Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Mujhe To Zindagi Bhar Piyar Ka Waada Nibhana Hai

ghazal

Shikayat Kya Karun Dono Taraf Ghum Ka Fasana Hai
Mere Aage Mohabbat Hai Tere Aage Zamana Hai,

Pukara Hai Tujhe Manzil Ne Lekin Main Kahan Jaon
Bicharh Kar Teri Duniya Se Kahan Mera Thikana Hai,

Mubarak Ho Tujhe Jan-E-Wafa Majboriyan Teri,
Mujhe To Zindagi Bhar Piyar Ka Waada Nibhana Hai…..!!!!



Apni Khamosh Zindagi Mein

ghazal

Apni Khamosh Zindagi Main Bolana Mujh Ko
Apnay Haseen Khowab Ki Tasveer Banana Mujh Ko

Main Jo Pucho Tumhara Haal -e- DIL
Tu Apni Har Dharkan Ki Aawaz Sunana Mujh Ko

Main Jo Kabhi Routh Jao Tum Say Ager
Tu Bohat Pyaar Say Manana Mujh Ko

Jo Kabhi Ho DIL Main Hasrat Tumhari Koii
Bila Jhijhak Apni Har Hasrat Batana Mujh Ko

Jo Ho Jao ZINDAGI Main Tanha Kesi Pal
Apni Pyaar Bhari Aawaz Say Bulana Mujh Ko



Hai Yeh Meri Badnaseebi Tera Kya Kasoor Isme

ghazal

Hame koi gam nahi tha, gam-e-aashqi se pehle,
Na thi dushmani kisi se, teri dosti se pehle,

Hai yeh meri badnaseebi tera kya kasoor isme,
Tere gam ne maar daala mujhe zindagi se pehle,

Mera pyaar jal raha hai are chaand aaj chhup jaa,
Kabhi pyaar tha hame bhi teri chaandni se pehle,

Main kabhi na muskarata jo mujhe yeh ilm hota,
Ki hazaron gam milenge mujhe ek khushi se pehle,

Yeh ajeeb imtehaan hai ki tumhi ko boolna hai,
Mile kab the is tarah hum tumhaRe bedilli se pehle..!!!



Meri Palkein Bhigo Raha Hai Koi

ghazal

Meri palkeN bhigo raha hai koi
Mujh se naraaz ho raha hai koi

Jagne ki hameN saza de kar
Narm bistar pe so raha hai koi

Phool hi phool hain yahan lekin
Dil men kaante chubho raha hai koi

Hum to ro ro ke hans rahe hain Husain
Aur hans hans ke ro raha hai koi



Na Haara Hai Ishq aur Na Duniyan Thaki Hai

ghazal

na haaraa hai ishq aur na duniyaa thakii hai
diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai

sukuuN hii sukuuN hai, Khushii hii Khushii hai
teraa Gham salaamat mujhe kyaa kamii hai

vo moujood haiN aur un kii kamii hai
muhabbat bhii tanhaa?ii-e-daaimee hai

khatak gudgudii kaa mazaa de rahii hai
jise ishq kahte haiN shayad yahii hai

charaaGon ke badle makaaN jal rahe haiN
nayaa hai zamaanaa, na?ii raushnii hai

jafaaoN pe ghut ghut ke chup rahne vaalo
Khaamoshii jafaaoN kii taaiid bhii hai

mere raahbar mujh ko gum-raah kar de
sunaa hai ke manzil qariib aa ga?ii hai

?Khumar?-e-baalaanosh tuu aur taubaa
tujhe zaahidoN kii nazar lag ga?ii hai



Mere Dil Ka Dard Bhi Kal Raat Se Ziadha Hai

ghazal

Sukoot-e-Lab Meri Baat Se Ziadha Hai,
Tera Firaaq Teri Mulaqat Se Ziadha Hai,

Yeh Ek Shikast Jo Humko Hui Muhabbat Mein,
Zamanay Bhar Ki Fatohaat Se Ziadha Hai,

Umeed Tere Aanay Ki Aaj Kam Hai Magar,
Mere Dil Ka Dard Bhi Kal Raat Se Ziadha Hai,

Main Tum Se Muhabbat Toh Kar BeTha Hoon Magar,
Yeh Silsala Meri Oqaat Se Ziadha Hai…….!!!!!



Poochte Ho To Suno Kaise Basar Hoti Hai

ghazal

puuchhte ho to suno kaise basar hotii hai
raat Khairaat kii sadqe kii sahar hotii hai

saaNs bhrane ko to jiinaa nahiiN kahte yaa rab
dil hii dukhtaa hai na ab aastiiN tar hotii hai

jaise jaagii hu?ii aaNkhoN meN chubheN kaaNch ke Khvaab
raat is tarah diivaanoN kii basar hotii hai

Gham hii dushman hai meraa Gham hii ko dil DhuuNDhataa hai
ek lamhe kii judaa?ii bhii agar hotii hai

ek markaz kii talaash ek bhaTakatii Khushbuu
kabhii manzil kabhii tamhiid-e-safar hotii hai



Kahan Ho Chale Aao Mohabbat Ka Taqaza Hai

ghazal

Kaha Ho Tum Chalay Aao Mohabbat Ka Taqaza Hay
Ghum -e- Dunya Say Ghabra Kar Tumhay Dil Nay Pukara Hay

Tumhari Be Rukhi Ak Din Hamari Jaan Lay Lay Gi
Qasam Tum Ko Zara Socho Keh Dastoor -e- Wafa Kia Hay

Na Janay Kis Liye Dunya Ki Nazray Phir Gaii Ham Say
Tumhay Dekha Tumhay Chaha Qasoor Is Kay Siwa Kia Hay

Na Hay Faryaad Honton Per Na Aankhon Main Koii Aansoo
Zamanay Say Mila Jo Ghum Us Nay DIL Ko Mitaya Hay

Kaha Ho Tum Chalay Aao Mohabbat Ka Taqaza Hay
Ghum -e- Dunya Say Ghabra Kar Tumay DIL Nay Pukara Hay



Apni Hansi Pe Aata Hai Ghusa

ghazal

Kabhi apni hasi par aataa hai gussaa,
Kabhi saare jag ko hasaane ko jee chaahtaa hai..

Kabhi rota nahi main badi badi baaton par,
Kabhi yun hi aansoo bahaane ko jee chaahtaa hai..

Kabhi accha lagtaa hai aakash mein udnaa,
Kabhi kisi bandhan mein bandh jaane ko jee chaahtaa hai..

Kabhi apne bhi lagte hain begaane se,
Kabhi begaano ko bhi apnaane ko jee chaahtaa hai..

Kabhi mann chaahe saaree duniyaa ki daulat,
Kabhi apni bhi gawaane ko jee chaahtaa hai..

Kabhi mann chaahe nayaa jeevan,
Kabhi ise bhi mitaane ko jee chaahtaa hai..



Lakeeron Ko Mita Deta

ghazal

Kahan* Mumkin Tha Mein Dil Se Teri Yadein Mitta Deta

Bhala Kese Mein Jeeta Phir Agr Tujh Ko Bhula Deta,

Teri Ruswaiyoon K Darr Se “Laboon” Ko Si Lya Wrna,

Tere Shehr e Munafiq Ki Mein Bunyadein Hilla Daita,

Kia Tarrk e Wafa Us Ne Tu Hogi Uss Ki Majboori,

Jisay Barsoon “duaa” Di Thi Ose Kia Bud-Dua Deta,

“Khabar” hoti Agr Mujh Ko Nhi Hy Tu Muqaddar Mein,

Osii Lamhay Main “Hathon” Ki Lakiron Ko Mita Deta*


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari