Jon Elia

Ranjish.com has lots of Urdu Jon Elia Poetry. Feel free to add your own Jon Elia Shayari here.

Jon Elia Collection

Find the best poetry of Jon Elia. Jon Elia or Jaun Elia was a famous male poet from Pakistan. Some say that Jaun was not interested in publishing his poetry until his very last years. The reason behind this is believed to be his idleness for publishing his fathers poetry, which he was very ashamed of and later decided that he will not publish his own poetry too. . We bring you the best poetry of Jon Elia in urdu language. Jon’s poetry books were Shayad, Ya’ani, Gumaan, Lekin, Goya and Famood.
Another belief is that a vast majority of his poetry remained unpublished and was lost during his time of death.

jaun elia Jon Elia
1931-2002

Jon Elia was known to be fluent in Urdu, Arabic, English, Persian and Sanskrit.



Ik hunar hai jo kar gaya hoon main..

Jon Elia

Ik hunar hai jo kar gaya hoon main,
Sab ke dil se utar gaya hoon main,

Kese apni hansi ko zabt karoon,
Sun raha hoon ke ghar gaya hoon main,

Kya bataon ke mar nahin pata,
Jeete-jee jab se mar gaya hoon main,

Ab hai bas apna samna darpesh,
Har kisi se guzar gaya hoon main,

Wohi naz-o-ada wohi ghamze,
Sar-ba-sar aap par gaya hoon main,

Ajab ilzam hoon zamane ka,
Ke yahan sab ke sar gaya hoon main,

Kabhi khud tak pohanch nahin paya,
Jab ke vaan umar bhar gaya hoon main,

Tum se janan mila hoon jis din se,
Be-tarah khud se dar gaya hoon main,

Ku-e-janan main shor barpa hai,
Ki achanak sudhar gaya hoon main..



Abhi ik shor sa utha hai kahin..

Jon Elia

Abhi ik shor sa utha hai kahin,
Koi khamosh ho gaya hai kahin,

Hai kuch aesa ke jaise yeh sab kuch,
Is se pehle bhi ho chuka hai kahin,

Tujh ko kya ho gaya ke cheezon ko,
Kahin rakhta hai dhoondta hai kahin,

Jo yahan se kahin na jaata tha,
Woh yahan se chala gaya hai kahin,

Aaj shamshaan ki si buu hai yahan,
Kya koi jism jal raha hai kahin,

Hum kisi ke nahin jahan ke siwa,
Aesi woh khaass baat kahan hai kahin,

Tu mujhe dhoond main tujhe dhoondhon,
Koi hum main se reh gaya hai kahin,

Kitni wehshat hai darmeyan-e-hujoom,
Jis ko dekho gaya hua hai kahin,

Main to ab sheher main kahin bhi nahin,
Kya mera naam bhi likha hai kahin,

Isi kamre main koi ho ke vidaa,
Isi kamre main chup gaya hai kahin,

Mil ke har shakhs se hua mehsus,
Mujh se yeh shakhs mil chuka hai kahin..



Yaad thay, yaadgar thay hum to..

Jon Elia

Aap apna ghubaar thay hum to,
Yaad thay, yaadgar thay hum to,

Pardagi hum se kyun rakha parda,
Tere hi parda-dar thay hum to,

Waqt ki dhoop main tumhare liye,
Shajar-e-saya-daar thay hum to,

UrRe jaate hain dhool ke manind,
Aandhiyon par sawaar thay hum to,

Hum ne kyun khud pe aitbar kiya,
Sakht be-aitbar thay hum to,

Sharam hai apni baar baari ki,
Be-sabab baar baar thay hum to,

Kyun humen kar diya gaya majboor,
Khud hi be-ikhteyar thay hum to,

Tum ne kaise bhula diya hum ko,
Tum se hi mustaar thay hum to,

Khush na aya humen jiye jana,
Lamhe lamhe pe baar thay hum to,

Seh bhi lete hamare taanon ko,
Jan-e-man janisar thay hum to,

Khud ko dauran-e-hal main apne,
Be-tarah naagwar thay hum to,

Tum ne hum ko bhi kar diya barbar,
Nadir-e-rozgar thay hum to,

Hum ko yaaron ne yaad bhi na rakha,
Jaun yaaron ke yaar thay hum to..



Yeh peham talkh-kaami si rahi kya..

Jon Elia

Yeh peham talkh-kaami si rahi kya,
Mohabbat zeher kha kar ayi thi kya,

Mujhe ab tum se ddar lagne laga hai,
Tumhe mujh se mohabbat ho gayi kya,

Shikast-e-aitmad-e-zaat ke waqt,
Qayamat aa rahi thi, aa gayi kya ?

Mujhe shikwa nahin bas puchna hai,
Yeh tum hansti ho, apni hi hansi kya,

Humen shikwa nahin aik dusre se,
Manana chahiye is par khushi kya ?

Parre hain aik goshay main gumaan ke,
Bhala hum kya, hamari zindagi kya,

Main rukhsat ho raha hoon par tumhari,
Udaasi ho gayi hai multavi kya ?

Main ab har shaks se uktaa chuka hoon,
Faqat kuch dost hain, aur dost bhi kya,

Abhi hone ki baaten hain sau kar lo,
Abhi to kuch nahin hona, abhi kya ,

Yeh rabt-e-be-shikayat aur yeh main,
Jo shay seenay main thi, bujh gayi kya..



Balaa ke gham uthaye ja rahe hain..

Jon Elia

Balaa ke gham uthaye ja rahe hain
Jafaa ke teer khaye ja rahe hain

Fida karne ko deen-e-mustafa par
Ali akbar sajaye ja rahe hain

Qadam dosh-e-nabuat par thay jin ke
Woh kanton par chalaye ja rahe hain

Jahan be-izn ate thay na Jibreel
Woh kashane jalaye ja rahe hain

Bithate thay Nabi kaandhe pe jin ko
Woh naizon se giraye ja rahe hain

Hua tha jon qayem jin se parda
Woh bazaron main laye ja rahe hain

بلا کے غم اٹھائے جا رہے ہيں



Dil ki takleef kam nahin karte..

Jon Elia

Dil ki takleef kam nahin karte,
Ab koi shikwa hum nahin karte..



Sar hi ab phorriye nadamat main..

Jon Elia

Sar hi ab phorriye nadamat main,
Neend aane lagi hai furqat main,

Hain daleelen tere khilaaf magar,
Sochta hoon teri himayat main,

Ruuh ne ishq ka fareb diya,
Jism ko jism ki adavat main,

Ab faqat aadaton ki varzish hai,
Ruuh shamil nahin shikayat main,

Ishq ko darmiyan na lao ke main,
Cheekhta hoon badan ki usrat main,

Yeh kuch asaan to nahin hai ke hum
Roothte ab bhi hain murawat main,

Woh jo tameer hone wali thi,
Lag gayi aag us imarat main,

Zindagi kis tarah bassar ho gi,
Dil nahin lag raha mohabbat main,

Hasil-e-kun hai yeh jahan-e-kharab,
Yahi mumkin tha itni ujlat main,

Ae khuda jo kahin nahin maujood,
Kya likha hai hamari qismat main..

سر ہی اب پھوڑیے ندامت میں - جون ایلیا



Saal-ha-saal aur ik lamhaa..

Jon Elia

Saal-ha-saal aur ik lamhaa,
Koi bhi to na in main bal aya,

Khud hi ik dar pe maine dastak di,
Khud hi larka sa main nikal aya..



Gaahe-gaahe ab yehi ho kya..

Jon Elia

Gaahe-gaahe ab yehi ho kya,
Tum se mil kar bohat khushi ho kya,

Mil rahi ho barre tapaak ke sath,
Mujh ko yaksar bhula chuki ho kya,

Yaad hain ab bhi apne khawb tumhen,
Mujh se mil kar udaas bhi ho kya,

Bas mujhe yuun hi ik khayal aya,
Sochti ho to sochti ho kya,

Kya kaha ishq javedani hai,
Aakhri bar mil rahi ho kya,

Mere sab tanz be-assar hi rahe,
Tum bohat door ja chuki ho kya,

Dil main ab soz-e-intezar nahin,
Shama-e-umeed bujh gayi ho kya,

Is samandar tishna-kaaam hoon main,
Baan tum ab bhi beh rahi ho kya..

گاہے گاہے بس اب یہی ہو کیا - جون ایلیا



Beqarari si beqarari hai..

Jon Elia

Beqarari si beqarari hai,
Vasl hai aur firaq taari hai,

Jo guzari na ja saki hum se,
Hum ne woh zindagi guzari hai,

Nighare kya huye ke logon pr,
Apna saaya bhi ab to bhari hai,

Bin tumhare kabhi nahin ayi,
Kya meri neend bhi tumhari hai,

Aap mai kaise aaon main tujh bin,
Saans jo chal rahi hai aari hai,

Us se kahiyo ke dil ki galiyon main,
Raat din teri intezari hai,

Hijr ho ya visaal ho kuch ho,
Hum hain aur us ki yadgari hai,

Ik mehak samt-e-dil se aayi thi,
Main yeh samjha teri sawari hai,

Hadson ka hisab hai apna,
Warna har aan sab ki baari hai,

Khush rahe tu ke zindagi apni,
Umar bhar ki umeed-vaari hai..

بے قراری سی بے قراری ہے - جون ایلیا


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Jon Elia.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari