Ali Zaryoun

Ranjish.com has lots of Urdu Ali Zaryoun Poetry. Feel free to add your own Ali Zaryoun Shayari here.

Ali Zaryoun Collection

Ali Zaryoun is an Urdu poet gaining huge popularity among young literature lovers. We at ranjish.com like him a lot.



Jaagna aur jagaa ke so jana..

Ali Zaryoun

Jaagna aur jagaa ke so jana,
Raat ko din bana ke so jana,

Text karna tamaam raat us ko,
Ungliyon ko dabaa ke so jana,

Aaj phir dair se ghar aya hoon,
Aaj phir muu bana ke so jana..



Paraayi neend main sone ka tajurba kar ke..

Ali Zaryoun

Paraayi neend main sone ka tajurba kar ke,
Main khush nahin hoon tujhe khud main mubtila kar ke,

Yeh kyun kaha ke tujhe mujhse pyar ho jaye,
TaRrap utha hoon tere haq main baddua kar ke,

Main jootiyon main bhi betha hoon puray maan ke sath,
Kisi ne mujh ko bulaya hai iltijaa kar ke,

To phir woh rote huye manatain bhi maante hain,
Jo intiha nahin karte hain ibtidaa kar ke,

Bashar samajh kar kiya tha na yun mujhe nazar-andaz,
Le main bhi chorr raha hoon tujhe khuda kar ke,

Mana bhi loon ga, galay bhi lagaon main Ali,
Abhi to dekh raha hoon use khafa kar ke..



Yeh zulm mujh se nahin ho saka, nahin kiya hai..

Ali Zaryoun

Yeh zulm mujh se nahin ho saka, nahin kiya hai,
Khayal main bhi use be-ridaa nahin kiya hai,

Main aik shakhs ko imaan janta hoon to kya,
Khuda ke naam pe logon ne kya nahin kiya hai,

Isi liye to main roya nahin bichaRrte samay,
Tujhe rawana kiya hai juda nahin kiya hai,

Yeh badtameez agar tujh se Ddar rahe hain to phir,
Tujhe bigaRr kar maine bura nahin kiya hai..



Baghdad nahin, misr nahin, shaam nahin hai..

Ali Zaryoun

Baghdad nahin, misr nahin, sham nahin hai,
Yeh kesi jagah hoon jahan kohraam nahin hai,

Tafteesh karo mujh se mere khawb ke baare,
Maloom karo kyun mujhe araam nahin hai,

Sayara ajab taish main aya hai dobara,
Aur dheyan rahe yeh koi ilhaam nahin hai,

Main us ka giriftar-e-kashish hoon to bura kya,
Yeh baat mujhe fakhar hai ilzaam nahin hai,

Main kar to raha hoon teri duniya ki hifazat,
Lekin main bata doon yeh mera kaam nahin hai,

Mumkin hai mere log use khawb main sun lain,
Ik naam jo filhal mera naam nahin hai,

Kuch roz main abaad karoon ga woh sitara,
Woh surkh sitara jo abhi aam nahin hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ali Zaryoun.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari