Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



woh dasht kaisa tha?

Ghazal Shayari

Kaho,

woh dasht kaisa tha?
Jidhar sub kuch luta aaye
Jidhar aankhain ganwa aaye

Kaha,

sailab jaisa tha,

bohot chaha keh bach niklain magar sub kuch baaha aaye

Kaho,

woh hijer kaisa tha?
Kabhi choo ker usay dekha
To tum nay kia bhala paya

Kaha,

bus aag Jaisa tha,

usay choo ker to apni rooh ye tann mann jala aaye

Kaho,

woh wasl kaisa tha
Tumhain jab chuu liya us nay
To kya ehsas jaga tha?

Kaha,

ik raastay jaisa,

jidhar say bus guzarna tha, makan lekin bana aaye

Kaho,

woh chand kaisa tha?
Falak say jo uttar aaya!
Tumhari aankh main basnay

Kaha,

woh khawab jaisa tha,

nahi taabeer us ki, usay ik shab sula aaye

Kaho,

woh ishq kaisa tha?
Bina perkhay kia jo tum nay

Kaha,

titlii k rang jaisa,

bohat kachaa anokha sa, jabhi us ko bhula aaye

Kaho,

woh naam kaisa tha?
Jisay sehraaon aur chanchal
Hawaon per likha tum nay

Kaha,

bus mosmoon jaisa,

na janay kis tarha kis pal kisi ro main mita aaye

Suno,

khawahishon ki lehron per sambhalna kion hua mushkil?

Bataya ,

paanion per khawab ki rakhi bena jaisay

Bhala tum rooh ki in kirchion main dhoondtay kia ho?

Kaha,

yeh itni roshan hain keh sooraj ha diya jaisay

Suno aankhon hi aankhon ka bayan kesay laga tum ko?

Laga,

phoolon say sargoshi si kerti ha saba jaisay



Ajnabi hai to mery zehan

Ghazal Shayari

Ajnabi hai to mery zehan main rehta q hai,
Wo jo pather hai to sheeshon ka maseeha q hai,

Wo hwa hai to guzar hay vo hwaun ki trah,
Wo samunder hai to thehra rahy behta q hai,

Mery aangn main nahi koi umeedon ka gulab,
Phir ye mausam mery aangan main utarta q hai,

Jis k chehry pe saji jhoot ki tehreerain hain,
Dil ussi shakhas k waadon se behlta q hai,

Ye mera dil ye mausam ye anjan sa dil,
Phir najany tery naam se dharkta q hai,



Soo baras ki zindagi main aik pal

Ghazal Shayari

Soo baras ki zindagi main aik pal
Tu agar kar le koy ache amal
Tuj ko duniya main mile ga us ka phaal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

gham ko sene se lagana sekh le
gair ko apna banana sekh le
Dard sah kar muskarana seekh le
Choor khudgarzi wafa ki rah chal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

Aik aadam ki sabhi olaad hain
Kuch to khush hain aur kuch nashad hain
jurm un ka kiya hay jo barbaad hain
Tu zamane k asuloon ko badal

Dusaron k waaste zinda raho
Jaan bhi jaye to hans kar jaan do
Mout k aage bhi sharminda na ho
Tu sada insaniyat rah chal
Aaj jo kuch boye ga kate ga kal



Beete Lamhon Ki Parchaiyan

Ghazal Shayari

Bhari Mehfil Mein Tanha Kar Jati Hongi,

Yeh Duuriyan Tujhe Bhi Tarpati Hongi,
Beete Lamhon Ki Parchaiyan Rulati Hongi,

Woh Waade Woh Qasmein Yaad Aati Hongi,
Tere Zameer Ko Zara To Hilaati Hongi,

Jo Mujhe Bhool Ke Ho Bhi Gae Duniya Mein Magan,
Teri Sakhiyan To Tujhe Mera Haal Sunati Hongi,

Itna To Pathar Na Tha Dil Tera Kabhi Bhi,
Chahat Ki Kuch Boonden To Uss Mein Baqi Hi Hongi.



Aur phir tuut ja

Ghazal Shayari

Aur phir tuut ja?
Khiloney
muskara
Kisi se dil laga
Aur phir tuut jaa

Khushi dhunde ga tu
Mileen ge lakh gham
Tujhay thukrayeen ge
Yeh pathar k sanam

Yeh dhokah tu bhi kha
Kisi ko aazmaa
Aur phir tuut jaa

Mile gi aik din
Mohabbat ki saza
Urye ga rang bhi
Jale ga dil tera

Yaqeen kar pyaar ka
Yeh sadma bhi utha
Aur phir tuut jaa



Tujhey pyaar ki kasam hay

Ghazal Shayari

Tujhey pyaar ki kasam hay
Mera pyaar ban k aaa ja
Meri bekarariyon ka
Tu karaar ban k aaa ja

Tere intezar main hain
Abhi sham k nazare

Koy kyun mujhey sada de
Koy kyun mujhey poukare

Meri zindagi khizaan hay
Tu bahar ban k aaa ja

Mera dil dharak raha hay
Mere dil se yun na khelo

Tumain waasta wafa ka
Mera pyaar muj se le lo

Teri jeet ho chuki hay
Meri haar ban k aaa ja



Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya

Ghazal Shayari

Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya,
Kaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya,

Ta-umar dhoondta raha manzil main ishq ki,
Anjaam ye k gard-e-safar le ke aa gaya,

Nashtar hai mere haath mein kaandhon pe maiqada,
Lo main ilaaj-e-dard-e-jigar le ke aa gaya,

?Faakir? sanam kade mein na aata main lot kar,
Ek zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya.



Sawan aya tum naheen aye

Ghazal Shayari

Sawan aya tum naheen aye
Rah gaye hum to aas lagaye

Pichali baharon main
tum se mile the
Jin peroon k niche
Hath rakhe khud bikhraye
Gum sum akhiyaan mitey

Un peroon par
jhuk aye hain
Phir patjhar k saaye
Sawan aya tum naheen aye

Theen yehi wadiyaan
The yehi parbat
Tha yehi pyaar ka mousam

Shakhon main the
phool suhane
Pholon par thi shabnam
In ko to hum bhul chuke hain
Tum ko bhul na paye

Sawan aya tum naheen aye
Rah gaye hum to aas lagaye



dard ka ek sailaab

Ghazal Shayari

Kabhi Kabhi jane kyo dard ka ek sailaab sa aata hai
Vo har purani yaad ko jhakjhor ke chala jata hai

Sochte hai humne to ki thi vafa use apni jaan samjhkar
Par jaane kyo vo lamha had se jyada tarfa jata hai

Roz Roz aansuo ki jane kitni boonde giri ankho se
Par har boond me bhi vo bewafa hi najar aata hai

Kho diya jis pal se apni jaan ko humne
Har khushi me bhi manjar us pal ka najar aata hai

Khuda na kare koi bhi tarse is tarah pyaar ke liye
Ye?pyaar to hai hi jaalim bas Paagal karke chala jata hai



Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

Ghazal Shayari

Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Hum Ghoom Chukey Basti Bun Main
Aik Ass Ki Phansi Liye Man Main
Koi Sajan Ho Koi Pyara Ho
Koi Deepak Ho Koi Tara Ho
Jab Jeewan Raat Andheri Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

Jab Sawan Badal Chaiyee Hon
Jab Phagan Phool Khilaye Hon
Jab Chanda Roop Lutata Ho
Jab Sooraj Dhoop Nahata Ho
ya shaam nay basti ghari Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

Han Dil Ka Daman Pheela Ho
Kion Gori Ka Dil Mela Ho
Hum Kab Tak Peet Kay Dhokey Main
Tum Kab Tak Doe Jharokey Main
Kab Der Sey Dil Ko Sairi Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

Kya Jhagra Sood Khasarey Ka
Yeh Kaam Nahi Banjarey Ka
Sab Sona Ropa Lay Jayee
Sab Dunya Dunya Lay Jayee
Tum Aik Mujhey Behteri Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
By Ibne-Insha


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari