Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Suna ho ga

Ghazal Shayari

suna ho ga bohat tum ne.
kaheen ankho ki rim jhim.
kaheen palkon ki shabnam.
parha ho ga bohat tum ne.
kaheen lehjey ki barish.
kaheen sagar k ansu.
magar tum ne kabhi humdum.
kaheen dekhey? kaheen parkhey?
kisi tehreer k ansu.
mujhe teri judai ne.
yehe mehraj bakhshi hai.
k main jo lafz likhta hon.
wo sarey lafz rotey hain.
k main jo hurf bunta hon.
wo sarey ben kartey hain.
mere sang iss judai main.
mere alfaz rotey hain.
subhe tahreef kartey hain.
meri tehreer ki lakin.
kabhi koi nahi sunta.
mere alfaz ki saski.
falak b jo hila daley.
mere lafzon main hain shamil.
ussi taseer k ansu.
kabhi dekho mere humdum.
meri tehreer k ansu….!



Yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Ghazal Shayari

Wo bujhey gharon ka chiragh tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho
usey le gai hai kahan hawa? yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Kai log jaan se jayein gey merey qatiloon ki talash main
Merey qatl main mera haath tha? yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Wo tamaam duniya ke wastey jo muhabaton ki misaal tha
Wohi apney ghar mein tha bewafa yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Kaheen masjidon main shahadatain kaheen mundiron main adaalutain
Yahan kon kerta hai faisla yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Merey pass jitni hai roshni yehi hai chiragh ki zindagi
Mein kahan jala mein kahan bujha yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Mujhe jaan kar koi ajnabi wo dikhla rahey hain gali gali
Isi sheher mein kabhi mera ghar bhi tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Wo samajh ke dhoop ka dewta mujhe aaj poojney aaye hain ?
Main charagh hoon teri shaam ka yeh kabhi kisi ko khabar na ho..



Maum ka ghar

Ghazal Shayari

Wo bhi ro de ga usay haal
sunaye’n kese

Maum ka ghar hy chirago’n
ko jalaye’n kese

Duur hota tou usay dhoond
bhi lete ‘Faraz’

Rooh main chup k jo betha hy
usay paaye’n kese …



Is shehr main

Ghazal Shayari

Is shehr main aisi b qayamat na hui thi
Tanha thay magar kudh se to wehshat na hui thi

Ye din hain k yaroon ka barosa b nahi hai
Wo din thay k dushman se b nafrat na hui thi

Ab saans ka ahsaas b ik baar-e-graan hai
Kudh apne Khilaf aisi bagha’wat na hui thi

Ujrey Hue is dil k har ik zakhm se Pocho !!
Is shehr main kis kis se Mohabbat na hui thi

Ab tere qareeb aa k b kuch soch raha hoon
Pehle tuje khoo ker b Nidama’t na Hui Thi

Har shaam Uberh’ta tha isi toar se mehtaab
Likin Dil-e-Wehshi ki ye Halat na hui thi

Khawabon ki Hawa Raas thi Jab Tak Muje Mohsin
Youn Jaghtay Rehna Meri Adat Na Hui thi !!



Mohabbat Na Hui

Ghazal Shayari

Kuch Tabiyat Hi Mili Thi Aisi Chain Se Jeene Ki Surat Na Hui,
Jisko Chaha Use Apna Na Sake Jo Mila Usse Mohabbat Na Hui,

Jisse Jab Tak Mile Dil Hi Se Mile Dil Jo Badla To Fasana Badla,
RasMein Duniya Ki Nibhane Ke Liye HuMse Rishton Ki Tijarat Na Hui,

Dur Se Tah Wo Kayi Chehron Me Paas Se Koi Bhi Waisa Na Laga,
Bewafai Bhi Usi Ka Tha Chalan Phir Kisise Hi Shikayat Na Hui,

Waqt Rutha Raha Bachhe Ki Tarah Raah Mein Koi Khilauna Na Mila,
Dosti Bhi To Nibhayi Na Gayi, DushMani Mein Bhi Adaavat Na Hui…



Bohat dinon say

Ghazal Shayari

Koi phol do, koi khawab do, main bohat dinon say udaas hun
Meri zeest ko tab_o_taab do, main bohat dinon say udaas hun

K ye intezar k saaray pal hain azab_e_jaan banay huay
Meray khat ka kuch to jawab do, main bohat dinon say udaas hun

Mujhy qaid ker lo wasal k kisi lamha_e_dilfaraib mein
Koi saaya do, koi saraab do. main bohat dinos say udaas hun

Jisay parrh ker dil ko khushi milay, meray saaray jazbay mehak uthen
Mujhy aisi koi kitaab do, main bohat dinon say udaas hun

Usi ishq say, usi chaah say, usi pyar say, usi maan say
Meray hath mein ek gulaab do, main bohat dinon say udaas hun… .



Lahoo har lafz rota ha

Ghazal Shayari

Kiya tha ek wada tum ne humesha khush hi rehna hai
to dekho kabhi aa kar meri ankhon mein
ye kitni shokh lagti hein
mere honton ko dekho tum
hamesha muskuratey hein
koi bhi gham ager aaya
issey hans kar saha maine
mere chehre ko dekho tum
humesha pur sukoon
to socho
ke kiya tha maine jo tum se wada
woh poora kardiya maine
mager ek baat hai pyare
kabhi jo waqt mil jaaye
to meri shayri perhna
tumhein mehsoos to hoga
kahein talkhi bhara lehja
kahein pe dard ki jheelein
kahein lehjey ki karhwahat
suno,
me khush to hun lakin
lahoo har lafz rota hai.



Meri Zindgi K Chirag

Ghazal Shayari

Meri Zindgi K Chirag Ka Ye Andaz Koi Neya Nahi
Kabhi Roshni ` Kabhi Teergi ` Na Jala Hua Na Bhuja Hua,

Muje Aap Kiun Na Samjh Saky Ye Apny Dil Se Poochhiye
Meri Dastan-E-Hayaat Ka Hai ` Har Waraq Waraq Khula Hua,

Muje Hamsafar Bhi Mila Koi ” To Meri Tarah He Luta Hua
Kabhi Manzilon Se Hata Hua Kabhi Qafilon Se Luta Hua,

Muje Ek Gali Mein Para Hua Kisi Badnaseeb Ka Khat Mila
Kahin Khoon-E-Dil Se Likha Hua ` Kahin Aansuon Se Mita Hua !



Zara si ranjish

Ghazal Shayari

Ik zara si ranjish say
Shak ki zard tehni per ph00l badgumani k
Is tarah say khiltay hain
Zindagi say piyary bhi
Ajnbi say lagtay hain
……Ghair ban k miltay hain
D0st dar lehj0n mein
Salvatain si perti hain
Umr bher ki chahat ka kuch sila nahee milta
Dasht e be-yaqeeni mein aasra nahee milta
Wahm0n k saaye say umr bher ki mehnat k0
Pal mein tour jatay hain
Bheer mein zamany ki
Saath ch00t jatay hain
Ik zara si ranjish say
Haath ch00t jatay hain
Khawb t00t jatay hain!!!!!



Wo Kehti Hay

Ghazal Shayari

Wo Kehti Hay……
Batao Be Sabab Kion Rooth Jatay Ho?
Main Kehta Hoon…
Zara Mujh Ko Manaao…… .Acha Lagtaa Hay

……Wo Kehti Hay
Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
Main Kehta Hoon….
Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii….!

Wo Kehti Hay….
Batao…Main Tumhain Kion Bhaa Gayi Itna?
Main Kehta Hoon…
Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!

Wo Kehti Hay…
Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
Main Kehta Hoon…
Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Gi…!

Wo Kehti Hay…
Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
Main Kehta Hoon…
K Yeh To Baadalon Ki Aankh Rotii Hay…!

Wo Kehti Hay…
Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
Main Kehta Hoon…
Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari