Urdu Munir Niazi Poetry
This website contains Urdu Munir Niazi Poetry. Feel free to add your own Urdu Munir Niazi Poetry here.Advertisement
Munir Niazi Poetry
Kisi Ko Apnay Amal Ka Hisaab Kya Detay ?
Munir Niazi Poetry
Kisi Ko Apnay Amal Ka Hisaab Kya Detay ?
Sawaal Saaray Ghalat Thy Jawab Kya Detay ?
Kharab Sadyon Ki Be-Khwabiyan Theen Aankhon Main
Ab In Be-Aant Khala’on Main Khwaab Kya Detay ?
Hawa Ki Tarha Musafir Thy Dilbaron K Dil
Unhain Bus Aik Hee Ghar Ka Azaab Kya Detay ?
Sharaab Dil Ki Talab Thi Sharaa K Pehray Main
Hum Itni Tangi Main Us Ko Sharaab Kya Detay ?
Munir Dasht Shuroo Se Saraab Aasa Tha
Os Aainay Ko Tamanna Ki Aab Kya Detay?
…
Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha
Munir Niazi Poetry
Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha
Jab Tak Raha Main, Saath Mere Yeh Hunar Raha
Subah-E-Safar Ki Raat Thi, Taare The, Aur Hawa
Saaye Sa Ek, Der Talak, Baam Par Raha
Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi
Par Main Bula Raha Tha Jise, Bekhabar Raha
Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi
Doori Ka Yeh Tilism Bada Kaargar Raha
Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua
Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai,Yehi Dil Mein Dar Raha
Is Aakhiri Nazar Mein Ajab Dard Tha ‘Munir’
Jaanay Ka Uske Ranj Mujhe Umr Bhar Raha
…
Hamesha der kar deta hoon mein
Munir Niazi Poetry
hamesha der kar deta hun main
zaruri bat kahni ho
koi wada nibhana ho
use awaz deni ho
use wapas bulana ho
hamesha der kar deta hun main
madad karni ho uski
yar ki dharas bandhana ho
bahut derina raston par
kisi se milne jana ho
hamesha der kar deta hun main
badalte mausamon ki sair main
dil ko lagana ho
kisi ko yad rakhna ho
kisi ko bhul jana ho
hamesha der kar deta hun main
kisi ko maut se pahle
kisi gam se bachna ho
haqiqat aur thi kuch
us ko ja k ye batana ho
hamesha der kar deta hun main
…
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Munir Niazi Poetry.



