Designed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Designed Shayari Poetry. Feel free to add your own Designed Shayari Shayari here.

Designed Shayari Collection

Designed Poetry is a form of poetry which is in the form of picture. This kind of Urdu Designed Poetry is made up in photoshop. This is a pure art, to represent your thoughts in a picture. Designed Poetry is hugely popular in pakistan, people love reading Designed Poetry because its not in text so its not boring to read. This is often called Urdu Picture Poetry.



Tu naya hai to dikha subh nayi, shaam nayi..

Designed Shayari

in ankhon ne dekhe hain naye saal kayi

Tu naya hai to dikha subh nayi, shaam nayi,
Warna in aankhon ne dekhe hain naye saal kayi..



Husn-e-maah garche ba-hangaam-e-kamal acha hai..

Designed Shayari

ghalib poetry

Husn-e-maah garche ba-hangaam-e-kamal acha hai,
Us se mera maah-e-khurshid-jamaal acha hai,

Bossa dete nahin aur dil pe hai har lehza nigaah,
Jee main kehte hain ke muft aye to maal acha hai,

Aur bazaar se le aaye agar toot gaya,
Saaghar-e-jaam se mera jaam-e-sifal acha hai,

Be-talab dein to maza us main sivaa milta hai,
Woh gadaa jis ko na ho khuu-e-sawal acha hai,

Un ke dekhe se jo aa jati hai muuh pr raunaq,
Woh samajhte hain ke beemaar ka haal acha hai,

Dekhiye paate hain ushaaq buton se kya faiz,
Ik barhaman ne kaha hai ke yeh saal acha hai,

Qatraa dariyaa main jo mil jaye to dariyaa ho jaye,
Kaam acha hai woh jis ka ke maal acha hai,

Hum ko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin,
Dil ke khush rakhne ko ghalib yeh khayal acha hai..



Ik ajnabi ke hath main de kar hamara haath..

Designed Shayari

new year poetry

Ik ajnabi ke hath main de kar hamara haath,
Lo saath chorrne laga aakhir yeh saal bhi..



Itna to mujhe yaad hai kuch us ne kaha tha..

Designed Shayari

itna to mujhe yaad hai

Itna to mujhe yaad hai kuch us ne kaha tha,
Kya us ne kaha tha yeh mujhe yaad naheen..



Ashiq thay sheher main jo puraane sharab ke..

Designed Shayari

ashiq thay jo

Ashiq thay sheher main jo puraane sharaab ke,
Hain un ke dil main vaswasay ab ehtisaab ke,

Woh jo tumhare hath se aa kar nikal geya,
Hum bhi qaatil hain ussi khana-kharab ke,

Phoolon ki saij par zara araam kya kiya,
Us gul-badan pe naqssh uth aaye gulaab ke,

Soye to dil main ek jahan jaagne laga,
Jaage to apni aankh main jaale they khawb ke,

Bas tishnagi ki aankh se dekha karo unhe,
Dariya ravaan-davaan hain chamakte saraab ke,

Kis tarah jamaa kijiye ab apne aap ko,
Kaghaz bikhar rahe hain puraani kitaab ke..



Seena dehak raha ho to kya chup rahe koi..

Designed Shayari

jaun eliya poetry

Seena dehak raha ho to kya chup rahe koi,
Kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi,

Saabit hua sukoon dil-o-jaan kahin nahin,
Rishton main dhoondta hai to dhoonda kare koi,

Tarkk-e-taluqaat koi masla nahin,
Yeh to woh raasta hai ke bas chal parre koi,

Deewar janta tha jise woh dhool thi,
Ab mujh ko aitmaad ki daawat na de koi,

Main khud yeh chahta hoon ke halaat hon kharaab,
Mere khilaaf zeher ugalta phire koi,

Ae shakhss ab to mujh ko sabhi kuch qabool hai,
Yeh bhi qabool hai ke tujhe cheen le koi,

Haan theek hai main apni anaaa ka mareez hoon,
Aakhir mere mizaaj main kyun dakhal de koi,

Ik shakss kar raha hai abhi tak wafaa ka zikr,
Kaash is zabaan-daraaz ka muu noch le koi..



Woh zulm-o-sitam dhaaye aur mujh se wafa mange..

Designed Shayari

Gham bhi hai, udasi bhi, tanhai bhi, ansu bhi..

Woh zulm-o-sitam dhaaye aur mujh se wafa mangay,
Jaise koi gul kar ke deepak se ziyaa mangay,

jeena bari naimat hai jeene ka chalan sikhen,
Acha to nahin koi marne ki duaa mangay,

Gham bhi hai udaasi bhi tanhai bhi aansu bhi,
Sab kuch to mayassar hai dil mangay to kya mangay,

Auqaat hai kya us ki woh pesh-e-nazar rakhe,
Insan na koi apne daaman se siva mangay,

Phir chehra-e-qatil ki nazron ko zaroorat hai,
Phir kuucha-e-qatil ki dil aaab-o-havaa mangay..

Woh zulm-o-sitam dhaye aur mujh se wafa mangay..



Is se aagay to bas la-makaan reh geya..

Designed Shayari

yeh safar bhi mera

Is se aagay to bas la-makaaan reh geya,
yeh safar bhi mera raayegaan reh geya,

Ho gaye apne jismon se bhi be-neyaaz,
Aur phir bhi koi darmiyaan reh geya,

Raakh poron se jharrti gayi umar ki,
Saans ki naaliyon main dhuaan reh geya,

Ab to raasta bataane pe mamuur hoon,
Be-haddaf teer tha be-kamaaan reh geya,

Jab palat hi chale ho to ae deeda-varo,
Mujh ko bhi dekhna main kahan reh geya,

Mit geya hoon kisi aur ki qabar main,
Mera katbaa kahin be-nishaan reh geya..



Do chaar gaam raah ko hamvaar dekhna..

Designed Shayari

har admi main hote hain

Do chaar gaam raah ko hamvaar dekhna,
Phir har qadam pe ik nayi deewar dekhna,

Aankhon ki raushni se hai har sang aayina,
Har aayine main khud ko gunaahgaar dekhna,

Har aadmi main hote hain dass bees aadmi,
Jis ko bhi dekhna ho kayi baar dekhna,

Maidaan ki haar jeet to qismat ki baat hai,
Tuuti hai kis ke haath main talvaar dekhna,

Dariyaa ke is kinaare sitaare bhi phool bhi,
Dariyaa charrhaa hua ho to us paar dekhna,

Achi nahin hai sheher ke raston se dosti,
Aangan main phail jaaye na bazaar dekhna..



Zameen uthaaon ga aur asmaan pe rakh don ga..

Designed Shayari

zameen uthaon ga

Zameen uthaaon ga aur asmaan pe rakh don ga,
Jahan ki cheez hai ja ke wahan pe rakh doon ga,

Main ghar ke sath banaon ga aik choti dukan,
Phir apne khawb utha ke dukan pe rakh doon ga,

Mujhe dua pe zara bhi yaqeen nahin hai magar,
Jo tu kahe to diya aastaan pe rakh doon ga,

Yeh aag meri nahin hai jis ki hai utha lo mian,
Main sar-phiraa hoon na-jane kahan pe rakh doon ga..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Designed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari