Aansoo Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Aansoo Shayari Poetry. Feel free to add your own Aansoo Shayari Shayari here.

Aansoo Shayari Collection

Aansoo means Tears, So this is another unhappy form of Urdu poetry. Aansoo shayari is loved by people who are depressed and are in tears. Aansoo shayari is a popular topic in urdu poetry.



Qurbaton me bhi judai ke zamaane maange..

Aansoo Shayari

Qurbaton me bhi judai ke zamaane maange,
Dil woh be-mehr ke rone ke bahane maange,

Hum na hote to kisi aur ke charche hote,
Halqat-e-shehr to kehne ko fasaane maange,

Yehi dil tha ke tarassta tha maraasim ke liye,
Ab yehi tark-e-talluq ke bahaane maange,

Apna yeh haal ke jee haar chuke lutt bhi chuke,
Aur mohabbat wohi andaaz puraane maange,

Zindagi hum tere daaghon se rahe sharminda,
Aur tu hai ke sadaaa aayina-khaane maange,

Dil kisi haal pe qaane hi nahin jaane faraz,
Mil gaye tum bhi to kya aur na jaane maange..



Falak tha jin ki nigahon me manzl e yakgam

Aansoo Shayari

Falak tha jin ki nigahon me manzl e yakgam,
Chaman me aaj wo rote hain baal o par k lie.



Fasale aise bhi hon ge ye kabhi socha na tha

Aansoo Shayari

Fasale aise bhi hon ge ye kabhi socha na tha,
Samane betha tha mere aur wo mera na tha.



Ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne

Aansoo Shayari

Ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne,
Kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota.



Ashk ko juram samjate hain zamane wale

Aansoo Shayari

Ashk ko juram samjate hain zamane wale,
Jo yahan piar kare ga wo saza pae ga.



Ajab kal sham ka manzar raha hai

Aansoo Shayari

Ajab kal sham ka manzar raha hai,
Falak mere laho se tar raha hai.



Zaraf zameen ka kam parne lagta hai jab

Aansoo Shayari

Zaraf zameen ka kam parne lagta hai jab,
Tab pathar se chashma phoot nikalta hai.



Tilasam khana umeed se rihai par

Aansoo Shayari

Tilasam khana umeed se rihai par,
Main roo para tha magar log muskarate the.



Taaq e masargan pe lazarte rahe ashkon k charagh

Aansoo Shayari

Taaq e masargan pe lazarte rahe ashkon k charagh,
Kis taqalaf se hanse ajj ye hansane wale.



Zarorat hai hamen ae dil laho k chand qatron ki

Aansoo Shayari

Zarorat hai hamen ae dil laho k chand qatron ki,
Kisi k naam maqtoob e wafa tehreer karna hai.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Aansoo Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari