Zafar Iqbal

Ranjish.com has lots of Urdu Zafar Iqbal Poetry. Feel free to add your own Zafar Iqbal Shayari here.

Zafar Iqbal Collection

Zafar Iqbal
1933-

Zafar Iqbal is a famous Urdu Poet from Okara. You can find all his poetry only at Ranjish.com



Aag ka rishta nikal aaye koi paani ke sath..

Zafar Iqbal

Aag ka rishta nikal aaye koi paani ke sath,
Zinda reh sakta hoon aisi hi khush-imkani ke sath,

Tum hi batlaao ke uss ki qadr kya hogi tumhe,
Jo mohabbat muft me mil jaaye asaani ke sath,

Baat hai kuch zinda reh jaana bhi apna aaj tak,
Lehar thi asuudgi ki bhi pareshaani ke sath,

Chal raha hai kaam sara khawb mil jul kar yahan,
Kufr bhi chimtaa hua hai jazba-e-imaani ke sath,

Farq parrta hai koi logon me rehne se zaroor,
Sheher ke adaab they apni bayabaani ke sath,

Yeh woh duniya hai ke jis ka kuch thikaana hi nahin,
Hum guzaara kar rahe hain dushman-e-jaani ke sath,

Raayegaani se zara aagey nikal aaye hain hum,
Iss dafah to kuch giraani bhi hai arzaani ke sath,

Apni marzii se bhi hum ne kaam kar daale hain kuch,
Lafz ko larrwa diya hai beshtar maaani ke sath,

Faaslon hi faaslon me jaan se haara “Zafar”,
Ishq tha lahoriye ko ek multaani ke sath..



Main to us ke aik ik lamhe ka rakhta hoon shumaar..

Zafar Iqbal

Main to us ke aik ik lamhe ka rakhta hoon shumaar,
Aur mere haal-e-dil se bekhabar kesa hai woh..



Bijlii giri hai kal kissi ujrre makaan pr..

Zafar Iqbal

Bijlii giri hai kal kissi ujrre makaan pr,
Rone laguun ki hanss parroon is daastaan pr,

Woh qehar tha ke raat kaa pathar pighal parra,
Kyaa aatishiin gulaab khilaa aasmaanon pr,

Ik naqsh sa nikhaarta rahega nigaah me,
Ik harff saa laraztaa rahega zubaan pr,

Apne liye hi aankh ka pardaa huun raat din,
Main warna aashkaar huun saare jahaan pr,

Sher aa ke cheer phaarr geya mujh ko khawb me,
Dum-bhar ko meri aankh lagii thi machaan pr,

Pyaasi hai ruuh jism sharaabuur hai to kya,
Bekaar me barastaa rahaa saayebaan pr,

Peeli hawaa me khuun ka zara urra hi tha,
Paagal hua yeh sheher zara se nishaan pr,

Khaali parri hain bed ki bemaar kursiyaan,
Khuun khawb dhuup dhund barasti hai lawn pr,

Kis taaza maarke pe gayaa aaj phir “zafar”,
Talvaar taaq me hai na ghorra hai thaan pr..



Bass ek bar kisi ne gale lagaaya tha..

Zafar Iqbal

Bass ek bar kisi ne gale lagaaya tha,
Phir us ke baad na main tha na mera saya tha,

Gali me log bhi the mere us ke dushman log,
Woh sab pe hansta hua mee dil me aaya tha,

Uss ek dasht me sau sheher ho gaye abaad,
Jahaan kissi ne kabhi kaarvaan luttaaya tha,

Woh mujh se apnaa pata puchne ko aa nikle,
Ke jin se main ne khud apnaa suraagh paaya tha,

Mere wajood se gulzaar ho ke niklii hai,
Woh aag jis ne tera pairahann jalaaya tha,

Mujhi ko taana-e-ghairat-garii na de pyare,
Yeh naqsh main ne tere haath se mitaaya tha,

Ussi ne ruup badal kar jagaa diya aakhir,
Jo zeher mujh pe kabhi neend ban ke chhaaya tha,

“zafar” ki khaak me hai kis ki hasrat-e-tameer,
Khayal-o-khawb me kis ne yeh ghar banaaya tha..



Hussn ke inkaar se bhi kuch to parda reh geya..

Zafar Iqbal

Hussn ke inkaar se bhi kuch to parda reh geya,
Main bhi kaafi mutmayin hoon woh bhi acha reh geya..



Badlaa liya hasrat-e-izhaar se hum ne..

Zafar Iqbal

Badlaa liya hasrat-e-izhaar se hum ne,
Aaghaaz kiya apne hi inkaar se hum ne,

Darwaza nahin apne sarokaar me shaamil,
Hai raabta rakhaa hua deewaar se hum ne,

Imkaan sa khola hua saahil ki hawaa pr,
Umeed si baandhi hui us paar se hum ne,

Apnii hi bigaarri hui suurat ke ilaawa,
Kuch aur nikaala nahin tuumaar se hum ne,

Iss ka bhi koi fayeda pohancha na kisi ko,
Aasaan jo baraamad kiya dushwaar se hum ne,

Manzil jo hamari thi kahin reh gai peeche,
Yeh kaam liyaa tundi-e-raftar se hum ne,

Yeh dhoop hi thi apni guzargaah so rakha,
Ik faasla bhi saaya-e-ashjaar se hum ne,

Jaancha hai kissi aur tareeqe se yeh sab kuch,
Parkha hai kisi apne hi meyaar se hum ne,

Uss ki bhi adaa ke hai “zafar” aaj to qeemat,
Jo cheez khareedi nahin bazaar se hum ne..



Agar kabhi tere aazaar se nikalta hoon..

Zafar Iqbal

Agar kabhi tere aazaar se nikalta hoon,
To apne daayera-e-kaar se nikalta hoon,

Havaa e taaza hoon rukna nahin kahin bhi mujhe,
Gharon me ghustaa hoon ashjaar se nikalta hoon,

Kabhi hai uss ke mazafaat me numuud meri,
Kabhi main apne hi aasaar se nikalta hoon,

Main ghar me jab nahin hota to ghaas ki surat,
Dareecha o dar-o-dewaar se nikalta hoon,

Issi kinaara e dariyaa-e-zaat pr har dum,
Ghuroob hota hoon uss paar se nikalta hoon,

Vidaa karti hai rozaana zindagi mujh ko,
Main roz maut ke manjhdaar se nikalta hoon,

Rukaa hua koi sailaab hoon tabiyat ka,
Hamesha tundi-e-raftar se nikalta hoon,

Ise bhi kuch meri himmat hi jaaniye jo kabhi,
Khayal o khawb ke ambaar se nikalta hoon,

Libaas bechta hoon ja ke pehle apna “zafar”,
To kuch khareed ke bazaar se nikalta hoon..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Zafar Iqbal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari