Usama Khalid

Ranjish.com has lots of Urdu Usama Khalid Poetry. Feel free to add your own Usama Khalid Shayari here.

Usama Khalid Collection

Usama Khalid is a young Urdu Poet from Gujrat, Pakistan. Lets all read and enjoy what this young Urdu poet is capable of.



imaan se batlayen to kya kuch nahin kehti

Usama Khalid

imaan se batlayen to kya kuch nahin kehti
kehne ko humen khalq e khuda kuch nahin kehti

karti hai faqat mayal awargi hum ko
mu se to kabhi ghar ki fizaa kuch nahin kehti

har moRr pe kehti hai mujhe meri sharafat
kya tujh ko zamane ki hawa kuch nahin kehti

main hoon ke usse kosta phirta hoon shab o roz
woh hai ke sar -e- farsh -e- azaa kuch nahin kehti

badzan to nahin hum se kahin gardish e doraan
kyun tanz o malamat main naya kuch nahin kehti



khawhish ka ehtraam to kar hi nahin raha

Usama Khalid

khawhish ka ehtraam to kar hi nahin raha
is dil main jis ki qabar hai mar hi nahin raha

qadmon ne kha liye hai jahan bhar ke raste
manzil kise kahoon ke safar hi nahin raha

puri hui hai tegh chalane ki arzu
ab jab mere hareef ka sar hi nahin raha

kis se karoon ga apni aziyat ka hal talab
is sheher main to koi shajar hi nahin raha

yeh jo koi bhi nasha na hone ka nasha hai
sadiyan guzar gayi hain utar hi nahin raha



ghar ki tameer ki bunyaad se pehchante hain

Usama Khalid

ghar ki tameer ki bunyaad se pehchante hain
log mujh ko dil e barbaad se pehchante hain

naam tabdeel karo shakal badal lao bhale
hum to har zeher ko ajdaad se pehchante hain

dusron ke liye woh log maseeha hon ge
hum jinhe maut ki ijaad se pehchante hain

kitna yakta hai faqeeri main taaruf mera
log mujh ko meri faryaad se pehchante hain


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Usama Khalid.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari