Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Apne sab yaar kaam kar rahe hain..

Ghazal Shayari

Apne sab yaar kaam kar rahe hain,
Aur hum hain ke naam kar rahe hain,

Tegh-baazi ka shauq apni jagah,
Aap to qatl-e-aam kar rahe hain,

Daad-o-tehseen ka yeh shor hai kyun,
Hum to khud se kalaam kar rahe hain,

Hum hain masroof-e-intizaam magar,
Jaane kya intizaam kar rahe hain,

Hai woh bechaargi ka haal ke hum,
Har kisi ko salaam kar rahe hain,

Aik qataala chahiye hum ko,
Hum yeh elaan-e-aam kar rahe hain,

Na uthe aah ka dhuaan bhi ke woh,
Ku-e-dil main khiraam kar rahe hain,

Us ke honton pe rakh ke hont apne,
Baat hi hum tamaam kar rahe hain,

Hum ajab hain ke us ke kuchay main,
Be-sabab dhoom-dhaam kar rahe hain..

اپنے سب یار کام کر رہے ہیں - جون ایلیا

Watch Video



Ik umar chale aur ghar nahin aya..

Ghazal Shayari

Azaab yeh bhi kisi aur pr nahin aya,
Ke ik umar chale aur ghar nahin aya,

Is ek khawb ki hasrat main jal bujhi ankhen,
Woh ek khawb ke ab tak nazar nahin aya,

Karen to kis se karen na-rasayion ka gila,
Safar tamaam hua hamsafar nahin aya,

Dilon ki baat badan ki zubaan se keh dete,
Yeh chahte thay magar dil idar nahin aya,

Ajeeb hi tha mere daur-e-gumraahi ka rafiq,
Bicharr geya to kabhi laut kar nahin aya..

عذاب یہ بھی کسی اور پر نہیں آیا - افتخار عارف



Ab yeh sochoon to bhanwar zehen main parr jate hain..

Ghazal Shayari

ab yeh sochoon

Ab yeh sochoon to bhanwar zehen main parr jate hain,
Kaise chehre hain jo milte hi bicharr jatay hain,

Kyun tere dard ko dain tohmat -e- veerani dil,
Zalzlon main to bharay sheher ujarr jatay hain,

Mausam-e-zard main aik dil ko bachaaon kaise,
Aisi rut main to ghanay pairr bhi jharrr jatay hain,

Ab koi kya mere qadmon ke nishaan dhoondhay ga,
Taiz aandhi main to khaimay bhi ukharr jatay hain,

Shidat-e-gham main bhi zinda hoon to hairat kesi,
Kuch diye tund hawaaon main bhi larr jatay hain,

Woh bhi kya log hain Mohsin jo wafa ki khatir,
Khud-taraasheda asoolon pe bhi arr jatay hain..



Har dard pehen lena, har khawb main kho jana..

Ghazal Shayari

har dard

Har dard pehen lena, har khawb main kho jana,
Kya apni tabiyat hai, har shakhss ka ho jana,

Ik sheher basaa lena bichrre huye logon ka,
Phir shab ke jazeere main dil thaam ke so jana,

Mozuu sukhan kuch ho, ta-dair usay takna,
Har lafz pe ruk jana, har baat pe kho jana,

Aan to bikhar jana saanson ki mehak ban kar,
Jana to kaleje mai kaante chubho jana,

Jatay huye chup rehna un bolti aankhon ka,
Khamosh takalum se palkon ko bhigo jana,

Lafzon main utar aana un phool se honton ka,
Ik lamss ki khushbuu ka poron main samaa jana,

Har shaam azaayem ke kuch mehal bana lena,
Har subah iraadon ki dehleez pe so jana..



Meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya..

Ghazal Shayari

meri sari zindagi

Meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya,
Umar meri thi magar us ko bassar us ne kiya,

Main bohat kamzor tha us mulk main hijrat ke baad,
Pr mujhe us mulk main kamzor-tar us ne kiya,

Sheher main woh moatbar meri gawaahi se hua,
Phir mujhe uss sheher main na-moatbar us ne kiya,

Sheher ko barbaad kar ke rakh diya us ne munir,
Sheher pr yeh zulm mere naam pr us ne kiya..



Teri khushbu nahin milti, tera lehja nahin milta..

Ghazal Shayari

Teri khushbuu nahin milti, tera lehja nahin milta,
Humen to sheher main koi tere jaisa nahin milta,

Yeh kesi dhund main hum tum safar aghaaz kar bethe,
Tumhe ankhen nahin milti, humen chehra nahin milta,

Har ik tadbeer apni raayegaan thehri mohabbat main,
Kisi bhi khawb ko tabeer ka rasta nahin milta,

Bhala us ke dukhon ki raat ka koi mudaava hai,
Woh maan jis ko kabhi khoya hua bacha nahin milta..



Barham huyi hai yuun bhi tabiyat kabhi kabhi..

Ghazal Shayari

hoti hai tere naam se

Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi,
Barham huyi hai yuun bhi tabiyat kabhi kabhi,

Tere qareeb reh kar bhi dil mutmayin na tha,
Guzri hai mujh pe yeh bhi qayamat kabhi kabhi,

Kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha,
Yuun bhi guzar gayi shab-e-furqat kabhi kabhi,

Ae dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawjood,
Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi..



Udasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha..

Ghazal Shayari

udasiyon ka mausam

Udaasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha,
Woh chahta to mere sath chal bhi sakta tha,

Woh shakss tu ne jis ko chorrne ki jaldi ki,
Tere mizaaj ke saanchay main dhhal bhi sakta tha,

Woh jald-baaz khafaa ho kar chal diya warna,
Tanaazaat ka koi hall nikal bhi sakta tha,

Anaaa ne hath uthaane na diya warna,
Meri duaa se woh pathar pighal bhi sakta tha,

Tamaam umar tera muntazir raha Mohsin,
Yeh aur baat ke rasta badal bhi sakta tha..



Toot jaye na bharam hont hilaaon kese..

Ghazal Shayari

toot jaye na bharam

Toot jaye na bharam hont hilaaon kese,
Haal jesa bhi hai logon ko sunaaon kese,

Khushk ankhon se bhi ashkon ki mehak ati hai,
Main tere gham ko zamane se chupaaon kese,

Teri suurat hi meri ankhon ka sarmaya hai,
Tere chehre se nigaahon ko hattaaon kese,

Tu hi batlaa meri yaadon ko bhulaane wale,
Main teri yaad ko is dil se bhulaaon kese,

Phool hota to tere dar pe sajaa bhi deta,
Zakham le kar teri dehleez pe aaon kese,

Aayina maand parre saans bhi lene se adeem,
Itna naazuk ho taluq to nibhaaon kese,

Woh rulaata hai rulaye mujhe ji bhar ke adeem,
Meri aankhen hai woh main us ko rulaaon kese..



Us ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahin..

Ghazal Shayari

Us ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahin,
Mutmayin aesa hai woh jese ke hua kuch bhi nahin,

Ab to hathon se lakeeren bhi mitti jaati hain,
Us ko kho kar to mere pas raha kuch bhi nahin,

Kal bicharrna hai to phir ehd-e-wafaa soch ke baandh,
Abhi aghaaz-e-mohabbat hai geya kuch bhi nahin,

Main to is wastay chup hoon ke tamasha na bane,
Tu samajhta hai mujhe tujh se gilaa kuch bhi nahin,

Ae shumaar ankhen isi tarah bichaaye rakhna,
Jaane kis waqt woh aa jaye pata kuch bhi nahin..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari