Video Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Video Shayari Poetry. Feel free to add your own Video Shayari Shayari here.

Video Shayari Collection

Video Poetry is shayari in video format. Video Shayari is recited by a female or male so that shayari lovers can hear it and watch it being recited. This type of audio shayari which can either be in urdu or in hindi is immensely popular among teenagers who don’t just like reading poetry but prefer listening to poetry in attractive voices.
Video poetry lovers usually like poetry in girls voices so we will try to record our audio and video shayari in female voices. We produce these poetry videos ourself.



Ab ke uss ki ankhon main be-sabab udaasi thi

Video Shayari

Ab ke uss ki ankhon main
Be-sabab udaasi thi
Ab ke uss ke chehre pr
Dukh tha, be-hawaasi thi
Ab ke yuun mila mujhse
Yuun ghazal suni jese
Main bhi na-shanaasa hoon
Woh bhi ajnabi jese
Zard haal-o-hadh us ke
Sogwaar daaman tha
Ab ke uss ke lehje mein
Kitna khurdraa-pan tha
Woh ke umar bhar jis ne
Sheher bhar ke logon mein
Mujh ko hum-sukhan jaana
Khud sa meherbaan samjha
Mujh ko dilrubaa likha
Ab ke saada kaghaz pr
Surkhh roshnaayi se
Uss ne talkhh lehje mein
Mere naam se pehle
Sirf bewafa likha
Sirf bewafaa likhaa..

Watch Video



Mohabbaton main har aik lamhaa visaal ho ga..

Video Shayari

Mohabbaton main har aik lamhaa visaal ho ga yeh tehh hua tha,
Bicharr ke bhi aik duusre ka khayaal ho ga yeh tehh hua tha,

Wohi hua na, badalte mausam main tum ne hum ko bhulaa diya,
Koi bhi rut ho, na chahton ko zawaal ho ga yeh tehh hua tha,

Yeh kya ke saansain ukharr gayi hain safar ke aghaaz hi se yaro,
Koi bhi thhak kar na raaste me niddhaal ho ga yeh tehh hua tha,

Judaa huye hain to kya hua phir, yehi to dastoor-e-zindagi hai,
Judaaiyon main na qurbaton ka malaal ho ga yeh tehh hua tha,

Chalo ke “faizan” kashtiyon ko jalaa dein gumnaan sahilon pr,
Ke ab yahan se na wapsi ka sawaal ho ga yeh tehh hua tha..

Watch Video



Kahan aa ke rukne they raste kahan morr tha ussay bhool ja..

Video Shayari

Woh jo mil geya usay yad rakh

Kahan aa ke rukne they raste kahan morr tha ussay bhool ja,
Woh jo mil geya ussay yaad rakh jo nahin mila ussay bhool ja,

Woh tere naseeb ki barishen kisi aur chhhat pe barass gayin,
Dil-e-bekhabar meri baat sun ussay bhool ja ussay bhool ja,

Main tou gum tha tere hi dheyan main teri aas tere gumaan me,
Sabaa keh gayi mere kaan me mere sath aa ussay bhool ja,

Kisi aankh main nahin ashk-e-gham tere baad kuch bhi nahin hai kamm,
Tujhe zindagi ne bhulaa diya tu bhi muskuraa ussay bhool ja,

Kahin chaak-e-jaan ka rafuu nahin kissi aasteen pe lahuu nahin,
Ke shaheed-e-raah-e-malaal ka nahin khuun bahaa ussay bhool ja,

Kyun attaa hua hai ghubaar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein,
Woh jo dard tha tere bakht main so woh ho geya ussay bhool ja,

Woh na aankh hi teri ankh thi woh na khawb hi tera khawb tha,
Dil-e-muntazir to yeh kis liye tera jaagna ussay bhool ja,

Tou yeh hai kis liye shab-e-hijar ke ussay har sitare me dekhna,
Woh falak ke jiss pe mile they hum koi aur tha ussay bhool ja,

Tujhe chaand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khillaa tha jo,
Woh tha aik daryaa visaal ka sau utar geya ussay bhool ja..

Watch Video



Abhi kuch bhi nahin badla..

Video Shayari

Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton per wohi mausam,
Abhi tak muskuraate hain,
Abhi tak surmayi shaamen,
Hamare sath roti hain,

Abhi tak mere hontton pe,
Tumhare ehmari honton
ki khushbuu raqss karti hai,
Abhi tak meri aankhon me
Tumhare khawb hanste hain,

Abhi tak mere hathon pe,
Tumhari ungliyon ke naram poron se
Likhe sab harff zinda hain,
Abhi tak mere seeney me
Tumhare saans chalti hai,

Abhi tak raaston pe
Doodhiya pairon se parrne wale
Saare nakshh qayem hain,
Abhi tak almaariyon main
Saare tohfay gungunaate hain,

Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhaayi me,
Mujhse tumhari baat karte hain,
Bohat se saal guzre hain,
Bohat sa waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaho agar samjho,
Meri maano, to laut aao,
Meri maano, to laut aao..

Watch Video



Cigarette jalaaye betha hoon…

Video Shayari

Cigarette jalaaye betha hoon, chand pal sajaye betha hoon,
Dhuyen se is ke humdum, teri suurat banaye betha hoon,

Yeh jaanta to hoon main ke hai aadat bohat buri yeh,
Pr aadatan hi to main duniya bhulaaye betha hoon,

Nafrat thi na tumhe bhi, cigarette ke iss dhuyen se,
Dekho ke baad muddat nafrat jagaaye betha hoon,

Ik woh bhi waqt tha ke dil jalta tha iss dhhuyen se,
Aaj khud hi apne haath se dil ko jalaaye betha hoon,

Keh de koi to jaa ke mere hamnasheen ko maani,
Aa ke sambhaale mujh ko, main zindagi bhulaye betha hoon..

Watch Video



Meri zindagi to firaaq hai, woh azzal se dil main makeen sahi..

Video Shayari

Meri zindagi to firaaq hai, woh azzal se dil main makeen sahi,
Woh nigaah-e-shoq se door hai, rag-e-jaan se laakh qareen sahi,

Humen jaan deni hai aik din, woh kisi tarah woh kahin sahi,
Humen aap kheenchiye daar pr, jo nahin koi to humii sahi,

Sar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, humen intizaar qabool hai,
Woh kabhi mile woh kahin mile, woh kabhi sahi woh kahin sahi,

Na ho un pe kuch mera bass nahin, ke yeh ashiqui hai havass nahi,
Main unhi ka tha main unhi ka hoon, woh mere nahi to nahi sahi,

Mujhe bethne ki jagha mile, meri aarzuu ka bharam rahe,
Teri anjuman me agar nahin, Teri anjuman ke qareen sahi,

Tera dar to na hum ko mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi,
Humen sajdaa karne se kaam hain, jo wahan nahin to yahin sahi,

Meri zindagi ka naseeb hai, nahin door mujh se qareeb hai,
Mujhe uss ka gham to naseeb hai, woh agar nahin to nahin sahi,

Jo ho faisla woh sunaayiye, ussey hashar pr na uthaayiye,
Jo karen ge aap sitam wahan, woh abhi sahi woh yahin sahi,

Unhe dekhne ki jo lau lagi, to Naseer dekh hi lain ge hum,
Woh laakh aankh se door hon, woh hazaar parda-nasheen sahi..

Watch Video



Agarche tujhse bohat ikhtilaaf bhi na hua..

Video Shayari

Agarche tujh se bohat ikhtilaf bhi na hua

Agarche tujhse bohat ikhtilaaf bhi na hua,
Magar yeh dil teri janib se saaf bhi na hua,

Taluqaat ke barzakh main hi rakha mujh ko,
Woh mere haq main na tha aur khilaaf bhi na hua,

Ajab tha jurm-e-mohabbat ke jis pe dil ne mere,
Sazaa bhi paayi nahin aur maaf bhi na hua,

malaamton main kahan saans le saken ge woh log,
Ke jin se kuye-jafaa ka tawaaf bhi na hua,

Ajab nahin hai ke dil par jammi mili kaayi,
Bohat dinon to yeh hozz saaf bhi na hua,

hawaa-e-dakhar humen kis liye bujhati hai,
Humen to tujhse kabhi ikhtilaaf bhi na hua..

Watch Video



Mumkin hai chashm-e-nam ko sitara na kar sako..

Video Shayari

Mumkin hai chashm-e-nam ko sitara na kar sako,
Mumkin hai tum bhi koi ishara na kar sako,

Mumkin hai zeher de ke ataa kar do zindagi,
Mumkin hai yeh karam bhi dobara na kar sako,

Mumkin hai mera hukam bhi tum ko bhi kabool ho,
Mumkin hai iltijaa bhi gavaara na kar sako,

Mumkin hai do qadam pe badal jao raasta,
Mumkin hai umar bhar bhi kinaara na kar sako,

Mumkin hai mere baghair bhi bassar kar lo zindagi,
Mumkin hai apne saath bhi guzaara na kar sako..

Watch Video



Ab kis se kahen aur kon sune jo haal tumhare baad hua..

Video Shayari

Ab kis se kahen aur kon sune jo haal tumhare baad hua,
Is dil ki jheel si ankhon main ik khawb bohat barbaad hua,

Yeh hijr-hava bhi dushman hai is naam ke saare rangon ki,
Woh naam jo mere honton pr khushbuu ki tarah abaad raha,

Us sheher me kitne chehre they kuch yaad nahi sab bhool gaye,
Ik shakss kitabon jesa tha woh shakss zubaani yaad hua,

Woh apne gaaon ki galiyan thi dil jin main nachta gaata tha,
Ab iss se fark nahi parta nashaad hua ya shaad hua,

Benaam satayesh rehti thi in gehri saanvli aankhon main,
Aissa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua..

Watch Video



Tere gale main jo baahon ko daal rakhte hain..

Video Shayari

Tere gale main jo bahon ko daal rakhte hain,
Tujhe manane ka kesa kamaal rakhte hain,

Tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir hum,
Bohat se kaam muqadar par taal rakhte hain,

Koi bhi faisla hum soch kar nahin karte,
Tumhare naam ka sikka uchhaal rakhte hain,

Tumhare baad ye aadat si ho gayi apni,
Bikharte sookhtey patey sambhaal rakhte hain,

Khushi si milti hai khud ko aziyaten de kar,
So jaan boojh kar dil ko nidhaal rakhte hain,

Kabhi kabhi woh hans kar dekh lete hain,
Kabhi kabhi mera be-hadh khayal rakhte hain,

Tumhare hijar mein ye haal ho gaya apna,
Kisi ka khat ho ussey bhi sambhaal rakhte hain,

Khushi mile to tere baad khushi nahin hoti,
Hum apni aankh mein har dam malaal rakhte hain,

Zamane bhar se bacha kar wo apne aanchal mein,
Mere wajood ke tukrre sambhal rakhte hain,

Kuch is liye to behaal ho gaye hum log,
Tumhari yaad ka be-hadh khayaal rakhte hain..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Video Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari