Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Misaal khaak kahin par bikhar kar dekhte hain..

Ghazal Shayari

mar ke dekhte hain

Misaal-e-khaak kahin par bikhar kar dekhte hain,
Qaraar mar kar mile ga to mar kar dekhte hain,

Suna hai khawb kabhi mukammal nahin hote,
Suna hai ishq khataa hai so kar ke dekhte hain,

Kisi ki aankh main dhhal jata hai hamara akss,
Jab aayine main bann-sanwar ke dekhte hain,

Hamare ishq ki meeraas hai bas aik hi khawb,
To aao hum usay tabeer kar ke dekhte hain..



Hum ko bhi tamanna thi ke chaahay jaatay..

Ghazal Shayari

tum se ulfat ke taqaze

Tum se ulfat ke taqaaze na nibhaye jatay,
Warna hum ko bhi tamanna thi ke chahe jatay,

Dil ke maron ka na kar gham ke yeh ando-naseeb,
Zakham bhi dil main na hota to karaahay jatay,

Hum-nigaahi ki humen khud bhi kahan thi taufeeq,
Kum-nigaahi ke liye uzzar na chahay jatay,

Lazat-e-dard se aaasooda kahan dil walay,
Hai faqat dard ki hassrat main karaahay jatay,

Di na mohlat humen hassti ne wafaa ki warna,
Aur kuch din gham-e-hassti se nibhaye jatay..



Maine chaaha bhi magar tum ko bhulaya na geya..

Ghazal Shayari

Daagh-e-gham dil se kisi tarah mittaya na geya,
Main ne chaha bhi magar tum ko bhulaya na geya,

Umar bhar yuun to zamaane ke masaayeb jhailay,
Teri nazron ka magar haar uthaya na geya,

Roothne wale se itna koi ja kar puuche,
Khud hi roothay rahe ya hum se manaya na geya,

Us ne is tarah mohabbat ki nigaahen daali,
Hum se duniya ka koi raaz chupaaya na geya,

Thi haqeeqat main wohi manzil-e-maqsad jazbi,
Jis jagah tujh se qadam agay barrhaya na geya..



Hai ishq to phir assar bhi hoga..

Ghazal Shayari

Hai ishq to phir assar bhi hoga,
Jitna hai idhar, udhar bhi hoga,

Maana yeh ke dil hai us ka pathar,
Pathar main nihaan sharar bhi hoga,

Hasne de usay lehad pe meri,
Ik din wohi nauhaa-gar bhi hoga,

Naadan, na samajh jahaan ko ghar,
Is ghar se kabhi safar bhi hoga,

Zulfon se jo us ki chaaye gi raat,
Chehre se ayaa’n qamar bhi hoga,

Shahbaz main aaib hi nahin kul,
Ek adh koi hunar bhi hoga..



Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi..

Ghazal Shayari

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi,
Dil ko khushi ke sath sath hota raha malaal bhi,

Sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuch aese dekhta,
Ek dafah to ruk gayee gardish-e-maah-o-saal bhi,

Dil to chamak sake ga kya phir bhi tarash ke dekh lain,
Sheesha giraan-e-sheher ke haath ka yeh kamaal bhi,

Us ko na pa sake thay jab dil ka ajeeb haal tha,
Ab jo palatt ke dekhiye baat hi kuch muhaal thi,

Meri talab tha aik shaks woh jo nahin mila to phir,
Hath dua se yoon giray bhool gaya sawaal bhi,

Uss ki sukhnn taraaziyan mere liye bhi dhaal theen,
Us ki hansi main chupp geya apne ghamon ka haal bhi,

Shaam ki nasamajh hawaa puch rahi hai aik pata,
Mauj-e-hawaa-e- ku-e-yaar, kar kuch to mera khayal bhi..



Hujoom main tha woh khul ka na ro saka hoga..

Ghazal Shayari

khul kar na ro saka hoga

Hujoom main tha woh khul ka na ro saka hoga,
Magar yaqeen hai ke shab bhar na so saka hoga,

Woh shaks jis ko samajhne main mujh ko umar lagi,
Bichar ke mujh se kisi ka na ho saka hoga,

Laraztay hath, shikassta si ddor sanson ki,
Woh khushk phool kahan tak piro saka hoga,

Mere liye woh qabeelay ko chor kar ata,
Mujhe yaqeen hai yeh us se na ho saka hoga..



Yaad-e-maazi azaab hai ya rab..

Ghazal Shayari

Yaad-e-mazi azaab hai ya rab

Seena khoon se bhara hua mera,
Uff yeh bd-mast mai-kada mera,

Na-rasaayi pe naaz hai jis ko,
Haaye woh shoq na-rasaa mera,

Ishq ko muu dikhaaon ga kyun-kar,
Hijr main rang urr geya mera,

Dil gham-deeda pr khudaa ki maar,
Seena aahon se chhal geya mera,

Yaad ke tand-o-taiz jhonkay se,
Aaj har daagh jal utha mera,

Yaad-e-maazi azaab hai ya rab,
Cheen le mujh se haafza mera,

Minat-e-chargh se barii hoon main,
Na hua jeetay jee bhala mera,

Hai bara shughal zindagi akhtar,
Poochte ho kya mashghala mera..



Mujh se ooncha tera qadd hai, hadh hai..

Ghazal Shayari

mujh se oncha tera qadd hai

Mujh se ooncha tera qadd hai, hadh hai,
Phir bhi seenay main hassad hai, hadh hai,

Mere to lafz bhi korri ke nahin,
Tera nukta bhi sanad hai, hadh hai,

Teri har baat hai sar ankhon pr,
Meri har baat hi rad hai, hadh hai,

Ishq meri hi tamanna to nahin,
Teri niyat bhi to badd hai, hadh hai,

Zindagi ko hai zaroorat meri,
Aur zaroorat bhi ashad hai, hadh hai,

Be-tahasha hain sitaare lekin,
Chand bass aik adad hai, hadh hai,

Ashk ankhon se yeh keh kar nikla,
Yeh tere zabt ki hadh hai? hadh hai,

Rokte kyun nahin is ko jaazil,
Yeh jo saanson ki rassad hai, hadh hai..



Mujhe dost ban ke daghaa na de..

Ghazal Shayari

Mere hum-nafass mere hum-nawaa, mujhe dost ban ke dagha na de,
Main hoon dard-e-ishq se jaan ba-lab mujhe zindagi ki dua na de,

Main gham-e-jahan se nidhaal hoon ke saraapa huzn-o-malaal hoon,
Jo likhe hain mere naseeb main, woh alam kisi ko khuda na de,

Na yeh zindagi meri zindagi, na yeh dastaan meri daastan,
Main khayal o veham se door hoon, Mujhe aj koi sadaa na de,

Mere ghar se door hain raahaten, mujhe dhoondti hain museebten,
Mujhe khauf yeh ke mera pata koi gardashon ko bataa na de,

Mujhe chorr de mere haal pr, tera kya bharosa ae chaaragar,
Yeh teri nawaazish-e-mukhtasar, mera dard aur barrhaa na de,

Mera azam itna buland hai ke paraaye sholon ka ddar nahin,
Mujhe khauf aatish-e-gul se hai kahin yeh chaman ko jalaa na de,

Dar-e-yaar pe barri dhoom hai, wohi aashiqon ka hujoom hai,
Abhi neend aani hai husn ko, koi shor kar ke jagaa na de,

Mere daagh-e-dil se hai roshni, yehi roshni meri zindagi,
Mujhe dar hai ae mere chaaragar, yeh chiraagh tu hi bhujaa na de,

Woh uthe hain le ke khum-o-subuu, aray ae shakeel kahan hai tu,
Tera jaam lene ko bazm main, koi aur hath barrha na de..

Watch Video



Tumhare sheher ka mausam barra suhaana lage..

Ghazal Shayari

tumhare bas main agar ho

Tumhare sheher ka mausam barra suhaana lage,
Main ik shaam chura loon agar bura na lage,

Tumhare bas main agar ho to bhool jao humen,
Tumhen bhulaane main shayed mujhe zamaana lage,

Hamare pyar se jalne lagi hai ik duniya,
Dua karo kisi dushman ki baduaa na lage,

Na jane kya hai us ki be-baak ankhon main,
Woh mu chupaa ke jaye bhi to bewafa na lage,

Jo doobna hai to itne sakoon se doobo,
Ke aas paas ki lehron ko bhi pata na lage,

Ho jis ada se mere sath bewafayi kar,
Ke tere baad mujhe koi bewafa na lage,

Woh phool jo mere daaman se ho geya mansoob,
Khuda kare usay bazaar ki hawa na lage,

Tum aankh muund ke pe jao zindagi qaiser,
Ke aik ghoont main shaayed yeh bd-maza na lage..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari