Zafar Iqbal
Ranjish.com has lots of Urdu Zafar Iqbal Poetry. Feel free to add your own Zafar Iqbal Shayari here.Zafar Iqbal Collection
Zafar Iqbal 1933- |
Zafar Iqbal is a famous Urdu Poet from Okara. You can find all his poetry only at Ranjish.com
Yaksu bhi lag raha hoon bikharne ke bawjuud..
Zafar Iqbal
Yaksu bhi lag raha hoon bikharne ke bawjuud,
Puri tarah mara nahin marne ke bawjuud,
Ik dhuup si tani hui badal ke aar-paar,
Ik pyaas hai ruki hui jharne ke bawjuud,
Us ko bhi yaad karne ki fursat na thi mujhe,
Masruuf tha main kuch bhi na karne ke bawjuud,
Pehla bhi dusra hi kinara ho jis tarah,
Halat wohi hai paar utarne ke bawjuud,
Apni taraf hi rukh tha wahan vardaat ka,
Ilzaam us ke naam pe dharne ke bawjuud,
Hairaan hoon mujh main itni yeh himmat kahan se ayi,
Kar hi geya hoon kaam jo darne ke bawjuud,
Jaisa bhi yeh safar ho zara ghaur kijiye,
Kaisa ravaan-davaan hoon thehrne ke bawjuud,
Nikla nahin hai koi nateeja yahan zafar,
Karne ke bawjuud na bharne ke bawjuud..
Agar iss khel me ab woh bhi shamil hone wala hai..
Zafar Iqbal
Agar iss khel me ab woh bhi shamil hone wala hai,
To apnaa kaam pehle se bhi mushkil hone wala hai,
Hawaa shakhon me rukne aur ulajhne ko hai iss lamhe,
Guzarte baadalon me chaand haayel hone wala hai,
Assar ab aur kya honaa tha us jaan-e-taghaaful pr,
Jo pehle besh-o-kam tha woh bhi zaayel hone wala hai,
Zeyada naaz ab kya kijiye josh-e-jawani pr,
Ke yeh tufaan bhi rafta raftaa saahil hone wala hai,
Hamiin se koi koshish ho na paayi kaargar warna,
Har ik naaqiss yahan kaa peer-e-kaamil hone wala hai,
Haqeeqat me bohat kuch khone wale hain yeh saada-dil,
Jo yeh samjhe huye hain un ko haasil hone wala hai,
Hamare haal-maston se khabar hone se pehle hi,
Yahaan pr aur hi kuchh rang-e-mehfil hone wala hai,
Chalo iss marhale pr hi koi tadbeer kar dekho,
Wagarna sheher me paani to daakhil hone wala hai,
“zafar” kuch aur hi ab shobda dikhayiye warna,
Yeh daava e sukhan-daani to baatil hone wala hai..
Abhi to karna parre ga safar dobara mujhe..
Zafar Iqbal
Abhi to karna parre ga safar dobara mujhe,
Abhi kare nahin araam ka ishaara mujhe,
Lahuu me aayega tufaan-e-tund raat-ba-raat,
Karegii mauj-e-balaa-khaizz paara-paara mujhe,
Bujha nahin mere andar ka aaftaab abhi,
Jalaa ke khaak kare ga yahi sharaara mujhe,
Utaaar phenktaa main bhi yeh taar-taar badan,
Aseer-e-khaak hoon karna parra guzaara mujhe,
Urre woh gard ke main chaar-suu bikhar jaaun,
Ghubaar me nazar aaye na koi chaara mujhe,
Meri hudood me hai mere aas paas ki dhund,
Rahaa yeh sheher to is ka nahin ijaara mujhe,
Seher huyi to bohat dair tak dikhaayi diyaa,
Ghuroob hotii huyi raat ka kinaara mujhe,
Meri fazaa me hai tarteeb kaainaat kuch aur,
Ajab nahin jo tera chaand hai sitaara mujhe,
Na chhuu sakun jise kya us ka dekhna bhi “zafar”,
Bhalaa laga na kabhi duur ka nazaara mujhe..
Abhi kissi ke na mere kahe se guzre ga..
Zafar Iqbal
Abhi kissi ke na mere kahe se guzre ga,
Woh khud hi ek din iss daayere se guzre ga,
Bhari rahe abhi aankhon me uss ke naam ki neend,
Woh khawb hai to yunhi dekhne se guzre ga,
Jo apne aap guzartaa hai kuucha -e- dil se,
Mujhe gumaan tha mere mashwre se guzre ga,
Qareeb aane ki tamheed ek yeh bhi rahii,
Woh pehle pehle zaraa faasle se guzre ga,
Qasoor-waar nahin phir bhi chuptaa phirta hoon,
Woh meraa chorr hai aur mere saamne se guzre ga,
Chhupi ho shayed issi me salaamti dil ki,
Yeh rafta rafta agar tootne se guzre ga,
Hamari saada dili thi jo ham samajhte rahe,
Ke akss hai issi aayine se guzre ga,
Samajh hamen bhi hai itni ke uss ka ehd-e-sitam,
Guzaarna hai to ab hausle se guzre ga,
Galii galii mere zaray bikhar gaye “zafar”,
Khabar na thi ke woh kis raaste se guzre ga..
Abhi aankhen khuli hain aur kya kya dekhne ko..
Zafar Iqbal
Abhi aankhen khuli hain aur kya kya dekhne ko,
Mujhe paagal kiya uss ne tamaasha dekhne ko,
Woh surat dekh li ham ne to phir kuch bhi na dekha,
Abhi warna parri thi aik duniyaa dekhne ko,
Tamanna ki kisse parwah ke sone jaagne mein,
Muyassar hain bohat khawb-e-tamanna dekhne ko,
Bazaahir mutmayin main bhi raha iss anjuman me,
Sabhi maujood the aur woh bhi khush tha dekhne ko,
Ab us ko dekh kar dil ho geya hai aur bi bojhal,
Tarasta tha yehi dekho to kitnaa dekhne ko,
Ab itnaa husn ankhon me samaaye bhi to kyun kr,
Wagarna aaj usse ham ne bhi dekhaa dekhne ko,
Chupaaya haath se chehra bhi uss na-meherbaan ne,
Hum aaye they “zafar” jis ka saraapa dekhne ko..
Yeh dil buraa sahi sar-e-bazaar to na kehh..
Zafar Iqbal
Yeh dil buraa sahi sar-e-bazaar to na kehh,
Aakhir tu iss makaan me kuch din raha to hai..
Israar tha unhe ke bhulaa dijiye..
Zafar Iqbal
Israar tha unhe ke bhulaa dijiye zafar,
Hum ne bhula dia to woh is pr bhi khush nahin..
Bohat suljhii hui baaton ko bhi uljhaaye rakhte hain..
Zafar Iqbal
Bohat suljhii hui baaton ko bhi uljhaaye rakhte hain,
Jo hai kaam aaj ka kal tak usse lattkaye rakhte hain,
Taghaaful sa ravaa rakhte hain uss ke samne kya kya,
Magar andar hi andar tabaa ko lalchaaye rakhte hain,
Hamari justujuu se duur-tr hai manzil e maani,
Ussi ko khoye rakhna hai jisse hum paaye rakhte hain,
Hamari aarzuu apni samajh me bhi nahin aati,
Pajaama is tarah ka hai jisse ulttaaye rakhte hain,
Hawaayen bhuul kar bhii is taraf kaa rukh nahin kartin,
So yeh shaakh e tamasha aap hi thaaraaye rakhte hain,
Issi ki roshni hai aur issi me bhassm hona hai,
Yeh shola shaam ka jo raat bhar bharrkaaye rakhte hain,
Yeh ghar jis ka hai uss ne wapis aana hai “zafar” is me,
Issi khaatir dar-o-deewar ko mehkaaye rakhte hain..
Bewafaayi karke nikluun ya wafaa kar jaaun ga..
Zafar Iqbal
Bewafaayi karke nikluun ya wafaa kar jaaun ga,
Sheher ko har zaaiqe se aashnaa kar jaaun ga,
Tuu bhi dhoonde ga mujhe shoq-e-sazaa me ek din,
Main bhi koii khuubsurat si khataa kar jaaun ga,
Mujh se achaayi bhi na kar meri marzii ke khilaaf,
Warna main bhi haath koi duusra kar jaaun ga,
Mujh me hain gehri udaasi ke jaraasiim iss qadar,
Main tujhe bhii is maraz me mubtalaa kar jaaun ga,
Shor hai iss ghar ke aangan me “zafar” kuch roz aur,
Gumbad -e- dil ko kissi din be-sadaaa kar jaaun ga..
Baat aisi bhi koi nahin ke mohabbat bohat zeyada hai..
Zafar Iqbal
Baat aisi bhi koi nahin ke mohabbat bohat zeyada hai,
Lekin hum donon se uss ki taaqat bohat zeyada hai,
Aap ke peechey peechey phirne se to rahe iss umar me hum,
Raah pe aa baithe hain yeh bhi ghaneemat bohat zeyada hai,
Ishq udaasi ke paighaam to laata rehta hai din raat,
Lekin hum ko khush rehne ki aadat bohat zeyada hai,
Kaam to kaafi rehta hai lekin karnaa hai kis ne yahan,
Beshak roz idhar aa niklo fursat bohat zeyada hai,
Kyaa kuch ho na saka hum se aur hone wala hai kya kuch,
Hassrat bhi kaafi hai lekin hairat bohat zeyada hai,
Sair hi kar ke aa jayenge phir bazaar-e-tamasha ki,
Jiss shai ko bhi haath lagayen qeemat bohat zeyada hai,
Uss ki tawajoh haasil ki aur beech me sab kuch chorr diya,
Hikmat jinti bhi ho iss me himaaqat bohat zeyada hai,
Ishq hai kis ko yaad ke hum to darte hi rehte hain sadaa,
Hussn woh jaisa bhi hai uss ki dehshat bohat zeyada hai,
Ek cheez jo apnii rasaayi se bahar hai kahin “zafar”,
Sach puucho to iss ki hamen zaroorat bhi bohat hai..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Zafar Iqbal.