Mirza Ghalib

Ranjish.com has lots of Urdu Mirza Ghalib Poetry. Feel free to add your own Mirza Ghalib Shayari here.

Mirza Ghalib Collection

Mirza Ghalib
1797-1869

Mirza Galib Poetry is loved by urdu poetry lovers around the world. Mirza Ghalib is one of the most popular poets from Delhi. Galib’s primary topic was romance, love and sadness. His real name was Mirza Asadullah Beg Khan. We have got lots of Galib Shayari collection for our users.
Ghalib was born in 1797. He was undoubtedly the most popular urdu poet the world has ever seen. He has written poetry on almost all the situations of life and love.
At Ranjish.com, you can get lots of Ghalib Poetry to read and enjoy.



Aah ko chahiye ik umar asar hote tak..

Mirza Ghalib

Aah ko chahiye ik umar asar hote tak,
Kaun jeeta hai teri zulf ke sar hote tak,

Dam-e-har-mauj main hai halqa-e-sad-kam-e-nahang,
Dekhen kya guzre hai qatre pe guhar hote tak,

Ashiqi sabar-talab aur tamanna betab,
Dil ka kya rang karoon khoon-e-jigar hote tak,

Hum ne mana ke taghaful na karo ge lekin,
Khaak ho jayen ge hum tum ko khabar hote tak,

Yak nazar besh nahin fursat-e-hasti ghafil,
Garmi-e-bazm hai aik raqs-e-sharar hote tak,

Gham-e-hasti ka asad kis se ho juz marg ilaj,
Shama har rang main jalti hai sehar hote tak..

آہ کو چاہئے اک عمر اثر ہوتے تک



Hai kuch aesi hi baat ke chup hoon..

Mirza Ghalib

Hai kuch aesi hi baat ke chup hoon,
Warna kya baat kar nahin aati..



Ibn-e-maryam hua kare koi..

Mirza Ghalib

Na suno gar bura kahe koi

Ibn-e-maryam hua kare koi,
Mere dukh ki davaa kare koi,

Sharaa-o-aayin par madaar sahi,
Aese qatil ka kya kare koi,

Chaal jaise karri kamaan ka teer,
Dil main aese ke ja kare koi,

Baat par vaan zabaan kaTti hai,
Woh kahen aur suna kare koi,

Bak raha hoon junoon main kya kya kuch,
Kuch na samjhe khuda kare koi,

Na suno gar bura kahe koi,
Na kaho gar bura kare koi,

Rok lo gar ghalat chale koi,
Bakhsh do gar khataa kare koi,

Kaun hai jo nahin hai haajat-mand,
Kisi ki haajat ravaa kare koi,

Kya kiya khizr ne sikandar se,
Ab kise rahnuma kare koi,

Jab tawaqqoh hi uth gayi ghalib,
Kyun kisi ka gilaa kare koi..

Ibn-e-Maryam hua kare koi.. Ghalib



Bana kar faqeeron ka hum bhaiss..

Mirza Ghalib

Bana kar faqeeron ka hum bhaiss ghaalib,
Tamashaye ehl-e-karam dekhte hain..



Husn-e-maah garche ba-hangaam-e-kamal acha hai..

Mirza Ghalib

ghalib poetry

Husn-e-maah garche ba-hangaam-e-kamal acha hai,
Us se mera maah-e-khurshid-jamaal acha hai,

Bossa dete nahin aur dil pe hai har lehza nigaah,
Jee main kehte hain ke muft aye to maal acha hai,

Aur bazaar se le aaye agar toot gaya,
Saaghar-e-jaam se mera jaam-e-sifal acha hai,

Be-talab dein to maza us main sivaa milta hai,
Woh gadaa jis ko na ho khuu-e-sawal acha hai,

Un ke dekhe se jo aa jati hai muuh pr raunaq,
Woh samajhte hain ke beemaar ka haal acha hai,

Dekhiye paate hain ushaaq buton se kya faiz,
Ik barhaman ne kaha hai ke yeh saal acha hai,

Qatraa dariyaa main jo mil jaye to dariyaa ho jaye,
Kaam acha hai woh jis ka ke maal acha hai,

Hum ko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin,
Dil ke khush rakhne ko ghalib yeh khayal acha hai..



Jee dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din..

Mirza Ghalib

Jee dhoondta hai fursat ke

Jee dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din,
Bethe rahen tasawwar-e-jaanan kiye huye..



Kab woh sunta hai kahani meri..

Mirza Ghalib

ghalib poetry

Kab woh sunta hai kahani meri,
Aur phir woh bhi zubaani meri..



Phir kuch ik dil ko be-qaraari hai..

Mirza Ghalib

mirza ghalib poetry

Phir kuch ik dil ko be-qaraari hai,
Seena juyaa-e-zakhamm-e-kaari hai,

Phir jigar khodne laga naakhun,
Ammad-e-fassl-e-lala-kaari hai,

Qibla-e-maqssad-e-nigaaah-e-niyaz,
Phir wohi pardaa-e-amaari hai,

Chashmm dallal-e-jinss-e-rusvaayi,
Dil khareedaar-e-zauqq-e-khwaari hai,

Dil havaa-e-khiramm-e-naz se phir,
Mehshar sitan-e-be-qaraaari hai,

Jalva phir arz-e-naaz karta hai,
Roz bazaar-e-jaaan-sipaari hai,

Phir ussi bewafa pe marte hain,
Phir wohi zindagi hamari hai,

Ho raha hai jahaan main andher,
Zulf ki phir sirishta-dari hai,

Phir huye hain gavaah-e-ishq talab,
Ashk-baari ka hukm-jaari hai,

Dil-o-mizahgaan ka jo muqadamma tha,
Aaj phir us ki ru-bukaari hai,

Be-khudi be-sabbab nahin ghalib,
Kuch to hai jis ki pardaa-dari hai..



Rahiye ab aisi jagah chal kr jahaan koi na ho..

Mirza Ghalib

rahiye ab aesi jagah ghalib

Rahiye ab aisi jagah chal kr jahaan koi na ho,
Hum-sukhan koi na ho aur hum-zubaan koi na ho,

Be-dar-o-deewaar sa ek ghar banaana chahiye,
Koi humsaaya na ho aur paasbaan koi na ho,

Parriye gr beemaar to koi na ho timaardaar,
Aur agar mar jayiye to nauha-khawaan koi na ho..



Dil-e-nadaan tujhe huaa kya hai..

Mirza Ghalib

Dil-e-nadaan tujhe huaa kya hai,
Aakhir iss dard ki davaa kya hai,

Ham hain mushtaaq aur woh be-zaar,
Yaa ilaahi yeh maajraa kyaa hai,

Main bhi muu mei zabaan rakhta hoon,
Kaash puucho ke mudaa.aa kya hai,

Jab ke tujh bin nahin koi maujood,
Phir yeh hungama ae khudaa kya hai,

Yeh pari-chehra log kaise hain,
Ghamzaa-o-ishvaa o adaa kya hai,

Shikkan-e-zulf-e-ambreen kyun hai,
Nigah-e-chashm-e-suurma saa kya hai,

Sabza o gul kahaan se aaye hain,
Abr kya hai cheez hai havaa kya hai,

Ham ko un se wafaa ki hai umeed,
Jo nahin jaante wafaa kya hai,

Haan bhalaa kar tera bhalaa hoga,
Aur darvesh ki sadaa kya hai,

Jaan tum pr nisaar karta hoon,
Main nahin jaantaa duaa kya hai,

Main ne maana ke kuch nahin “ghalib”,
Muft haath aaye to buraa kya hai..

دل_ناداں تجھے ہوا کیا ہے - مرزا غالب

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mirza Ghalib.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari