Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Kbhi Raat Bhar

Ghazal Shayari

Kbhi Raat Bhar K Jhagry,
Kbhi Chahaton Ki Baten,
Wohi Ap Hi k Qissay,
Wohi Ap Hi Ki Baten,
…Wo Mila Hy Mujh Ko Aksr Sar-e-Raah Chalty Chalty,
Wohi Ajnabi Nigahen,
Wohi Berukhi Ki Baten,
Na Smajh Ska Jahan Me,
Koi Mera Dard Yaro,
Mery Gham Ko Log Samjhy,
Meri Shairi Ki Baten,
Koi Hum Ko Ye Batae Ye Junoon Nhi To Kia Hy?
Miley Jab B Hum kisi Sy Kren Ap Hi Ki Baten,
Mery Haal Par Wo Yunhi Kuch Aisay Muskraye,
Hm Suna Rhy Hon Jesy Kisi Ajnabi Ki Baten.



Eik Baar Dekha Tha

Ghazal Shayari

Nigaah E Shoq Se Hum Ne Tumhien Eik Baar Dekha Tha,
Koii Jazba Tha Pehli Baar Jisey Be-Daar Dekha Tha,
Bara Sasta Zamana Hai Yhahan Ab Log Biktey Hain,
Tera Soda Bhi Hum Ne Kal Sar-E-Bazaar Dekha Tha,
…Wo Jis Ke Hont Par Har Dum Sajii Muskaan Rehti Thi,
Na Jaaney Kyon Usey Main Ne Bara Bezaar Dekha Tha,
Roz O Shab Badalney Main Bhala Kya Dair Lagti Hai,
Jo Takht O Taaj Rakhtey They Unhien La-Chaar Dekha Tha,
Hum Apney Dost Dushman Ki Khabar Jo Rakh Nahi Paa?ye,
Usi Ne Waar Kar Dala Jisey Gham-Khwaar Dekha Tha,
Tum Apni Be-Wafaii Par Agar Naadim Nahi Ho To,
Aankhon Ko Tumhaari Phir Kyon Zaiy-Re-Baar Dekha Tha.



Jab Yunhi Kabhi

Ghazal Shayari

Jab Yunhi Kabhi Baithay Baithay
Kuch Yaad Achanak Aa ja Ay

Her Baat Say Dil Bayzar Sa Ho
Her Cheez Say Dil Ghabra JaAy

Karna Bhi Mujhay Kuch Aur He Ho
Kuch Aur He Mujh Say Ho JaAy

Kuch Aur He Sochoon Mein Dil Mein
Kuch Aur He Hontoon Per Aa Ay

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein
Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein

Kuch Phool Achanak Khil Ja Ain
Kuch Betay Lamhay Yaad Aa Ain

Us Waqt Terey Yaad Aatee Hai
Jab Chandni Dil Kay Aangan Mein

Kuch Kehnay Mujh Say Aa jaAy
Ik Khwabedaa Se Chote Koi

Ehsaas Pay Meray Chaa jaAy
Jab Zulf Parayshaan Chehray Per

Kuch Aur Parayshaan Ho JaAy
Kuch Dard Bhi Dil Mein Honay Lagay

Aur Saans Bhi Bojhal Ho jaAy
Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein

Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil JaAin

Us Waqt Terey Yaad Aatee Hai
Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay

Manzil Ka Na Koi Naam Milay
Hansta Hua Ik Aaghaz Milay
Rota Hua Ik Anjaam Milay

Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say
Is Dil Ko Koi Paygham Milay

Aur Sari Wafaoon Kay Badlay
Mujh Ko He Koi Ilzaam Milay

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein
Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein

Kuch Phool Achanak Khil JaAin
Kuch Beetay Lamhay Yaad AaAin

Us Waqt Terey Yaad Aatee Hai
Shidat Say Terey Yaad Aatee Hai



Pyari Aankhain

Ghazal Shayari

Bhool Sakta Hai Bhala Koun Yeh Pyari Aankhain ,
Rang Mein Doobi Hui Neend Say Bhari Aankhain ,
Meri Her Saans Ne Her Sooch Ne Chaha Hai Tumhain ,
Jab Se Dekha Hai Tumhain, Tab Se Saraha Hai Tumhain ,
Bas Gai Hain Meri Aankhon Mein Tumhari Aankhain ,
Tumjo Nazron Ko Uthao To Sitare Jhuk Jaain ,
Tumjo Palkon Ko Jhukao To Zamane Ruk Jaain ,
Kyun Na Banjain In Aankhon Ki Pujari Aankhain ,
Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaye ,
Tumjo Miljao Jeene Ka Bahana Mil Jaye ,
Apni Qismat Pe Kerain Naaz Hamari Aankhain.



Tere shaher

Ghazal Shayari

Tere shaher teri soch se nikal jaaon gi
Kisi udaas sham main dhal jaaon gi

Tu Jo muker gaya hay her baat se apni
Dekh lena aik din main bhi badal jaon gi

Mat dikha mujh ko apna pashemaan chehra
Jab k tu janta hay main pighal jaaon gi

Chahe lakh terpoon tere intzaar mein
Mat lout k ana main sambhal jaaon gi

Tera hona itna zaroori tou nahin hay
Main tou yaadon k khilonon se behal jaon gi.



Meray mah-o-saal

Ghazal Shayari

meray mah-o-saal k beach maiN koi aisaa lamha gay?aa nahi
teRa naam maiN ne lee?aa nahi tujhaY yaad maiN ne kia nahi

teRa koN sa wo madaaR tha jahaN gaR?dashaiN meRi ruk gaa?ee
teRa koN sa wo kahyal tha jisaY maiN ne damaN dee?ya nahi

meRa safaR adhoRa he rah gay?aa mujhaY manziloN ka pata nahi
maiN humsafaR isay maana tha kabhi saath jis ne dee?ya nahi

yahaN haR qadam pe haiN haadsaY ye khayal he dil ko thaka gay?aa
ye safaR k see?raat-e-taaveel hai abhi aik qadam taak utha nahi

ye meRi Ana ki hai sirkashi jo wasaf aisaY sikha gaa?ee
maiN dar?yaa hooN jo giRa nahi wo pahaR hooN jo hila nahi

koi aik aa?nsoo aisa day daR-o-baam apnaY saja looN maiN
tujhaY kia khabaR meRi raah maiN koi taRa, jugnoo, dee?ya nahi

koi be-qaRari se aaj be meray dil maiN khaaR hai khenchti
koi daRd tha jo daba nahi koi aansoo tha jo baha nahi

isay baad baRsooN k dekh k yuuhi aik lamhaY ko kia huwa
koi saans thei jo chali nahi koi zabat hai jo huwa nahi…!!



Aisa kertay hein

Ghazal Shayari

Aaj aisa kertay hein
Be sadda lafzon main
Wajh-e-zindagi keh ke
Wasl ki zaroorat par
Phir se zoor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Zikr wohi kertay hein
Naam aur detay hein
Zabt ke kinaaron se
Dard aan lipta hai
Toot-tay kinaaray ab
Dard aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
Dard se ulajhtay hein
Zabt choor detay hein
Taar Taar daaman ko
Khaar khaar raahon main
Ranjishein bhula ke hum
Aa ke joor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Khud nahin palat-tay hein
Raah moor detay hein
Sabz sabz mausam main
Laal laal aankhon ke
Khwaab ki ragoon se hum
Khoon nichor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Ye bhi kar guzartay hein
Khwaab toor detay hein
Aa keh ab duaaon ko
Maatami ridaaon main
Phir se kar ke alwidaa
Mauqa aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
Darya main utartay hein
Rabb pe chor detay hein…!!



Matt Chhor Ke Jao

Ghazal Shayari

Suno!
Tum Azm Walay Ho
Bala Ka Zabt Rakhtay Ho
Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga
…Magar Dekho
……Jisay Tum Chhoray Jatay Ho
Usay Tou Theek Se Shayad
Bichharna Bhi Nahi Aata
Suno!
Tum Azam Walay Ho
Usay Matt Chhor Ke Jao..



Ahl-e-dil

Ghazal Shayari

Lahu se dil k kaghaz pr koi tehreer hoti he

To ahl-e-dil smjhty hain yahi taqdeer hoti he

Tujhy khwabon me aksar log mjhse cheen lete hain

Suna he sare khawbon ki ult taabir hoti he

Yahi chahat ksi ko taaj ki surat nazar aaye

Yhi chaht ksi k paon ki zanjeer hoti he

Wafa ki jung talwaron se jeeti ja nhi skti

K Sachai or mohabbat se wafa ki jeet hoti he

Suno ghazlen be- sabab likhi nahi jati

K shaayer k tassavur me koi tasveer hoti he…!!~



Ghairat-E-Jazbat

Ghazal Shayari

Ishq Mein Ghairat-E-Jazbat Ne Roney Na Diya

Warna Kya Baat Thi Jis Baat Ne Roney Na Diya

Aap Kehtey Thay K Roney Se Na Badlen Gey Naseeb

Umar Bhar Aap Ki 1 Baat Ne Roney Na Diya

Roney Waalon Se Kaho Unka Bhi Rona Ro Len

Jin Ko Majboori-E Halaat Ne Roney Na Diya

Tujh Se Mil Kar Humein Rona Tha
Bohat Rona Tha

Tangi-E-Waqt-E- Mulaqaat Ne Roney Na Diya

Ik Do Roz Ka Sadma Ho To Ro Lain Farhat

Ham Ko Har Roz K Sadmaat Ne Roney Na Diya.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari