Video Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Video Shayari Poetry. Feel free to add your own Video Shayari Shayari here.

Video Shayari Collection

Video Poetry is shayari in video format. Video Shayari is recited by a female or male so that shayari lovers can hear it and watch it being recited. This type of audio shayari which can either be in urdu or in hindi is immensely popular among teenagers who don’t just like reading poetry but prefer listening to poetry in attractive voices.
Video poetry lovers usually like poetry in girls voices so we will try to record our audio and video shayari in female voices. We produce these poetry videos ourself.



Iss eid pe laut ke aa jana..

Video Shayari

Iss eid pe laut ke aa jana,
Kuch yaaden taaza karni hain,
Kuch lamhe morr ke laane hain,

Woh masti aur woh madhoshi,
Woh bachpan morr ke laana hai,

Iss eid pe laut ke aa jana,
Ab dil ko dil ki dharrkan se,
Phir eid mubarak kehna hai,
Aur saath bohat din rehna hai,
Iss eid pe laut ke aa jana..

Watch Video



Umar guzre gi imtihaan main kya..

Video Shayari

Umar guzre gi imtihaan main kya,
Daagh hi do ge daan main kya,

Khamoshi keh rahi hai kaan main kya,
Aa raha hai mere gumaan main kya,

Ab koi mujh ko tokta bhi nahin,
Yehi hota hai khaandaan main kya,

Bolte kyun nahin mere haq main,
Aable parr gaye zabaan main kya,

Meri har baat be-assar hi rahi,
Nuqss hai kuch mere beyaan main kya,

Woh mile to yeh poochna hai mujhe,
Ab bhi hoon main teri amaan main kya,

Yeh mujhe chain kyun nahin parrta,
Aik hi shakss tha jahaan main kya..

عمر گزرے گی امتحان میں کیا - جون ایلیا

Watch Video



Bichrra jo aik baar to milte nahin dekha..

Video Shayari

Bichrra jo aik baar to milte nahin dekha,
Iss zakham ko hum ne kabhi silte nahin dekha,

Ik baar jisse chaat gayi dhoop ki khawhish,
Phir shaakh pe uss phool ko khilte nahin dekha,

Yak-lakht gira hai to jarren tak nikal aayin,
Jiss pairr ko aandhi main bhi hilte nahin dekha,

Kaanton main ghire phool ko choom aaye gi lekin,
Titlee ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha,

Kiss tarah meri rooh ko harri kar geya akhir,
Woh zeher jisse jism main khilte nahin dekha..

Watch Video



Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai.

Video Shayari

Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai,
Hum ko ab tak aashiqi ka woh zamaana yaad hai,

Ba-hazaran iztiraab o sad-hazaran ishtiyaq,
Tujh se woh pehle-pehal dil ka lagaana yaad hai,

Baar baar uthna usi jaanib nigaah-e-shauq ka,
Aur tera ghurfe se woh aankhen larraana yaad hai,

Tujh se kuch milte hi woh bebaak ho jana mera,
Aur tera daanton main woh ungli dabaana yaad hai,

Kheench lena woh mera parde ka kona dafa-tan,
Aur dupatte se tera woh muu chupana yaad hai,

Jab siva mere tumhara koi deewana na tha,
Sach kaho tum ko bhi woh kaar-khana yaad hai,

Ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaaf,
Woh tera chori-chupe raaton ko aana yaad hai,

Aa geya gar vasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaaq,
Woh tera ro ro ke mujh ko bi rulaana yaad hai,

Dopeher ki dhoop main mere bulaane ke liye,
Woh tera ro ro ke mujh ko bhi rulaana yaad hai,

Chori chori hum se tum aa kar mile they jis jagah,
Mudatten guzri pr ab tak woh thikaana yaad hai..

چپکے چپکے رات دن آنسو بہانا یاد ہے - حسرتؔ موہانی



Us ko juda huye bhi zamana bohat hua..

Video Shayari

Us ko juda huye bhi zamana bohat hua,
Ab kya kahen yeh qissa purana bohat hua,

Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq,
Ae marg e na-gahaan tera aana bohat hua,

Hum khuld se nikal to gaye hain pr ae khuda,
Itne se waaqiye ka fasaana bohat hua,

Ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani,
Iss aashiqi main jaan se jana bohat hua,

Ab tak to dil se dil ka taaruf na ho saka,
Maana ke us se milna milaana bohat hua,

Kya kya na hum kharab huye hain magar yeh dil,
Ae yaad-e-yaar tera thikaana bohat hhua,

Kehta tha naasehon se mere muu na aayio,
Phir kya tha ek huu ka bahana bohat hua,

Lo phir tere labon pe ussi bewafa ka naam,
Ahmed Faraz tujhe kaha naa bohat hua..

Watch Video



Jab umar ki naqdi hatam huyi..

Video Shayari

Ab umar ki naqdi khatam huyi
Ab hum ko udhaar ki haajat he
He koi jo saahukaar bane ?
He koi jo deewanhaar bane?
Kuch saal maheene din logo
Per suud beyaj ke bin logo
Haan apni jaan ke khazaane se
Haan umar ke tausha-khane se
Kia koi bhi saahukaar nahin
Kia koi bhi deewanhaar nahin
Jub naam udhaar ka aaya hai
Kiun sub ne sir ko jhukaya hai
Kuch kaam hamain nibtane hain
Jinhain jaan’ne wale jane hain
Kuch piyar dulaar ke dhande hain
Kuch jug ke dooosre phande hain
Hum maangte nahi hazaar barass
Dus paanch barass, do chaar barass
Haan! suud beyaj bhi de lain ge
Haan! aur khiraj bhi de lain ge
Aassan bane dushwar bane
Per koi to deewanhaar bane
Tum kaun tumhara naam he kya
Kuch hum se tum ko kaam he kya
Kyun is majme main aayi ho
Kuch maangti ho kuch laai ho
Ye kaarobaar ki batain hain
Ye naqd udhar ki batain hain
Hum bethe hain kashkol liay
Sub umer ki naqdi khatam kiye
Gr sher ke rishte aayi ho
To samjho jald judai ho
Ab geet gaya sangeet gaya
Haan sher ka mausam beet gaya
Ab patjhar aai paat girain
Kuch subah girain kuch raat girain
Ye apne yaar purane hain
Ik umer se hum ko jane hain
In sub ke paas he maal buhut
Haan! Umer ke mah-o-saal bohat
In sub ko hum ne bulaya hai
Aur jholi ko phelaya hai
Tum jao in se baat karain
Hum tum se na mulaqat kerain
Kya paanch baraas?
Kya apni umer ke paanch baras?
Tum jaan ki theli laai ho ?
Kya pagal ho? Sodayi ho ?
Jub umar ka aakhir aata hai
Her din sadyian ban jata hai
Jeene ki hawis hi nirali hai
He kaun jo is se khali hai
Kya maut se pehle marna hai?
Tum ko to bohat kuch kerna hai ?
Phir tum ho hamari kaun bhala
Haan tum se hamara kia rishta
Kis sood biyaj ka laaluch he
Kisi aur khiraj ka laaluch he
Tum sohni ho man mohni ho
Tum jaaker poori umer jio
Ye paanch baras ye chaar baras
Chhin jayen to lagain hazaar baras
Sab dost gaye sab yaar gaye
The jitne saahukaar gaye
Bus aik ye naari bethi hai
Ye kaun he kya he kesi hai
Haan umer hamain darkaar bhi he
Haan jeene se hamain pyar bhi he
Jub maangain jeevan ki gharrian
Gustaakh akhiyan kithe ja larrian
Hum qarzz tumhain lauta den ge
Kuch aur bhi gharrian laa den ge
Jo saa-at o maah o saal nahi
Wo gharian jin ko zawaal nahi
Lo apne ji main utaar liya
Lo hum ne tum se udhaar liya..

Watch Video



Akele chorr jate ho, yeh tum acha nahin karte..

Video Shayari

Akele chorr jate ho, yeh tum acha nahin karte,
Hamara dil jalaate ho, yeh tum acha nahin karte,

Kya yeh bhi mohabbat hai, mohabbat hi issey rakho,
Tamasha tum banaate ho, yeh tum acha nahin karte,

Uthaate ho sar-e-mehfil, falak tak tum humen lekin,
Utha kar jo giraate ho, yeh tum acha nahin karte,

Kabhi jo pooch lain tum se, ke rishta kya hai ab hum se,
To nazron ko jhukaate ho, yeh tum acha nahi karte..

Watch Video



Sheher ke dukaan-daro tum na jaan paao ge..

Video Shayari

sheher ke dukaandaro tum na jaan pao ge

Sheher ke dukaandaro,
Karobaar-e-ulfat main suud kya ziyaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,
Dil ke daam kitne hain,
Khawb kitne mehnge hain,
Aur nakd-e-jaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,

Koi kese mitla hai,
Phool kese khilta hai,
Ankh kese jhukti hai,
Saans kese rukti hai,

Kese raah nikalti hai,
Kese baat chalti hai,
Shauq ki zubaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,

Shehr ke dukaandaro,
Vasl ka sukoon kya hai,
Hijr ka junoon kya hai,
Hussn ka fasoon kya hai,
Ishq ka daroon kya hai,

Tum mareez -e- danaayi,
Masslehat ke shedaayi,
Raah-e-gumrahaan kya hai,
Tum na jaan paao ge,

Shehr ke dukaandaro,
Zakhm kese phhalte hain,
Daagh kese jalte hain,
Dard kese hota hai,
Koi kese rota hai,

Ashq kya hai naalay kya,
Dasht kya hai chhaalay kya,
Aah kya fughaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,

Na-muraad dil kese subah shaam karte hain,
Kese zinda rehte hain aur kese marte hain,
Tum ko kab nazar aayi, ghamzadon ki tanhayi,
Zeest be-amaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,

Jaanta hoon main tum ko Zauq-e-shayari bhi hai,
Shakhsiyat sajaane main ik yeh maahri bhi hai,
Phir bhi harf chuntey ho,
Sirf lafzz Sunte ho,
In ke darmiyaan kya hai,
Tum na jaan pao ge..

Watch Video



Khuda karay ke meri arz-e-pak per utre..

Video Shayari

Khuda karay ke meri arz-e-pak per utre,
Wo fasl-e-gul jisse andesha-e-zawaal na ho,

Yahan jo phool khilay, khila rahe sadiyon,
Yahan khizaan ko guzarne ki bi majaal na ho,

Yahan jo sabza ugay, hamesha sabz rahe,
Aur aisa sabz key jis ki koi missaaal na ho,

Khuda karay ke na kham ho sir-e-waqar-e-watan,
Aur is ke husn ko tashweesh -e- mah-o-saal na ho,

Her aik fard ho, tehzeeb-o-fun ka oaj-e-kamaal,
Koi maalool na ho, koi hassta haal na ho,

Khuda kare ke meray aik bhi hum’watan ke liye,
Hayaat jurm na ho, zindagi wabaal na ho,

Watch Video



Dard phail jaye to, Aik waqt aata hai..

Video Shayari

Dard phail jaye to,
Aik waqt aata hai,
Dil dharakta rehta hai,
Aarzu guzeedon k hausle nahi chalte,
Dasht-e-beyaqeeni main aasray nahin chalte,
Raah’rawon ki aankhon main manzilen na jab tak hon,
qafiley nahi chalte!
Aik zara tawajah se dekhiye to khulta hai
Log un pe chalte hain,
rastey nahi chalte,
Sochne samajhne se,
sath sath chalne se,
Duriyan simatti hain,
fasiley nahi chalte,

Khwab khwab aankhon main rat’jage nahi chalte,
Darguzar k halqey main masley nahin chalte,
Do dilon ki qurbat mei teesra nahi hota,
Waastey nahin chalte,
Bakht saath chalta hai taley aazmaaon ke,
Waqt raam karney main,
tajziyon ke daao kya,
Tajrubae nahin chalte,

Ishq k ilaaqae main hukm-e-yar chalta hai,
Zabitae nahi chalte,
Husn ki adaalat main,
aajizi to chalti hai,
Martabey nahi chalte,
Dosti k rishton ki parwarish zaroori hai,
Silsilae taaluq ke khud se ban to jaate hain,
Lekin in shagufon ko tutnae bikharnae se rokna bhi parta hai,
Chahaton ki mitti ko, aarzoo k podoon ko seenchna bhi parta hai,
Ranjishon ki baaton ko bhulna bhi parta hai..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Video Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari