Haris Jameel

Ranjish.com has lots of Urdu Haris Jameel Poetry. Feel free to add your own Haris Jameel Shayari here.

Haris Jameel Collection

Haris Jameel is an Urdu Poet from Pakistan. Lets all read Haris Jameel ghazals and nazam on Ranjish.com



Ghoomte phirte kidhar agaya main..

Haris Jameel

ghoomte phirte kidhar agaya main,
yeh to lagta hai ke ghar agaya main,

acha khaasa woh khaRra hans raha tha,
aur phir us ko nazar agaya main,

aap maathe pe shikan mat daalen,
ghair-danista idhar agaya main..



Woh mujh main is tarah se runama ho kar chala jaye,

Haris Jameel

woh mujh main is tarah se runama ho kar chala jaye,
ke jaise bekhayali main koi manzar chala jaye,

mujhe marna gawara hai magar phir hadsa yuun ho,
kise ke pas bhoole se mera number chala jaye,

achanak se mile woh aur pooche haal kaisa hai,
jawaban ankh main meri koi kankar chala jaye,

suna to hai tawazan naam ki bhi cheez hoti hai,
to kyun na hath main le kar saghar, chala jaye,

ali wala hoon sau talwar ki hajat nahin mujh ko,
nihata choRr kar mujhe lashkar beshak chala jaye,

zara mushkil nahi hai aj kal to hukmrani bhi,
jise bhi raaj karna hai sar-e-mimbar chala jaye,

khuda ke naam par bandon ko itna mat hirasaan kar,
kahin aesa na ho yun ik na ik ddar chala jaye,

sahulat se jise kafir samajh kar maar dete ho,
bane ga kya agar jannat main woh kafir chala jaye..



Hudood-e-sheher-e-talismat se nikal jaye..

Haris Jameel

Hudood-e-sheher-e-talismat se nikal jaye,
aseer-e-khaak samawaat se nikal jaye,

maza to phir hai ab yuun ho us kahani main,
charagh se nahin jinn hath se nikal jaye,

main har kisi se mohabbat se milne lagta hoon,
agar yeh aeb meri zaat se nikal jaye,

woh janta hai mere hath main nahin kuch bhi,
use pata hai to phir ghaat se nikal jaye.



Aik shakhss yahan mubtlaa-e-hairat hai.

Haris Jameel

Aik shakhss yahan mubtalaa-e-hairat hai,
jo aagahi main hai wo mawraye-hairat hai,

suna hai aj bhi woh mujh ko yaad karta hai,
par is khabar main khushi ke bajaye hairat hai,

mere sikhaye bhi shamil hain nuktaa-cheenon main,
baRrh gaye hain mere qadd se saye hairat hai,

Jahan se guzre woh har cheez theher jati hai,
faqat woh laRrki nahin saraye hairat hai,

yahan to koi baseerat-zada nahin milna,
chaar samt ajab se wabaye-hairat hai,

main un tamam manazir ka hoon bohat mamnoon,
ke jin ke husn ke sadqe baqaye hairat hai,

hawaas-bakhta hoon main sun ke teri batain,
rakhe hai tu bhi mohabbat pe raye, hairat hai,

humen tu itni musafat pe baad bhi na mila,
kisi ko mil gaya bethe bithaye hairat hai..



Yeh kin lamhaat main bethe huye hain..

Haris Jameel

yeh kin lamhaat main bethe huye hain,
shikaari ghaat main bethe huye hain,

baRrhaa kar hath us ko chhuu to lain hum,
magar aukaat main bethe huye hain,

sahulat se jo aage baRrh saken ge,
wohi khadshaat main bethe huye hain,

ali ke naam lewaon main bethe,
lage sadaat main bethe huye hain,

yahan par bethna banta nahi hai,
magar jazbaat main bethe huye hain,

mera kya hai chala jaon ga main to,
magar jo sath main bethe huye hain..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Haris Jameel.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari