Urdu Poets

Ranjish.com has lots of Urdu Urdu Poets Poetry. Feel free to add your own Urdu Poets Shayari here.

Urdu Poets Collection

Urdu Poets are known to be great poets. Urdu Poets and their poetry is extremely popular over the urdu readers. We have collected almost every Urdu Poets Poetry here so you can read these urdu poetry and enjoy.



Samandar mein utarta hoon tou aankhen bheeg jaati hain

Urdu Poets

Samandar mein utarta hoon tou aankhen bheeg jaati hain
Teri aankhon ko parhta hoon tou aankhen bheeg jaati hain

Tumhara naam likhne ki ijazat chhin gayi jab se
Koi bhi lafz likhta hoon tou aankhen bheeg jaati hain

Teri yaadon ki khushbu khirkiyon mein raqs karti hay
Tere gham mein sulagta hoon tou aankhen bheeg jaati hain

Main hans k jheel leta hoon judai ki sabhi rasmein
Gale jab uss k lagta hoon tou aankhen bheeg jaati hain

Na jane ho gaya hoon iss qadar hassas main kab se
Kisi se baat karta hoon tou aankhen bheeg jaati hain

Wo sub guzre hue lamhat mujh ko yaad aate hain
Tumhare khat jo parhta hoon tou aankhen bheeg jaati hain

Main saara din bahot masroof rehta hoon magar junhi
Qadam choukhat pe rakhta hoon tou aankhen bheeg jaati hain

Her ek muflis k maathe per alum ki daastanen hain
Koi chehra bhi parhta hoon tou aankhen bheeg jaate hain

Bare logon k oonche badnuma aur sard mahlon ko
Ghareeb aankhon se takta hoon tou aankhen bheeg jaati hain

Tere kooche se ab mera ta’alluq wajbi sa hay
Magar jab bhi guzarta hoon tou aankhen bheeg jaati hain

Hazaron mausamon ki hukmarani hay mere dil per
Wasi main jab bhi hansta hoon tou aankhen bheeg jaati hain



Tum meri ankh k tewar na bhula paoge

Urdu Poets

tum meri ankh k tewar na bhula paoge
ankahi bat ko samjhoge to yad aunga

ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
safah-e-zist ko paltoge to yad aunga

isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likhoge to yad aunga

sard raton k mahkate hue sannaton mein
jab kisi phul ko chumoge to yad aunga

ab tere ashk main honthon se chura leta hun
hath se khud inhen ponchoge to yad aunga

shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen
barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga

aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut
jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga

hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal
kisi diwar ko thamoge to yad aunga

is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi
tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga



Tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

Urdu Poets

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete

hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete

wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete

tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete

samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete



kya kehna

Urdu Poets

junon e ishq ki rasmen ajeeb kya kehna
main un se duur wo mere qareeb kya kehna

ye teergi musalsal mein aik waqfa noor
ye zindagi ka tilsam ajeeb kya kehna

jo tum ho barq nasheman to main nasheman barq
ulajh pare hein hamare naseeb kya kehna

laraz gayee teri lau mere dagmagane se
charag gosha koye habib kya kehna



Tumko is sy kya

Urdu Poets

Toti hai meri Neend Mgar tum ko es sy kya
Bajty rahein hawaoon say dar tum ko es sy kya

Tum moj moj Misl-e-Saba Ghoomty raho
Kat jaen meri soch k par, tum ko es sy kya

Oron ka hath thamo, unhen rasta dikhao
Mein bhul jaoon apna hi ghar, tum ko es sy kya

Lay jaein Mujhay Mal-e-Ganeemat k sath adouu
Tum nay to daal di hai sapar, tum ko es sy kya

Tum nay to thak k dasht mein khaimay laga liyee
tanha kattay kisi ka safar,tum ko es sy kya..!!!



JAHAN TUM HO

Urdu Poets

RUK HI JAATI HAI NAZAR HAD_E_NAZAR TAK “MOHSIN”.
DIL TO KEHTA HAI JAHAN TUM HO WAHAN TAK DEHKOON.!



Ishq Hai

Urdu Poets

Usay Paana, Usay Khona, Ussi Ke Hijr Mein Rona
Yehi Gar Ishq Hai Mohsin, To Hum Tanha Hi Achay Hain !



Mulakaat Musalsal

Urdu Poets

Tash’khees Baja hai ke Mujhe ishaq hua Hai
Nus’khay mein Likho, Un se Mulakaat Musalsal….!!!



MERE QAREEB HO

Urdu Poets

KOI RAAT MERE ASHNA MUJHE YOUN B TO NASEEB HO..
NA KHYAL HO LIBAS KA WO ITNA MERE QAREEB HO..

BADAN KI GARAM AANCH SE MERI AARZU KO AAG DE..
MERA JOSH B BEHAK UTHAY MERA HAAL B AJEEB HO..

TERAY CHASHNI WAJOOD KA MAIN SARA RASS NICHOR LOON..
PHIR TU HE MERA MARZ HO PHIR TU HE MERA TABEEB HO..



Tmhara Mohsin

Urdu Poets

Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin.
Me ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin.

Log sadyon ki khataon pe bhi khush baste hain.
Humko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin.

Jab agiya ho ye yaqin ab woh nahin aega.
Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin.

Woh tha jab pas to jeene ko bhi dil karta tha.
Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin.

Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin.
Uska khona bhi karen kaisa gavara mohsin………


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Urdu Poets.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari