Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Phir kuch ik dil ko be-qaraari hai..

Ghazal Shayari

mirza ghalib poetry

Phir kuch ik dil ko be-qaraari hai,
Seena juyaa-e-zakhamm-e-kaari hai,

Phir jigar khodne laga naakhun,
Ammad-e-fassl-e-lala-kaari hai,

Qibla-e-maqssad-e-nigaaah-e-niyaz,
Phir wohi pardaa-e-amaari hai,

Chashmm dallal-e-jinss-e-rusvaayi,
Dil khareedaar-e-zauqq-e-khwaari hai,

Dil havaa-e-khiramm-e-naz se phir,
Mehshar sitan-e-be-qaraaari hai,

Jalva phir arz-e-naaz karta hai,
Roz bazaar-e-jaaan-sipaari hai,

Phir ussi bewafa pe marte hain,
Phir wohi zindagi hamari hai,

Ho raha hai jahaan main andher,
Zulf ki phir sirishta-dari hai,

Phir huye hain gavaah-e-ishq talab,
Ashk-baari ka hukm-jaari hai,

Dil-o-mizahgaan ka jo muqadamma tha,
Aaj phir us ki ru-bukaari hai,

Be-khudi be-sabbab nahin ghalib,
Kuch to hai jis ki pardaa-dari hai..



Aqqal ggo aastaan se door nahin..

Ghazal Shayari

allama iqbal poetry

Aqqal ggo aastaan se door nahin,
Us ki taqdeer main huzoor nahin,

Dill-e-beena bhi kar khuda se talabb,
Aankh ka noor dil ka noor nahin,

Ilm main bhi suroor hai lekin,
Yeh woh jannat hai jis main huur nahin,

Kya ghazab hai ke is zamaane main,
Ek bhi saahib-e-surooor nahin,

Ik junoon hai ke baa-shauur bhi hai,
Ik junoon hai ke baa-shauur nahin,

Na-suburi hai zindagi dil ki,
Aah woh dil ki na-subuur nahin,

Be-huzuri hai teri maut ka raaz,
Zinda ho tu to be-huzur nahin,

Har gohar se sadaf ko torr diya,
Tu hi aamaada-e-zuhuur nahin,

Areni main bhi keh raha hoon magar,
Yeh hadeess-e-kalimm-o-tuur nahin..



Koshish bhi kar umeed bhi rakh..

Ghazal Shayari

Nazdeekiyon main door ka manzzar talash kar,
Jo haath main nahin hai woh pathar talash kar,

Suraj ke ird-gird bhattakne se faayed,
Dariya hua hai gum to samandar talash kar,

Tareekh main mahal bhi hai haakim bhi, takht bhi,
Gumnaam jo huye hain woh lashkar talash kar,

Rehta nahin hai kuch bhi yahan ek sa sadaaa,
Darwaaza ghar ka khol ke phir ghar talash kar,

Koshish bhi kar umeed bhi rakh raasta bhi chun,
Phir us ke baad thora muqaddar talaash kar..



Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai..

Ghazal Shayari

jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai

Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai,
Sang har shakhss ne hathon main utha rakha hai,

Us ke dil par bhi karri ishq main guzri ho gi,
Naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakha hai,

Pathro aaj mere sar pe baraste kyun ho,
Main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai,

Ab meri deed ki duniya bhi tamashaayi hai,
Tu ne kya mujh ko mohabbat main bana rakha hai,

Pi ja ayaam ki talkhi ko bhi hanss kar nasir,
Gham ko sehne main bhi qudrat ne maza rakha hai..



Mera zameer bohat hai mujhe saza ke liye..

Ghazal Shayari

Mera zameer bohat hai mujhe saza ke liye,
Tu dost hai to naseehat na kar khuda ke liye,

Woh kashtiyan meri patvaar jin ke toot gaye,
Woh baadbaan jo taraste rahe havaa ke liye,

Bas ek huuk si dil se uthe ghaTtaaa ki tarah,
Ke harf o saut zaroori nahin dua ke liye,

Jahan main reh ke jahan se barabri ki yeh choTt,
Ik imtehan-e-musalsal meri anaa ke liye,

Main tera dost hoon tu mujh se is tarah to na mil,
Barat yeh rasm kisi surat-ashnaa ke liye,

Miloon ga khaak main ik roz beej ke manind,
Fanaa pukaar rahi hai mujhe baqaa ke liye,

Jafaa jafaa hi agar hai to ranj kya ho shaz,
Wafa ki pusht-panahi bhi ho jafaa ke liye..

مرا ضمیر بہت ہے مجھے سزا کے لیے - شاذ تمکنت



Insha ji utho ab kuuch karo..

Ghazal Shayari

insha ji utho ab kooch karo

Insha ji utho ab koooch karo is sheher main jee ko lagana kya,
Wehshi ko sukoon se kya matlab jogi ka nagar main thikaana kya,

Is dil ke dareeda daaman ko dekho to sahi socho to sahi,
Jis jholli main sau chhaid huye us jholli ka phailaana kya,

Shabb-beeti chaand bhi doob chala zanjeer parri darwaaze main,
Kyun dair gaye ghar aaye ho sajni se karo ge bahaana kya,

Phir hijr ki lambi raat miyan sanjog ki to yehi ek gharri,
Jo dil main hai labb par aanay do sharmaana kya ghabraana kya,

Us roz jo un ko dekha hai ab khawb ka aalam lagta hai,
Us roz jo un se baat hui woh baat bhi thi afsaana kya,

Us hussn ke sache moti ko hum dekh saken par chhuu na saken,
Jisse dekh saken par chhuu na saken woh daulat kya woh khazaana kya,

Jab sheher ke log na rasta dain kyun ban main na ja bisraam kare,
Deewaanon ki si na baat kare to aur kare deewana kya..

Watch Video



Kab thehre ga dard aye dil kab raat bassar hogi..

Ghazal Shayari

Kab thehre ga dard aye dil kab raat bassar hogi,
Suntay thay woh aayen ge suntay thay sehar hogi,

Kab jaan lahuu hogi kab ashk guhar hoga,
Kis din teri shunvaayi ae deedaa-e-tar hogi,

Kab mehke gi fassl-e-gull kab behke ga maii-khaana,
Kab subhh-e-sukhann hogi kab shaamm-e-nazzar hogi,

Waayez hai na zahid hai naseh hai na qaatil hai,
Ab shehr main yaron ki kis tarah bassar hogi,

Kab tak abhi raah dekhen ae qaamat-e-jaanana,
Kab hashar muyayyan hai tujh ko to khabar hogi..



Ishq ko be-naqaaab hona tha..

Ghazal Shayari

jigar moradabadi poetry

Ishq ko be-naqaaab hona tha,
Aap apna jawaab hona tha,

Masst-e-jaaam-e-sharaaab hona tha,
Be-khudd-e-izztiraab hona tha,

Teri ankhon ka kuch qasoor nahin,
Haan mujhi ko kharaab hona tha,

Aao mil jaao muskura ke gale,
Ho chuka jo itaab hona tha,

Kuchaaa-e-ishq main nikal aaya,
Ji ka khaana-kharab hona tha,

Hum ne nakaamiyon ko dhoond liya,
Aaakhrish kaamyaab hona tha,

Haaye woh lamhaaa-e-sukooon ke jisse,
Mehshhar-e-iztiraab hona tha,

Nigaaah-e-yaaar khud tarrap uthi,
Shartt-e-awwall kharaab hona tha,

Kyun na hota sitam bhi be-payan,
Karamm-e-behisaab hona tha,

Kyun nazar hairaton main doob gayi,
Maujj-e-sadd-iztiraab honaa tha,

Ho chukaa rozz-e-avvaleen hi ‘jigar’,
Jis ka jitna kharaab hona tha..



Woh shaks kabhi jis ne mera ghar nahin dekha..

Ghazal Shayari

dilawar figar poetry

Woh shakhss kabhi jis ne mera ghhar nahin dekha,
Us shakhss ko maine kabhi ghhar par nahin dekha,

Kya dekho ge haall-e-dill-e-barbaaad ke tum ne,
Curfew main mere sheher ka manzzar nahin dekha,

Jaan dene ko pohanche thay sabhi teri gali main,
Bhaage to kisi ne bhi palatt kar nahin dekha,

Daarrhi tere chehre pe nahin hai to ajab kya,
Yaaron ne tere paitt ke andar nahin dekha,

Tafreeh yeh hoti hai ke ham saer ki khaatir,
Saahil pe gaye aur samandar nahin dekha,

Footpath pe bhi ab nazar aate hain commissioner,
Kya tum ne koi ‘oath commissioner’ nahin dekha,

Afsos ke ik shakhss ko dil dene se pehle,
Mattke ki tarah thonk-bajaaa kar nahin dekha..



Haal-e-gham un ko sunaate jayiye..

Ghazal Shayari

khumar barabankvi poetry

Haal-e-gham un ko sunaate jayiye,
Shart yeh hai muskuraate jayiye,

Aap ko jaate na dekha jaye ga,
Shamaaa kp pehle bujhaate jayiye,

Shukria lutff-e-musalssal ka magar,
Gaahe-gaahe dil dukhaate jayiye,

Dushmanon se pyaar hota jaaye ga,
Doston ko aazmaate jayiye,

Roshni mehdood ho jin ki ‘khumar’,
Un charaaghon ko bujhaate jayiye..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari