Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Yad nai

Ghazal Shayari

Koi yad be usko yad nai
koi bat be usko yad nahi

Ek shaks ne usko chaha tha
wo zat be usko yad nahi

Jab shab ki bejli ke chamki the
Jab badal toot kar barsa thaa

Hum dono jis main behge the
wo barsat be usko yad nahi

Wo kehta tha main sunta tha
wo kehta tha main sunta tha

un lahko bato main
koi bat be usko yad nahi

wo sahil dareya phol hawa
wo shab bhar chand ko dehkna

un lahko rato main
koi Rat be usko yad nahi

koi yad be usko yad nahi
koi bat be usko yad nahi



WOH bhi tanha

Ghazal Shayari

Kabhee Kabhee in habs bhari raton main
Jab
Sab Awazain so jatee hain
Aadhee neend ki ghayal madhoshi main
Ek Khwab anokha jaagta hai…..!
…May daikhta hoon
Gard ki is chadar say udhar
Jo merey us kay beech tani hai
WOH bhi tanha jaag raha hai…!!!



Woh Jo Panchi

Ghazal Shayari

Kabhee Aabad Karta Tha .
.
Kabee Barbaad Karta Tha .
.
Sitam Woh Roz Ik Naya Ijad Karta Tha .

Zamana Hogaya Leykin Khabar Lene Nahi Aaya .
.
Woh Jo Panchi Roz Mairay Naam Par Aazad Karta Tha .



Chor chalay

Ghazal Shayari

Lo apna jahan dunya walo,hum is dunya ko chor chalay!!!!!
Jo rishtey natay joray thay wo rishtey natay tor chalay

kuch sukh ke sapne dekh chalay,kuch dukh k sadmay jheel chalay,
taqdeer ki andhi gardish ne jo khel khailay khail chalay.

Har cheese tumhari lotadi hum leke nai kuch sath chalay
phir dosh na dena ,A logon hum dekh lo khali hath chalay,

Ye rah akelay kat-ti hai,yaha sath na koi yar chalay
Os paar na jane kia payen, Is par tu sab har kch chalay



Bas Ek Aansu

Ghazal Shayari

Agar hum door ho jayein
kahin duniya mein kho jayein
batao kya karo gi tum?
Hamain dhoondo gi
ya Phir
…Hamain bhool jao gi
Hamain awaz do gi
Ya phir
Kisi Guzri Kahani mein
Hamara Naam Likh Do Gi
Chalo Aisa Hi Kr Lena
Tum Khud bhi Badal Jana
Hamein Tum Bhol hi Jana
Magar itni Guzaris Hay
Hamara Zikr Jab aaye
Thoda muskura dena
Khushi ka ho ya Gham Ka ho
Bas Ek Aansu Baha dena…



Pyar Kisi Se Na Kerna

Ghazal Shayari

Ik Ishq Nager Ki Wadi Thi
Jahan Pyar Ki Nadiya Behti Thi

Kuch Dil Waley Bhi Rehtey They
Jo Pyar Ki Baatein Kertey They

Jab Bahar Ka Mousam Aata Tha
Aur Phool Pyar K Khiltey They

Mast Nasheeli Shamon Mein
Pyar Se Do Dil Miltey They

Ik Roz Woh Basti Ujer Gai
Aur Pyar Ki Hasti Bikher Gai

Phir Her Ik Dil Ko Sog Laga
Aur Jeevan Bhar Ka Rog Laga

Deewaney Phirtey Rehtey Hein
Aur Her Ik Se Woh Kehtey Hein

Iqrar Kisi Se Na Kerna
Pyar Kisi Se Na Kerna.



khabar na ho

Ghazal Shayari

kabhi yun b aa meri ankh mein meri nazar ko khabar na ho …
mujy aik raat nawaz dey magar us k bhad subha na ho….

woh bara raheem-o-kareem hai mujy yeh sift b aata kary ….
tujy bhulny ki dua karun aur meri dua mein asar na ho



Jal jate hain

Ghazal Shayari

garmi hasratein nakam se jal jate hain,
hum chiragoon ki tarha shaan se jal jate hain,
jis aag mein jalti hai shama numaish ke liye ,
hum usi aag mein gumnaam se jal jate hain,
jab bhi aata hai mera naam tere naam ke saath,
jaane kyon log mere naam se jal jate hain.



Na mil sake hum

Ghazal Shayari

se apni zid ki fikar thi
Mujhe apni anaa ka khayal tha

Na mil sake hum phir kabhi
…Wo hamari mohabbaton ka zawal tha

Mere liye us ka saath he sab kuch tha
Us ke liye ye sab mazaaq tha

Use bas apni manzilon ki fikar thi
Yahan meri zindagi ka sawaal tha.



Meray saray dard

Ghazal Shayari

Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?

Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.

Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.

Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,

Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.

Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.

Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.

Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari