Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Kat hi gayi judai

Ghazal Shayari

Kat hi gayi judai bhi kab yun huwa kay mar gaye
Tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye

Tu bhi kuch aur aur hai hum bhi kuch aur aur hain
Janey woh tu kidhar gaya janey woh hum kidhar gaye

Raahon main hi miley thy hum, raahein naseeb ban gayiin
Tu bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gaye

Woh bhi gubar-e-khak tha hum bhi gubar-e-khak thy
Woh bhi kahin bikhar gaya hum bhi kahin bikhar gaye

Koi kinar-e-ab-e-ju baitha huwa hai sarnigun
Kashti kidhar chali gayi janey kidhar bhanwar gaye

Tere liye chaley thy hum tere liye thehar gaye
Tu ne kaha tu ji uthe tu ne kaha tu mar gaye

Waqt hi kuch judai ka itna taveel ho gaya
Dil mein tere firaq kay jitne tye zakhm bhar gaye

Barish-e-vasl wo huwi sara gubar dhul gaya
Woh bhi nikhar nikhar gaya hum bhi nikhar nikhar gaye

Itne qareeb ho gaye itne raqeeb ho gaye
Wo bhi “Adeem” dar gaya uam bhi “safina” dar gaye



Ji chahata hai

Ghazal Shayari

tere paas aane ko ji chahata hai
naye zaKhm khane ko ji chahata hai

idhar aaye shayad vo mauj-e-taranum
Gazal gungunane ko ji chahata hai

zamana mera aazamaaya hua hai
tujhe aazamaane ko ji chahata hai

vahi baat rah rah ke yaad aa rahi hai
jise bhul jaane ko ji chahata hai

labon par mere khelata hai tabassum
jab aansu bahaane ko ji chahata hai

ka_i martabaa dil pe bijali giri hai
magar muskuraane ko ji chahata hai

takalluf na kar aaj barq-e-tajalli
nasheman jalaane ko ji chahata hai

ruKh-e-zindagi se naqaben ulat kar
haqiqat dikhaane ko ji chahata hai



kabhi jo mujh ko

Ghazal Shayari

kabhi jo mujh ko talaash kerna

tou chand raaton ki chandni main
Gul-e-chaman say sawal kerna
udaas kiun ho??
…kiun oos-Qatron main apnay aanso
chupaa rehay hoo
haseen mousam main kis ki yadoon main
apnay dil ko jala rehay hoo
Gul-e-chaman yeh sawal sun ker
tumhari aamad ka haal sun ker
kehay ga tum jis ko khoojtay hoo
woo in baharoon ki sari khushboo
churaa kay abb ik nay chaman main
Mehek raha hay
udaas ker kay yahan pay hum ko
kisi chaman main chehek raha hay
Gul-e-chaman ka yeh haal sun ker
tumhain lagay ga main baywafa hoon
udaas kalioon ko choor ker main
nai baharoon ko dhoondta hoon
mager haqeeqat main is chaman kay
tamaam phoolon ki khwahishon kaa
aur in ki nakkam kavishoon ka
haseen mousam ki barishoon ka
naa meray dil per aser hoa tha
naa meray dil per aser hoa hay
main aaj bhi ik nay chaman main
puranay qissay suna reha hoon
joo mere chahat ka devtaa tha
main aaj bhi us ko poojta hoon
yaqeen nahi tou palat kay dekho
waheen khara tha,waheen khara hoon!!!!



Bicharnay na dena

Ghazal Shayari

Mar bhee jaaoun to
beetee huee baaton ko jaage huee raaton ko
yaad karna.yaad karna aour jee lainaa
tum meray naam ko kabhee apnay naam say
bicharnay na dena
meray kadmon ke chaap ghar kay darwaazay say
nikalny na dena
mujhay marnay na dena
apnee palkain tum na bhigona mat rona
beetee huee baaton ko jaage huee raaton ko
yaad karna ,yaad karna aour jee laina
main apnee awaaz aour apnay saary geet
tumahin day jaaoun ga
meree sab cheezon ko yunhee rahnay dena
jaisay sham dhaltay he
main lot kay aaoun gaa
mujahy kho kar bhee kabhee na khona,mat rona
beetee huee baaton ko jaage huee raaton ko
yaad karna .yaad karna aour jee lain
Mar bhee jaaoun to…………mat ronaaa



KABHI GUROR TU KAR

Ghazal Shayari

kitna chaha hai tujhe KABHI GUROR TU KAR
tu meri sanson m hai shamil KABHI GUROR TU KAR
ruk jati hai aksar mery dil ki dharkan,
TERE bina guzarta ni ik pal KABHI GUROOR TU KAR,
dil tu ab rota he rhta ha teri furqat mein,
…kisi kurb s guzarta hn KABHI GUROOR TU KAR,
kis tarha tanha katega umar bhar ka safar ,
bara kathan hai rasta KABHI GUROOR TU KAR,
BHT CHAHNEY WALEY HAN TERY IS DUNIYA M,
KISI NE ITNA CHAH HY TUJHE KABHI GUROR TU KAR….



Hath dua se yun gira, bhool gaya sawal bhi

Ghazal Shayari

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi
Dil ko Khushi ke sath sath hota raha malal bhi

Baat vo adhi raat ki, raat vo poore chand ki
Chand bhi ain chet ka, us pe tera jamal bhi

Sab se nazar bacha ke vo mujh ko aise dekhtay
Ek dafa to ruk gaye gardish-e-mah-o-sal bhi

Dil to chamak sake ga kya, phir bhi tarash ke dekh lo
Shishagaran-e-shahar ke hath ka ye kamal bhi

Us ko na pa sake the jab dil ka ajeeb hal tha
Ab jo palat ke dekhiye baat thi kuch muhal bhi

Meri talab tha ek shakhs, vo jo nahin mila to phir
Hath dua se yun gira, bhool gaya sawal bhi



Itni muddat baad

Ghazal Shayari

Itni muddat baad mile ho!
Kin sochon main gum rehte ho?

Itne khayef kyon rehte ho?
Her aahat se darr jaate ho

Taiz hawa ne mujh se poocha
Rait pe kya likhte rehte ho?

Kaash koi humse bhi pooche
Raat gaye tuk kyon jaage ho?

Main darya se bhi darta hoon
Tum darya se bhi gehre ho!

Koun si baat hai tum main aisi
Itne ache kyon lagte ho?

Peeche mur ker kyon dekha tha
Patthar ban ker kya takte ho?

Jaao jeet ka jashan manaao!
Main jhoota hoon, tum suche ho

Apne sheher ke sub logon se
Meri khatir kyon uljhe ho?

kehne ko rehte ho dil main!
Phir bhi kitne door khare ho

Raat humain kuch yaad nahin tha
Raat bohot hi yaad aaye ho

Humse na poocho hijr ke qisse
Apni kaho ab tum kaise ho?

Mohsin tum badnaam bohot ho
Jaise ho, phir bhi ache ho



Shahar ko chora

Ghazal Shayari

jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua
apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua

mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main
pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua

us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se
us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua

yun bhi kam amez tha “Mohsin” wo is shahar k logon main
lekin mere samne akar aur hi kuch anjam hua



zikr-e-shab-e-firaq

Ghazal Shayari

zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi

us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi

sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi

mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi

wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi



Thahar jao

Ghazal Shayari

thahar jao k hairani to jaye
tumhari shakl pahchani to jaye

shab-e-gam tu hi mahman ban k aja
hamare ghar ki wirani to jaye

zara khul kar bhi ro lene do ham ko
k dil ki ag tak pani ho jaye

bala se tor dalo ainon ko
kisi surat ye hairani to jaye


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari