Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Agaah apni maut se koi bashar nahin..

Ghazal Shayari

Hairat Allahabadi Poetry

Agaah apni maut se koi bashar nahin,
Samaaan sau barass ka hai pal ki khabar nahin,

Aa jayen raub-e-ghair main hum woh bashar nahin,
Kuch aap ki tarah humen logon ka ddar nahin,

Ik to shab-e-firaq ke sadmay hain jaan-gudaaz,
Andhair is pe yeh hai ke hoti sehar nahin,

Kya kahiye is tarah ke talaavuun-mizaaaj ko,
Vaade ka hai yeh haal, idhar haan udhar nahin,

Rakhte qadam jo vaadi-e-ulfat main be-dharrak,
‘Hairat’ sivaa tumhare kisi ka jigar nahin..



Jab bhi teri yaadon ke silsla sa chalta hai..

Ghazal Shayari

sath sath chalta hai

Jab bhi teri yaadon ke silsla sa chalta hai,
Ik charaagh bujhta hai ik charaagh jalta hai,

Shart gham-gusaari hai warna yuun to saaya bhi,
Door door rehta hai, sath sath chalta hai,

Sochta hoon akhir kyun roshni nahin hoti,
Daagh bhi ubharte hain, chand bhi nikalta hai,

Kese kese hungaame uth ke reh gaye dil main,
Kuch pata magar un ka aansuyon se chalta hai,,



Waqt khush khush kaatne ka mashwara dete huye..

Ghazal Shayari

waqt khush khush kaatne ka mashwara

Waqt khush khush kaatne ka mashwara dete huye,
Ro parra woh aap mujh ko hauslaa dete huye,

Us se kab dekhi gayi thi mere rukh ki murdani,
Phair leta tha woh muuh mujh ko davaa dete huye,

Be-zabaani bakhsh di khud-ehtisaabi ne mujhe,
Hont sil jaate hian duniya ko gilaa dete huye,

Apni raah masduud kar de ga yehi barrhta hujoom,
Yeh na sochaa har kisi ko raasta dete huye,

Aap apne qatal main shamil tha main maqtuul-e-shauqq,
Yeh khulaa mujh par talab ka khuun-bahaa dete huye,

Woh humen jab tak nazar aata raha takte rahe,
Geeli aankhon ukhrre lafzon se duaa dete huye,

Jaane kis dehshat ka saaya us ko mohr-e-lab hua,
Dar raha hai woh mujhe khul kar sadaa dete huye,

Be-aman tha aap lekin mojzaa hai yeh ‘ryaz’,
Haala-e-shafqat tha us ko aasra dete huye..



Bazzm-e-takallufaat sajaane main reh geya..

Ghazal Shayari

Woh waqt ka jahaz tha

Bazzm-e-takallufaat sajaane main reh geya,
Main zindagi ke naaz uthaane main reh geya,

Taaseer ke liye jahan tehreef ki gayi,
Ik jholl bas wahin pe fasaane main reh geya,

Sab mujh pe mohr -e-jurm lagaate chale gaye,
Main sab ko apne zakham dikhaane main reh geya,

Khud haadsa bhi maut pe us ki tha dam-ba-khud,
Woh dusron ki jaan bachaane mein reh geya,

Ab ehl-e-kaarvaaan pe lagaata hai tohmaten,
Woh hamsafar jo heelay bahaane main reh geya,

Woh waqt ka jahaz tha karta lihaaz kya,
Main doston se haath milaane main reh geya,

Sunta nahin hai muft jahan baat bhi koi,
Main khaali haath aese zamaane main reh geya,

Bazar-e-zindagi se qazaa le gayi mujhe,
Yeh daur mere daam lagaane main reh geya,

Yeh bhi hai ek kaar-e-numayan ‘hafiz’ ka,
Kya saadaa-loh kaise zamaane main reh geya..



Ja ke phir laut jo aye woh zamanaa kesa..

Ghazal Shayari

saleem ahmed poetry

Ja ke phir laut jo aye woh zamanaa kesa,
Teri aankhon ne yeh chairra hai fasaana kesa,

Aankh sharamsaar-e-tamanna hai, tu vada kar le,
Chaal kehti hai ke ab laut ke aana kesa,

Mujh se kehta tha ke saaye ki tarah saath hain hum,
Yuun na milne ka nikaala hai bahaana kesa,

Khud bhi socha tha bohat, us ne bhi pucha tha bohat,
Haal jab khud hi na samjhe to sunaana kesa,

Tujh ko paanay ki havass thi, so kise maloom tha,
Apne hi aap ko kho bethen ge, paana kesa..



Dil main aur to kya rakha hai..

Ghazal Shayari

dil main aur to kya rakha hai

Dil main aur to kya rakha hai,
Tera dard chupaa rakha hai,

Itne dukhon ki tez hawaa main,
Dil ka deep jalaa rakha hai,

Dhoop se chehron ne duniya main,
Kya andher machaa rakha hai,

Is nagrii ke kuch logon ne,
Dukh ka naam davaa rakha hai,

Vaaada-e-yaaar ki baat na cherro,
Yeh dhoka bhi khaa rakha hai,

Bhool bhi jao beeti baaten,
In baaton main kya rakha hai,

Chup chup kyun rehte ho ‘nasir’,
Kya yeh rog laga rakha hai..



Ek yaad ki maujoodgi seh bhi nahin saktey..

Ghazal Shayari

Ek yaad ki maujoodgi seh bhi nahin saktey
Yeh baat kisi aur se keh bhi nahin saktey

Tu apne gehan mein hai to main apne gehan mein
Do chaand hain ek abr mein geh bhi nahin saktey

Hum-jism hain aur dono ki bunyadein amar hain
Ab kaise bichhar jain ki Dah bhi nahin saktey

Dariya hoon kisi roz muawan ki tarah mil
Yeh kya ke hum ek laher mein beh bhi nahin saktey

Khuwaab aayen kahan se agar ankhain hoon purani
Aur subh tak is khof mein reh bhi nahin saktey



Bhanwar main mashware paani se leta hoon..

Ghazal Shayari

Main har mushkil ko asani se leta hon

Bhanwar main mashware paani se leta hoon,
Main har mushkil ko aasaani se leta hoon,

Jahan danaayi deti hai koi moqa,
Wahan main kaam nadaani se leta hoon,

Woh mansoobe hain kuch abaad hone ke,
Main jin par raaye veerani se leta hoon,

Ab apne aablon ki ghaatiyon se bhi,
Samandar dekh asaani se leta hoon,

Nahin leta magar lene pe aaon to,
Main badlaa aag ka paani se leta hoon,

Nazzar-andaaz kar deti hai jab duniya,
Janam khud apni heraani se leta hoon,

Jahan mushkil main parr jate hain gird-o-pesh,
Wahan main saans asaani se leta hoon,

Lagata hai meri beenayi par tohmat,
Main fatway jis ki uryaani se leta hoon..



Main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai..

Ghazal Shayari

Main khayal hoon kisi aur ka

Main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai,
Sar-e-aayina mera akss hai pass-e-aayina koi aur hai,

Main kisi ke dasst-e-talab main hoon to kisi ke harf-e-dua main hon,
Main naseeb hoon kisi aur ka mujhe maangta koi aur hai,

Ajab aitbar o be-aitbari ke darmiyaan hai zindagi,
Main qareeb hoon kisi aur ke mujhe janta koi aur hai,

Meri roshni tere hadh-o-haal se mukhtalif to nahin magar,
Tu qareeb aa tujhe dekh loon tu wohi hai ya koi aur hai,

Tujh dushmanon ki khabar na thi mujhe doston ka pata nahin,
Teri daastaan koi aur thi mera waqeya koi aur hai,

Wohi munsifon ki riwayeten wohi faislon ki ibaarten,
Mera jurm to koi aur tha pr meri saza koi aur hai,

Kabhi laut aayen to poochna nahin, dekhna unhe ghaur se,
Jinhe raaste main khabar hui ke yeh rasta koi aur hai,

Jo meri riyazat-e-neem-shab ko ‘saleem’ subh na mil saki,
To phir is ke maani to yeh huye ke yahan khuda koi aur hai..



Kitne aish se rehte hon ge kitne itraate hon ge..

Ghazal Shayari

Kitne aish se rehte hon ge kitne itraate hon ge,
Jaane kese log woh hon ge jo us ko bhaate hon ge,

Shaam huye khush-bash yahan ke mere paas aa jate hain,
Mere bujhne ka nazaara karne aa jate hon ge,

Woh jo na aanay wala hai na us se mujh ko matlab tha,
Aanay walon se kya matlab aatay hain aatay hon ge,

Us ki yaad ki baad-e-sabaa main aur to kya hota hoga,
Yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate hon ge,

Yaaro kuch to zikr karo us ki qayamat banhon ka,
Woh jo simat-te hon ge un main woh to mar jaate hon ge,

Mere saans ukharrte hi sab bain karen ge royen ge,
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate hon ge..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari