Urdu Poets
Ranjish.com has lots of Urdu Urdu Poets Poetry. Feel free to add your own Urdu Poets Shayari here.Urdu Poets Collection
Urdu Poets are known to be great poets. Urdu Poets and their poetry is extremely popular over the urdu readers. We have collected almost every Urdu Poets Poetry here so you can read these urdu poetry and enjoy.
Angrayi pe angrayi leti hai
Urdu Poets
angrai par angrai leti hai rat judai ki
tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki
kaun siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein
main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki
wasl ki rat na jane kyun israr tha unko jane par
waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki
urte urte as ka panchi dur ufaq mein dub gaya
rote rote baith gai awaz kisi saudai ki
kisi ki ankh jo purnam nahi hai
Urdu Poets
kisi ki ankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko Gam nahi hai
savad-e-dard main tanha khara hun
palat jaun magar mausam nahi hai
samajh main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai
sulagta kyun nahi tarik jangal
talab ki lau agar maddham nahi hai
ye basti hai sitam parvar digan ki
yaha koi kisi se kam nahi hai
kinara dusara dariya ka jaise
vo sathi hai magar mahram nahi hai
dilon ki raushani bujhne na dena
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai
main tum ko chah kar pachta raha hun
koi is zaKhm ka marham nahi hai
jo koi sun sake ?Amjad? to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-Gam nahi hai
sab kuch kaha magar na
Urdu Poets
age bare na qissa-e-ishq-e-butan se ham
sab kuch kaha magar na khule razdan se ham
ab bhagte hain saya-e-ishq-e-butan se ham
kuch dil se hain dare hue kuch asman se ham
hanste hain us k giriya-e-beikhtiyar par
bhule hain bat kah k koi razadan se ham
ab shauq se bigar k baten kiya karo
kuch pa gaye hain ap ki tarz-e-bayan se ham
jannat mein tu nahin agar ye zakhm-e-teg-e-ishq
badlenge tujhko zindagi-e-jawidan se ham
Musalmanon mein khoon baki nahin hai
Urdu Poets
mohabbat ka junun baqi nahin hai
musalmanon mein khun baqi nahin hai
safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
k jazba-e-andrun baqi nahin hai
ragon mein lahu baqi nahin hai
wo dil, wo awaz baqi nahin hai
namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
ye sab baqi hai tu baqi nahin hai
Chand khushk patey they
Urdu Poets
wo koi aur na tha chand Khushk patte the
shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye the
abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya
abhi abhi to ham ek-dusare se bichre the
tumhare bad chaman par jab ik nazar dali
kali kali main Khizan k chirag jalate the
tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur bat ki ham adami to ache the
shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di
pahar gunjte the dasht sansanate the
wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar
jo zindagi se gurezan the roz marte the
naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main
hamare dil main kabhi khet lahlahate the
ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main
purane log naye admi se darte the
?Nadeem? jo bhi mulaqat thi adhuri thi
k ek chehre ke piche hazar chehre the
Har ghar se janaza sa utha ho jaise
Urdu Poets
ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise
shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise
rat ke pichle pahar ati hain avazain si
dur shahara main koi chiKh raha ho jaise
dar-o-divar pe chai hai udasi aisi
aj har ghar se janaza sa utha ho jaise
muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar
dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise
ab agar dub gaya bhi to marunga na ?Kamal?
bahte pani pe mera nam likha ho jaise
Dil ajab gumbad ke jin main
Urdu Poets
Dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin
itna viran to murdaron ka muqaddar bhi nahin
Dabati jati hain mitti main badan ki kashtiyan
dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin
jitne hangame the sukhi tahaniyon se jhar gaye
per par phal bhi nahin angan main patthar bhi nahin
Khushk tahani par parinda hai ki patta hai ?Adeem?
ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin
jitni pyari hain meri dharati jo zanjirain ?Adeem?
itana pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin
Dil ki viraniyan jatane ko
Urdu Poets
akhiri Tis azamane ko
ji to chaha tha muskurane ko
yad itni bhi sakht jan to nahin
ik gharaunda raha hai dahane ko
sangrezon main dhal gaye ansu
log hansate rahe dikhane ko
zaKhm-e-nagma bhi lau to deta hai
ik diya rah gaya jalane ko
jalane vale to jal bujhe akhir
kaun deta Khabar zamane ko
kitne majbur ho gaye honge
ankahi bat munh pe lane ko
khul ke hansana to sab ko ata hai
log tarasate rahe ik bahane ko
reza reza bikhar gaya insan
dil ki viraniyan jatane ko
hasraton ki panahgahon main
kya thikane hain sar chhupane ko
hath kanTon se kar liye zakhmi
phul balon main ik sajane ko
as ki bat ho ki sans ?Ada?
ye Khilaune hain tuT jane ko
Aaj ki raat
Urdu Poets
dil hai ainaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat
Gam-e-dauran main hai aks-e-Gam-e-yaar aaj kii raat
aatish-e-gul ko daaman se havaa detii hai
diidanii hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj kii raat
aaj kii raat kaa mahamaa hai malbuus-e-hariir
is chaman-zaar main ugate hain sharar aaj kii raat
main ne farahad kii aaGosh main shiriain dekhii
main ne paravez ko dekhaa sar-e-daar aaj kii raat
jo chaman sarf-e-Khizaan haain vo bulaate hain mujhe
mujhe fursat nahe ai jaan-e-bahaar aaj kii raat
dar-e-yazadain pe bhii jhukatii nahiain is vaqt jabiain
mujh se ankhain na lara aaj kii raat
mashaal-e-sher kaa laayaa hun charhavaa ?Abid?
jagamagaatain haain shahiidon ke mazaar aaj kii raat
Sun To sahi jahaan main
Urdu Poets
sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya
zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya
ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya
betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Urdu Poets.