Tehmina Rao

Ranjish.com has lots of Urdu Tehmina Rao Poetry. Feel free to add your own Tehmina Rao Shayari here.

Tehmina Rao Collection

Tehmina Rao is a fabulous Urdu poet residing in Sydney, Australia.



Sitaare ki tarah tooti hui hoon

Tehmina Rao

zameen par is liye hi aa giri hoon
sitaare ki tarah tooti hui hoon

main khud ko maarne pe tul chuki thi
main khud se bhaag kar zinda bachi hoon

duhaayi de raha hai mera malba
main teri ankh main bikhri paRri hoon

mujhe taskheer karna tha zamana
main apne hi muqabil aa gayi hoon

teri surat nigahon main bassi hai
main duniya main tujhi ko dekhti hoon



Mohabbat kis ko kehte hain, adavat kis ko kehte hain..

Tehmina Rao

Mohabbat kis ko kehte hain, adawat kis ko kehte hain,
BichaRr kar tum se jana hai, qayamat kis ko kehte hain,

Isi zid main utri hoon, qayamat-khez lehron main,
Ke dekhoon gi mohabbat main karamat kis ko kehte hain,

Zamana puchta kuch hai, bata doon aur hi kuch main,
Tumhi se maine seekha hai wazahat kis ko kehte hain,

Abhi khamosh bethi hoon magar main waqt paRrne par,
Zamane ko bata doon gi baghawat kis ko kehte hain,

Hazaron dard seh kar bhi yeh dete hain duaa sab ko,
Ke ehl-e-ishq se seekho, sakhawat kis ko kehte hain..



Jab bhi aangan main tere chand nikla hoga..

Tehmina Rao

Jab bhi aangan main tere chand nikla hoga,
Mere baare main kabhi tu ne socha hoga,

Mashwra hai ke kisi aik se mukhlis rehna,
Jaane wale yeh tumhare liye acha hoga,

Us ne phoolon ki numayesh main kahan jana hai,
Muskurate huye jis ne tujhe dekha hoga,

Mudatton baad guzarna hai tere gaon se,
Mudatton baad kisi baat pe rona hoga,

Meri zulfon ko bikharne se bacha le warna,
Dekh ae shakhs tujhe sara bichaRrna hoga,

Tujh ko Tehmina yeh ik baat samajhna hogi,
Ishq karna hai to ik roz bichaRrna hoga..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Tehmina Rao.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari