Video Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Video Shayari Poetry. Feel free to add your own Video Shayari Shayari here.

Video Shayari Collection

Video Poetry is shayari in video format. Video Shayari is recited by a female or male so that shayari lovers can hear it and watch it being recited. This type of audio shayari which can either be in urdu or in hindi is immensely popular among teenagers who don’t just like reading poetry but prefer listening to poetry in attractive voices.
Video poetry lovers usually like poetry in girls voices so we will try to record our audio and video shayari in female voices. We produce these poetry videos ourself.



Woh jo mera waqif-e-haal tha..

Video Shayari

Usay apne fardaa ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha,
Woh jo us ki subah urooj thi, woh mera waqt-e-zawaal tha,

Mera dard woh kese janta, meri baat kese woh maanta,
Woh to khud fanaa ke safar pe tha usay rokna bhi muhaal tha,

Kahan jao ge mujhe chorr kr main yeh puch puch kar thak geya,
Woh jawab mujh ko na de saka, woh to khud saraapa sawaal tha,

Woh jo us ke saamne aa geya wohi roshni main nahaa geya,
Ajab us ki haibat-e-husn thi, ajab us ka rang-e-jamaal tha,

Woh mila to sadiyon ke baad bhi mere labb pr koi gilaa na tha,
Usay meri chup ne rulaa diya jise guftguu main kamaal tha,

Mere sath woh lag ke ro diya, mujhe “fakhri” itna woh keh saka,
Jise jaanta tha main zindagi woh to sirf weham-o-khayal tha..

Watch Video



Akhri chand din december ke..

Video Shayari

Akhri chand din december ke,
Har baras hi giraan guzarte hain,
Khawhishon ke nigaar-khanay se,
Kese kese gumaan guzarte hain,

Raftagaan ke bikharte saayon ki,
Aik mehfil si dil main sajti hai,
Phone ki diary ke safhon se,
Kitne number pukaarte hain mujhe,
Jin se marboot be’nawaa ghanti,
Ab faqat mere dil main bajti hai,

Kis qadar pyare pyare naamon pr,
Reengti bad’numaa lakeeren si,
Meri aankhon main phail jati hain,
Dooriyan daayere banati hain,

Phir december ke aakhri din hain,
Har barass ki tarah se ab ke bhi,
Diary ik sawaal karti hai,
Kya khabar is baras ke akhir tak,
Mere in be’chiraagh safhon se,
Kitne hi naam katt gaye hon ge,

Kitne number bikhar ke raston main,
Gard-e-maazi se att gaye hon ge,
Khaak ki dheriyon ke daman main,
Kitne tufaan simatt gaye hon ge,

Har december main sochta hon main,
Aik din is tarah bhi hona hai,
Rang ko roshni main khona hai,

Apne apne gharon main rakhi hui,
Diary dost dekhte hon ge,
Un ki ankhon ke khaak-daanon main,
Aik sehraa sa phailta ho ga,
Aur kuch benishaan safhon se,
Naam mera bhi katt geya hoga..



Sochta hoon ke usay neend bhi ati hogi..

Video Shayari

Sochta hoon ke usay neend bhi ati hogi,
Ya meri tarah faqat ashq bahaati hogi,

Woh meri shakal mera naam bhulaane wali,
Apni tasveer se kya aankh milaati hogi,

Iss zameen pr bhi hai sailaab mere ashkon se,
Mere maatam ki sadaa arshh hilaati hogi,

Shaam hote hi woh chokhat pr jalaa kar shamen,
Apni palkon pe kayi khawb sulaati hogi,

Us ne silvaa bhi liye hon ge siyaah rang ke libaas,
Ab moharram ki tarah eid manaati hogi,

Mere tareek zamaano se nikalne wali,
Roshni tujh ko meri yaad dilaati hogi,

Dil ki masoom ragen khud hi sulagti hon gi,
Jun hi tasveer ka kona woh jalati hogi,

Roop de kar mujhe us me kisi shehzaade ka,
Apne bachon ko kahani woh sunaati hogi..



Saanson ki haraarat se pighal jane ka mausam..

Video Shayari

Saanson ki haraarat se pighal jane ka mausam,
Aya hai teri aanch main jall jane ka mausam,

Hum ko nahin maloom tha hai ishq ka aghaaz,
Yaadon main kahin door nikal jane ka mausam,

Lagta hai ke chehre pe tere theher geya hai,
Yak-lakht kabhi rang badal jane ka mausam,

Yeh sheher-e-tamanna bhi anokha hai ke is main,
Barsaat bhi rehta hai thhal jane ka mausam,

Chehre pe agarche hai mere subah ka ujaala,
Ankhon main magar shaam ke dhhal jane ka mausam..

Watch Video



Wohi hausle mere dum-ba-dum tere baad bhi..

Video Shayari

Wohi gardishen wohi paich-o-khamm tere baad bhi,
Wohi hausle mere dum-ba-dum tere baad bhi,

Tere sath thi teri har jafaa mujhe moatbar,
Tere saare gham mujhe mohtram tere baad bhi,

Mere sath hai teri har khushi teri muntazir,
Teri muntazir meri chashm-e-num tere baad bhi,

Tu kisi ke qalb-e-aarzuu main dhhal geya,
Main na kho saka kabhi khud main sanam tere baad bhi,

Mere baad kitne hi roop tu ne badal liye,
Main wohi hoon ab bhi teri qasam tere baad bhi,

Tu chala geya sabhi qehqahon ko samaitt kar,
Mere paas hai mera zarf-e-gham tere baad bhi..



Har baar mere samne aati rahi ho tum..

Video Shayari

Har baar mere samne aati rahi ho tum,
Har baar tum se mil ke bicharta raha hon main,
Tum kaun ho yeh khud bhi anhin janti ho tum,
Main kaun hoon yeh khud bhi nahin janta hon main,
Tum mujh ko jaan kar hi parri ho azaab main,
Aur iss tarah khud apni saza ban geya hoon main,

Tum jis zameen par ho main us ka khuda nahin,
Pass sar-ba-sar aziyat o aazaar hi raho,
Bezaar ho gayi ho bohat zindagi se tum,
Jab bass main kuch nahin to bezaar hi raho,
Tum ko yahan ke saaya o partau se kya gharazz,
Tum apne haq main beech ki dewaar hi raho,

Main ibtidaa se ishq se be-mehr hi raha,
Tum intihaa-e-ishq ka meyaar hi raho,
Tum khoon thookti ho yeh sun kar khushi huyi,
Iss rang is adaa mai bhi purkaar hi raho,

Main ne yeh kab kaha tha mohabbat main hai nijaat,
Main ne yeh kab kaha tha wafadaar hi raho,
Apni mata-e-naaz lutaa kar mere liye,
Bazar-e-iltifaat main nadaar hi raho,

Jab main tumhen nishaat-e-mohabbat na de saka,
Gham main kabhi sukuun-e-rifaaqat na de saka,
Jab mere sab charaagh-e-tamanna havaa ke hain,
Jab mere saarey khawb kisi bewafaa ke hain,
Phir mujh ko chaahne ka tumhe koi haq nahin,
Tanhaa karaahne ka tumhen koi haq nahin..



Kya zamana tha ke hum har roz mila karte they..

Video Shayari

Kya zamana tha ke hum har roz mila karte they,
Raat bhar chaand ke humraah phira karte they,

Jahan tanhaayiyan sar phorr ke so jati hain,
Un makaanon main ajab log raha karte they,

Kar diya aaj zamaane ne unhe bhi majboor,
Kabhi yeh log mere dukh ki dawaa karte they,

Dekh kar jo humen chup chaap guzar jaata hai,
Kabhi uss shakss ko hum pyaar kiya karte they,

Itefaqaat-e-zamana bhi ajab hain “nasir”,
Aaj woh dekh rahe hain jo suna karte they..



Mere deeda-e-tar ko mohabbat ho gayi tumse

Video Shayari

Mere deeda-e-tar ko mohabbat ho gayi tumse,
Kisi gehre samandar ko mohabbat ho gayi tumse,

Bhale woh chandni shab ho ya fasl-e-gul ki rangeeni,
Mere har aik manzar ko mohabbat ho gayi tumse,

Khuda jaane ke ab iss shughal ka anjaam kya hoga,
Dil-e-nashaad o muztar ko mohabbat ho gayi tumse,

Kisi lamhe agar tum ko mohabbat ho gayi mujhse,
Samajh lena muqadar ko mohabbat ho gayi tumse,

Jo sirf aur sirf apni zaat se pyar karta tha,
Suno ik aese pathar ko mohabbat ho gayi tumse,

Nahin jaati tumhare qurb ki khushbuu nahin jati,
Mere ujrre huye ghar ko mohabbat ho gayi tumse,

Meri aankhon ki jaanib dekh kar tum jaan sakti ho,
Ke ik gehre samandar ko mohabbat ho gayi tumse,

Kisi suurat bhi ab yeh ashq thham sakte nahin wasiq,
Mere ankhon ke saagar ko mohabbat ho gayi tumse..



Nahin ab jahan pe nishaan bhi..

Video Shayari

Nahin ab jahan pe nishaan bhi,
Yahan log bhi they makaan bhi,
Meri aarzuu main jiye woh,
Mujhe kab tha aesa gumaan bhi,

Teri berukhi ke fishaar se,
Kabhi mil sake gi amaan bhi,
Kisi khaakdaan ke hisaar main,
Meri khawhishon ka jahan bhi,

Ajab uss ka rang-e-jamaal hai,
Ke chamak utha hai makaan bhi,
Ajab us haseen ka khayal hai,
Ke mehak utha hai gumaan bhi,

Isi aasmaan ki chhat talay,
Mera aashiyan bhi urraan bhi,
Tere ik ishaare ke muntazir,
Yeh zameen bhi zamaan bhi,

Tere chashm-e-khush ki panaah main,
Mere khawb bhi mere maan bhi,
Main jahan geya mere sath thi,
Meri umar bhar ki thakaan bhi..

Watch Video



Pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao..

Video Shayari

Pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao,
Sukuut-e-marg taari hai sitaro tum to so jao,

Hanso aur hanste hanste duubte jaye khalaaon main,
Hameen pe raat bhaari hai sitaro tum to so jao,

Hamen to aaj ki shab pau phatte tak jaagna ho ga,
Yehi qismat hamari hai sitaaro tum to so jao,

Tumhen kya aaj bhi koi agar milne nahin aya,
Yeh baazi hum ne haari hai sitaro tum to so jao,

Kahe jaate ho ro ro kar hamara haal duniya se,
Yeh kaisi raazdaari hai sitaro tum to so jao,

Hamen bhi neend aa hi jaye gi hum bhi so hi jayen ge,
Abhi kuch be-qaraari hai sitaro tum to so jao..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Video Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari