Urdu Poets

Ranjish.com has lots of Urdu Urdu Poets Poetry. Feel free to add your own Urdu Poets Shayari here.

Urdu Poets Collection

Urdu Poets are known to be great poets. Urdu Poets and their poetry is extremely popular over the urdu readers. We have collected almost every Urdu Poets Poetry here so you can read these urdu poetry and enjoy.



Aankhain bheeg jaati hain

Urdu Poets

Samandar main utarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
teri aankhoun ko parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

tumhaara naam likhney ki ijaazat chin gayi jub say
koi bhi lafz likhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay
teray gham main sulagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

main huns k jhail laita hoon judaayi ki sub hee rasmain
galey jub us k lagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

najaaney hogaya hoon isqadar hassaas main kub say
kisi say baat karta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain
tumhaarey khut jo parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi
qadam chaukhat pay rakhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

hur ik muflis k maathey par alam ki daastaanain hain
koi chehra bhi parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

barey logoun k oonchey budnuma or sard mehloun ko
ghareeb aankhoun say takta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

teray koochey say ab mera talluq waajibi sa hay
magar jub bhi guzarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

hazaaroun mausamoun ki hukmraani hay meray dil par
wasi main jub bhi hunsta hoon tou aankhain bheeg jaati hain!!



Chor jaoungi

Urdu Poets

Bhulanay se jo bhuly na wo kahani chor jaoungi
teri ankhoon me pani ki aisy nami chor jaoungi

lipat kar dair tak dar-o-dewar roye gy
main aisi sog me lipti jwani chor jaoungi

mitao gy kahan thak tum meri batan meri yadan
main har ik mor per apni nishani chor jaoungi

mera ya lafz mujha mar kay bhi marna nahi dain gay
main chup ho kay bhi lehje ki rawani chor jaoun gi

kuch is tarhan se niklon gi is dunya ko thukra kar
main dushman kay bhi chehry par herani chor jaoungi …!!!



Main tera hoon

Urdu Poets

Chahay tu kam main la, Chahay nikama kar day
Main tera hoon, teri marzi mujhay jaysa karday

Main tera bemar hoon azloon say, Na mar jawoon kahieen
Ek nazar dekh lay mujh koo mujhay acha kar day…….!!!!!!

Mujh say bas itni he khuwahish meray maleek ke hay
Es k dil ko main Lubha don mujhay aysa karday….!!!!

Jo tera ho ga zamanay say wo kat jaye ga
Tu to jis shaks ko chahyee tanha kar day

Ayesa noor ayee k dunia mera chehra dekhay….!!!
Tu jo perlkoon ka meray Chehray pay saya kar day

Wo khuda tujh say faqeeroon ke tu sun layta hay
Us say kehna k mujhay ishq main Ruswa karday.!

Mujh ko deta hay wo ezat, yeh karam hay uska
Teray bas main ho agar tu mujhay Ruswa karday…



Ab woh yeh keh rahe hain meri maan jaayiye..

Urdu Poets

Ab woh yeh keh rahe hain meri maan jaayiye,
Allah teri shaan ke qurbaan jaayiye,

Bigrre huye mizaaj ko pehchaan jaayiye,
Seedhi tarah na maaniye ga maan jaayiye,

Kis ka hai khauf rokne waala hi kaun hai,
Har roz kyun na jayiye mehmaan jaayiye,

Mehfil mei kis ne aap ko dil mein chupaa liya,
Itnon mei kaun chor hai pehchaan jaayiye,

Hai tevarii mein ball to nigaahen phiri hui,
Jaate hain aise aaney se ausaan jaayiye,

Do mushkilen hain ek jataane mei shauq ke,
Pehle to jaan jaayiye phir maan jaayiye,

Insaan ko hai khaana-e-hasti mein lutf kya,
Mehmaan aaye to pashemaan jaayiye,

Go vaad-e-visaal ho jhuuta maza to hai,
Kyun kr na aise jhuut ke qurbaan jaayiye,

Reh jaaye baad vasl bhi chettap lagi hui,
Kuch rakhiye kuch nikaal ke armaan jaayiye,

Achii kahi ke ghair ke ghar tak zara chalo,
Main aap ka nahin huun nigehbaan jaayiye,

Aaye hain aap ghair ke ghar se kharre kharre,
YEh aur ko jataayiye ehsaan kar jaayiye,

Dono se imtihaan-e-wafaa pr yeh keh diya,
Manwaaayiye raqeeb ko yaa maan jaayiye,

Kya bd.gumaaniyan hain unhe mujh ko hukm hai,
Ghar mei khuda ke bhi to naa mehmaan jaayiye,

Kya farz hai ke sab meri baaten qubool hain,
Sun sun ke kuch na maaniye kuch maan jaayiye,

Saudaaaayiyan-e-zulf mai kuch to lattak bhi ho,
Jannat mei jaayiye to pareshaan jaayiye,

Dil ko jo dekh lo to yehi pyaar se kaho,
Qurbaan jaayiye tere qurbaan jaayiye,

Jaane na doon ga aap ko be-faislaa huye,
Dil ke muqadme ko abhi chhaan jaayiye,

Yeh to bajaa ke aap ko duniya se kya gharazz,
Jaati hai jis ki jaan usse jaan jaayiye,

Ghusse mei haath se yeh nishaani na gir parre,
Daaman mei le ke mera garebaan jaayiye,

Yeh mukhtasir jawab milaa arz-e-vasl pr,
Dil maanta nahin ke teri maan jaayiye,

Woh aazmuuda-kaar to hai gr walli nahin,
Jo kuch bataayiye Daag ussey maan jaaayiye…



Tum Khud Ko Juda

Urdu Poets

Phool Shaak Se Bichre To Kaheen Ka Nahi Rehta “Faraz”
Tum Khud Ko Juda Meri Zaat Se Soch K Karna………



JaB Tak

Urdu Poets

Na janE KaB Se Ho GayE ItNay ShiDDat PasaNd HaM ?
FArAz !
JaB Tak ZakhaM Na KhAyEn tAssalEE nAhi hoTi ?



Jatay Hoe

Urdu Poets

Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi ” FARAZ”
Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya .



Muskura diya

Urdu Poets

Dekha mujhe toh tarke taluk ke bawajood .
woh muskura diya yeh hunar bhi usi ka tha.,.



Is Sheher k Logon Nay

Urdu Poets

Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena

Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena

Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana

Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay.



kehne Lage

Urdu Poets

Gair To Kiya Apne Liye Bhi Bekar Howe Hum
Ek Khaar K Liye Bhi Boht Khawaar Howe Hum,

Jab Weeran Sabza Zaar Men Ek Phool Aagiya
To kehne Lage Sabhi Raqeeb Khazaan Daar Howe Hum,

Yeh Shekwe Shekayten Nahi Ahwaal Hai Mera
Ab Anjaan Hain Jin K Liye Dildaar Howe Hum,

Afsos k is Ne Wafa Ka Paas Na Rakha
Jis K Liye Khud Se Bhi Gaddaar Howe Hum.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Urdu Poets.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari