Suno ghazlen be- sabab likhi nahi jati

K shaayer k tassavur me koi tasveer hoti he…!



Roney Na Diya

Ghazal Shayari

Ishq Mein Ghairat-E-Jazbat Ne Roney Na Diya
Warna Kya Baat Thi Jis Baat Ne Roney Na Diya

Aap Kehtey Thay K Roney Se Na Badlen Gey Naseeb
Umar Bhar Aap Ki 1 Baat Ne Roney Na Diya

Roney Waalon Se Kaho Unka Bhi Rona Ro Len
Jin Ko Majboori-E Halaat Ne Roney Na Diya

Tujh Se Mil Kar Humein Rona Tha Bohat
Tangi-E-Waqt-E- Mulaqaat Ne Roney Na Diya

Ik Do Roz Ka Sadma Ho To Ro Lain Farhat
Ham Ko Har Roz K Sadmaat Ne Roney Na Diya…!



Suna ho ga bohat

Ghazal Shayari

Suna ho ga bohat tum ne.
kaheen ankho ki rim jhim.
kaheen palkon ki shabnam.
parha ho ga bohat tum ne.
kaheen lehjey ki barish.
kaheen sagar k ansu.
magar tum ne kabhi humdum.
kaheen dekhey? kaheen parkhey?
kisi tehreer k ansu.
mujhe teri judai ne.
yehe mehraj bakhshi hai.
k main jo lafz likhta hon.
wo sarey lafz rotey hain.
k main jo hurf bunta hon.
wo sarey ben kartey hain.
mere sang iss judai main.
mere alfaz rotey hain.
subhe tahreef kartey hain.
meri tehreer ki lakin.
kabhi koi nahi sunta.
mere alfaz ki saski.
falak b jo hila daley.
mere lafzon main hain shamil.
ussi taseer k ansu.
kabhi dekho mere humdum.
meri tehreer k ansu….!!~~??



Muhabbat hadisa bhi hay

Ghazal Shayari

Muhabbat chaar harfon ka saheefa hay
Muhabbat Meem sey hat mirg
Muhabbat hey se hadisa bhi hay
Yeh bey se beykali hay
aur
…Tey se taaj kaanton ka
Agar yeh mirg hay toh mirg sey kis ko mufr socho?
jo isko hadisa jano toh is sey kon bach paya ?
hay bey sey beykali toh beykali saanso pay haavi hay
Agar hay taaj kaanton ka toh jis sar pey bhi sajta hay
Woh sar tan par nahi rehta
Muhabbat khoon mein dooba hua ik dasht hay
Gehri udasi hay
Muhabbat hay dua jaisi
Muhabbat karbala si hay..



kion itna eitbaar kia

Ghazal Shayari

Sochti hoon ke mein ne…
kion chaha, kion itna eitebaar kiaa…
tum ne chorr hi to jana thaa…

ajab si baat hai…
…aankh band ho tumhen sochoon…
har dil ki dharrkan …tumhen mangey…

is qadar pyar to nahen paao ge…
is terah paas koi aaye bhi to…
yaqeen hai mujh ko…
dhoondhtey raho ge…
lekin…kisey…kahan..

koi nahen hai ab to…
jisko dhoondh paao..
jissey dil ka haal sunao…

koi nahen hai…
khud hi to torr diye tum ne…
chahaton ke sab rishtey..
sab kassmen khud hi torr deen tumne…

sochti hooon…ab to shayed
aitebaar ker hi na paaoon..
jorr liya hai rishta..
is tanhaayee se ..
jo pal pal ehsaas dilati hai…
ke wo meri hai…

haan ye tanhayee meri hai….
aur koi nahen
kabhi nahen….!!!!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari