Video Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Video Shayari Poetry. Feel free to add your own Video Shayari Shayari here.

Video Shayari Collection

Video Poetry is shayari in video format. Video Shayari is recited by a female or male so that shayari lovers can hear it and watch it being recited. This type of audio shayari which can either be in urdu or in hindi is immensely popular among teenagers who don’t just like reading poetry but prefer listening to poetry in attractive voices.
Video poetry lovers usually like poetry in girls voices so we will try to record our audio and video shayari in female voices. We produce these poetry videos ourself.



Bemaar ko maraz ki davaa deni chahiye..

Video Shayari

Bemaar ko maraz ki davaa deni chahiye,
Main peena chahta hoon pilaa deni chahiye,

Allah barkaton se navaaze ga ishq mein,
Hai jitni puunji paas laga deni chahiye,

Dil bhi kisi faqeer ke hujray se kamm nahin,
Duniyaa yahin pe laa ke chupaa deni chahiye,

Main khud bhi karna chahta hoon apna saamna,
Tujh ko bhi ab naqaab uthaa deni chahiye,

Main phool hoon to phool ko guldaan ka naseeb,
Main aag hoon to aag bujhaa deni chahiye,

Main taaj hoon to taaj ko sar pr sajaayen,
Main khaak hoon to khaak urraa denni chhahiye,

Main jabr hoon to jabr ki taayeed band ho,
Main sabr hoon to mujh ko dua deni chahiye,

Main khawb hoon to khawb se chaunkaayiye mujhe,
Main neend hon to neend urraa deni chahiye,

Sach baat kaun hai jo sar-e-aam keh sake,
Main keh raha hoon mujh ko sazaa deni chahiye..

Watch Video



Ab aayen ya na ayen idhar puuchte chalo..

Video Shayari

Ab aayen ya na ayen idhar puuchte chalo,
Kyaa chahti hai un ki nazar puuchte chalo,

Ham se agar hai tark-e-talluq to kya hua,
Yaaro koi to un ki khabar puuchte chalo,

Jo khud ko keh rahe hain ke manzil-shanaas hain,
Un ko bhi kya khabar hai magar puuchte chalo,

Kis manzil-e-muraad ki janib ravaan hain hum,
Ae raah-e-ravaan e khaak-bassar puuchte chalo..

Watch Video



Lagta nahii hai dil mera ujrre dayaar mein..

Video Shayari

in hasraton se keh do kahin aur ja basen

Keh do in hasraton se kahin aur ja basen..

Lagta nahii hai dil mera ujrre dayaar mein,
Kis ki bannii hai aalam e na-paayedaar mein,

Keh do in hasraton se kahin aur ja basen,
Itni jagah kahan hai dil-e-daaghdaar main,

Umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din,
Do aarzuu mei katt gaye do intizaar main,

Kaanton ko mat nikaal chaman se o baaghbaan,
Yeh bhi gulon ke saath pale hain bahaar main,

Bulbul se koi shikwa na sayaad se gila,
Qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar main,

Kitna hai bdnaseeb “zafar” dafn ke liye,
Do gaz zameen bhi na mili kuu-e-yaar main..



Chehre pe khushi chhaa jaati hai ankhon me suruur aa jata hai..

Video Shayari

Chehre pe khushi chhaa jaati hai ankhon me suruur aa jata hai,
Jab tum mujhe apna kehte ho apne pe ghuruur aa jata hai,

Tum hussn ki khud ik duniyaa ho shayed ye tumhe maluum nahin,
Mehfil mei tumhaare aaney se har cheez pe nuur aa jata hai,

Hum paas se tum ko kya dekhen tum jab bhi muqaabil hote ho,
Betaab nigahon ke aagay pardaa sa zaruur aa jata hai,

Jab tum se mohabbat ki hum ne tab jaa ke kahin yeh raaz khula,
Marne ka saleeqa aatey hi jeenay ka shauur aa jata hai..

Watch Video



Jeevan ko dukh, dukh ko aag aur aag ko paani kehte..

Video Shayari

Jeevan ko dukh, dukh ko aag aur aag ko paani kehte,
Bache lekin soye huye they kis se kahaani kehte,

Sach kehne kaa hosla tum ne cheen liya hai warna,
Sheher mei phailli viraani ko sab viraani kehte,

Waqt guzarta jaata aur yeh zakhm harey rehte to,
Barri hifaazat se rakhi hai teri nishaani kehte,

Woh to shayed dono kaa dukh eik jaisa tha warna,
Hum bhi pathar maarte tujh ko aur deewani kehte,

Tabdeeli sachaayi hai is ko maante lekin kaise,
Aayine ko dekh ke ik tasveer puraani kehte,

Tera lehjaa apnaaya ab dil me hasrat si hai,
Apnii koi baat kabhi to apni zubaani kehte,

Chup reh kar izhaar kiya hai keh sakte to “aanis”,
Aik elaahida tarzz e sukhan ka tujh ko baani kehte..

Watch Video



Kab laut ke aao ge bataa kyun nahin dete..

Video Shayari

Kab laut ke aao ge bataa kyun nahin dete,
Deewaar bahaanon ki giraa kyun nahin dete,

Tum paas ho mere to pataa kyun nahin chalta,
Tum duur ho mujh se to sadaa kyun nahin dete,

Ik tere siwa aur kisi ko bhi na chaaha kabhi,
Yeh baat zamaane ko bataa kyun nahin dete,

Bahar ki havaaon ka agar khauf hai itna,
Jo roshni andar hai bhujaa kyun nahin dete..

Watch Video



Dil-e-nadaan tujhe huaa kya hai..

Video Shayari

Dil-e-nadaan tujhe huaa kya hai,
Aakhir iss dard ki davaa kya hai,

Ham hain mushtaaq aur woh be-zaar,
Yaa ilaahi yeh maajraa kyaa hai,

Main bhi muu mei zabaan rakhta hoon,
Kaash puucho ke mudaa.aa kya hai,

Jab ke tujh bin nahin koi maujood,
Phir yeh hungama ae khudaa kya hai,

Yeh pari-chehra log kaise hain,
Ghamzaa-o-ishvaa o adaa kya hai,

Shikkan-e-zulf-e-ambreen kyun hai,
Nigah-e-chashm-e-suurma saa kya hai,

Sabza o gul kahaan se aaye hain,
Abr kya hai cheez hai havaa kya hai,

Ham ko un se wafaa ki hai umeed,
Jo nahin jaante wafaa kya hai,

Haan bhalaa kar tera bhalaa hoga,
Aur darvesh ki sadaa kya hai,

Jaan tum pr nisaar karta hoon,
Main nahin jaantaa duaa kya hai,

Main ne maana ke kuch nahin “ghalib”,
Muft haath aaye to buraa kya hai..

دل_ناداں تجھے ہوا کیا ہے - مرزا غالب

Watch Video



Ajeeb saaneha mujh pr guzar geya yaar..

Video Shayari

Ajeeb saaneha mujh pr guzar geya yaaro,
Main apne saaye se kal raat ddar geya yaaro,

Har eik naqssh tamanna ka ho geya dhundlaa,
Har ek zakhm mere dil kaa bhar geya yaaro,

Bhattak rahi thi jo kashti woh gharq -e- aab hui,
Charrha hua tha jo dariyaa utar geya yaaro,

Woh kaun tha woh kahaan ka tha kya hua tha ussey,
Sunaa hai aaj koi shakss mar geya yaaro,

Main jis ko likhne ke armaan mein jiyaa ab tak,
Varq varq woh fasaana bikhar geya yaaro..

Watch Video



Badan main utre thakkan ke saaye to neend aaye..

Video Shayari

Badan main utren thakkan ke saaye to neend aaye,
Yeh dil kahaani koi sunaaye to neend aaye,

Lambi lambi hath ki hatheli pe muskuraa ke,
Chiraagh-e-maada koi jalaaye to neend aaye,

Havaa ki khawhish pe kaun aankhen ujaarrta hai,
Diye ki lau khud se thartharaaye to neend aaye,

Tamaam shab jaagti khamoshi main uss ko socha,
Woh zair-e-lab geet gungunaaye to neend aaye,

Bass aik aansuu bohat hai mere jaagne ko,
Yeh ik sitaara koi bujhaaye to neend aaye..

Watch Video



Ek taaza hikayet hai..Ek shakss ko chaaha tha..

Video Shayari

Ek shakss ko chaaha tha
Taaron ki tarah hum ne
Ek shakss ko chaaha tha
Apnon ki tarah hum ne
Ek shakss ko samjha tha
Phoolon ki tarah hum ne

Woh shakss qayamat tha
Kyaa uss ki karen baaten
Din uss ke liye paida
Aur uss ki hi theen raaten
Kab miltaa kisi se tha
Hum se theen mulaaqaaten
Rang uss ka shahaabi tha
Zulfon me theen mehkaaren
Aankhen theen ke jaadu tha
Palken theen ke talwaaren
Dushman bhi agar dekhe
Sau jaan se dil haarey

Kuch tum se hi woh milta tha
Baaton mei shabaahat thi
Haan tum saa hi lagta tha
Shokhi mei sharaarat mein
Lagta bhi tumhi sa tha
Dastoor-e-mohabbat mein

Woh shakss humen aik din
Apnon ki tarah bhoola
Taaron ki tarah dooba
Phoolon ki tarah toota
Phir haath na aaya woh
Hum ne to bohat dhoondha

Tum kis liye chonkay ho
Kab zikr tumhara hai
Kab tum se taqaaza hai
Kab tum se shikaayet hai
Ek taaza hikayet hai
Sun lo to inaayat hai
Ek shakss ko chaaha tha
Taaron ki tarah hum ne..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Video Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari