Nida Fazli
Ranjish.com has lots of Urdu Nida Fazli Poetry. Feel free to add your own Nida Fazli Shayari here.Nida Fazli Collection
Nida Fazli 1938- |
Nida Fazli is an inspiration Urdu poet from India. His real name is Muqtida Hasan Nida Fazli. We bring you the best of Nida Fazli Poetry right here at one place.
Koshish bhi kar umeed bhi rakh..
Nida Fazli
Nazdeekiyon main door ka manzzar talash kar,
Jo haath main nahin hai woh pathar talash kar,
Suraj ke ird-gird bhattakne se faayed,
Dariya hua hai gum to samandar talash kar,
Tareekh main mahal bhi hai haakim bhi, takht bhi,
Gumnaam jo huye hain woh lashkar talash kar,
Rehta nahin hai kuch bhi yahan ek sa sadaaa,
Darwaaza ghar ka khol ke phir ghar talash kar,
Koshish bhi kar umeed bhi rakh raasta bhi chun,
Phir us ke baad thora muqaddar talaash kar..
Apna gham le ke kahin aur na jaya jaye..
Nida Fazli
Apna gham le ke kahin aur na jaya jaye,
Ghar main bikhri hui cheezon ko sajaya jaye,
Jin charaaghon ko hawaon ka koi khauf nahin,
Un charaaghon ko hawaon se bachaya jaye,
Khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab main,
Aur kuch din abhi auron ko sataaya jaye,
Baagh main jaane ke adaab hua karte hain,
Kisi titlee ko na pholoon se urraaya jaye,
Kya hua sheher ko kuch bhi to dikhayi de kahin,
Yuun kiya jaye kabhi khud ko rulaaya jaye,
Ghar se masjid hai bohat door chalo yuun kar len,
Kisi rotay huye bache ko hansaaya jaye..
Ajnabi sheher hai yeh, dost banaate rahiye..
Nida Fazli
Baat kamm kijiye zahaanat ko chupaate rahiye,
Ajnabi sheher hai yeh, dost banaate rahiye,
Dushmani laakh sahi, khatam na kijiye rishta,
Dil mile ya na mile, haath milaate rahiye,
Yeh to chehra faqat akss hai tasveer nahin,
Iss pe kuch rang abhi aur charhaate rahiye,
Gham hai awaara akele main bhattak jata hai,
Jiss jagah rahiye wahan milte milaate rahiye,
Jaane kab chaand bikhar jaye ghanne jungle main,
Apne andar ke dar o dewaar sajaate rahiye..
Faasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai..
Nida Fazli
Faasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai,
Woh mile ya na mile hath barrhaa karo dekho..
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta..
Nida Fazli
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta,
Kahin zameen nahin milti kahin aasman nahin milta,
Tamaam sheher main aesa nahin ke khuloos na ho,
Jahan umeed ho uss ki wahan nahin milta,
Kahan chiraagh jalaayen kahan gulaab rakhen,
Chatain to milti hain lekin makaan nahin milta,
Yeh kya azaab hai sab apne aap main gum hain,
Zubaan mili hai magar hum-zubaan nahin milta,
Chiraag jalte hain beenaayi bujhne lagti hai,
Khud apne ghar main hi ghar ka nishaan nahin milta..
Kuch bhi bachha na kehne ko har baat ho gayi..
Nida Fazli
Kuch bhi bachha na kehne ko har baat ho gayi,
Aao kahin sharaab piyen raat ho gayi..
Koshish ke baawjood yeh ilzaam reh geya..
Nida Fazli
Koshish ke baawjood yeh ilzaam reh geya,
Har kaam main hamesha koi kaam reh geya,
Uth uth ke masjidon se nimaazi chale gaye,
Dehshat gardo’n ke hath mein Islam reh geya..
Ab khushi hai na koi dard rulaney wala..
Nida Fazli
Benaam sa yeh dard theher kyun nahin jata..
Nida Fazli
Benaam sa yeh dard theher kyon nahin jata
Jo beet geya hai woh guzar kyon nahin jata
Sab kuch to hai kya dhoondti hain nigahain
Kya baat hai mein waqt pe ghar kyon jata
Woh ek hi chehra to nahin sarey jahan mein
Jo door hai woh dil se utar kyon jata
Mein apni hi uljhi huyi raahon ka tamasha
Jate hai jidar sab main udhar kyon nahin jata
Woh naam jo barson se samaya hai zehen mein
Woh khawb agar hai to bikhar kyon nahin jata
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nida Fazli.