Urdu Poets

Ranjish.com has lots of Urdu Urdu Poets Poetry. Feel free to add your own Urdu Poets Shayari here.

Urdu Poets Collection

Urdu Poets are known to be great poets. Urdu Poets and their poetry is extremely popular over the urdu readers. We have collected almost every Urdu Poets Poetry here so you can read these urdu poetry and enjoy.



Teri ek nigaah

Urdu Poets

Mere paas itnay sawaal thay meri umar se na simat sakay
Tere paas jitnay jawaab thay teri ek nigaah main aa gaye!!



Nibhao bhi

Urdu Poets

vo ehad, ehad hi kya jise nibhao bhi
hamaare vadaa-e-ulfat ko bhul jaao bhi

bhala kaha ke ham aise gumaan valey hein
hazar baar ham aaye hamein bulaao bhi

bigar chala hai bahut rasm-e-Khud_kushi ka chalan
Daraane valo kisi roz kar dikhao bhi

tumhari neend mey Dubi hui aankho ki qasam
hamin ye zid hai k jaago bhi aur jagaao bhi



Dil Me Utar Ke

Urdu Poets

Tum Sey Kitna Pyar hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo
Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo

Hum Ne Apni Har Saanss Per Naam Tera Likh Dia
Ek Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Dia

Ishq Me Tum Bhi Sanam Hadh Se Guzar Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo

Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar
Jab Se Tum Ankhoon Me Aaye Jaagti Hai Ye Nazar

Apny Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo



Urdu Poets

Saza Ban Jati Hai Guzre Huwe Waqt Ki Yaadein,
Najaane Kyun ChoOr Jaane K Liye Meharban Hote Hein LoOg…



Apni Nakaami

Urdu Poets

Apni Nakaami ka EK Yeh Bhi Sabab Hai FaRaZ.
Cheez Jo Mangte Hain Sb Se Juda Mangte Hain.



Bichar jana

Urdu Poets

Usay kehna bicharne se muhabat to nahi marti..
Bichar jana muhabat ki sadaqt ki alamat hai ..

Muhabat aik fitrat hai , Han fitrat kab badaltai hai ..
So, jab hum door ho jaein, Naye rishton mein kho jaein..

Tu yeh mat soch lena tum, Keh muhabat mar gai ho gi..
Nahi aise nahi hoga ..

Mere bare mein gar tumhari ankhein bhar ayein..
Chalak kar aik bhi ansu palak pe jo utar aye..

To bas itna samaj lena ,
Jo mere nam se itni tere DIL ko aqeedat hai..

Tere dil mein bichar kar bhi abhi meri muhabat hai ..
Muhabat tu bichar kar bhi sada abad rehti hai ..

Muhabat ho kisi se tu hamesha yaad rehti hai ..
Muhabat waqt ke Be-Reham tufaan se nahi darti..

Usay kehna bicharne se Muhabat to nahi marti?.!!!



kho diya

Urdu Poets

Ankhain khuli to jag uthi hasratain Mohsin…
usko bhi kho diya jisey paya tha khwab main.



Payaar karna hai

Urdu Poets

Wafa mein Ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say hua ?
Mujhay tu khair tera intazar karna hai

Hawa ki zad mein jalanay hain ansoon k chiraagh
Kabhi yeah jashan sar e rah?guzaar karna hai

woh muskura kay naey waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha k ussay sharamsaar karna hai

Misaal e shaakh e barhana khizan ki rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bey barg o baar karna hai

terey firaaq mein din kis tarha kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai

Chalo ye ashak hi moti samajh kay baich aein
Kisi tarha tu humain rooz?gaar karna hai

Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khda janey ye koi zid, k shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai



Seekh Jaoge

Urdu Poets

Mohabbat Farz Jaisi Hai
Nibhaana Seekh Jaoge
Dilo Pe Qarz Jaisi Hai
Chukaana Seekh Jaoge
Labo Pe Phool Jaisi Hai
Khilaana Seekh Jaoge
Nazar Mein Aag Jaisi Hai
Lagaana Seekh Jaoge
Tum Tak Faasla Jo Hai
Mitaana Seekh Jaoge
Kabhi Jo Dil Mein Aa Beithe
Zamaana Bhool Jaoge



Shehr-e-Muhabbat

Urdu Poets

Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein
Tu to is basti se khush khush chala gaya , or mein …??

Tu jo na ho to jaise sab ko chup lag jati hai
Apas mein kya batein kertey raat, diya or mein

Sair-e-chhaman adat thi pehley ab majboori hai
Teri talash mein chal pertey hein bad-e-saba or mein

Jisko dekho teri hava mein pagal phirta hai
Werna hum mashrab to nahi they khalq-e-khuda or mein

Aik to wo humraaz mera hai phir tera maddah
Bas tera hi ziker kia kertey hein Zia or mein

Aik zamaney bad ‘Faraz’ ye shair kahey meine
Ik muddat se miley nahi hein yaar mera or mein


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Urdu Poets.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari