Video Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Video Shayari Poetry. Feel free to add your own Video Shayari Shayari here.

Video Shayari Collection

Video Poetry is shayari in video format. Video Shayari is recited by a female or male so that shayari lovers can hear it and watch it being recited. This type of audio shayari which can either be in urdu or in hindi is immensely popular among teenagers who don’t just like reading poetry but prefer listening to poetry in attractive voices.
Video poetry lovers usually like poetry in girls voices so we will try to record our audio and video shayari in female voices. We produce these poetry videos ourself.



Woh zindagi se ankh chura kar chala geya..

Video Shayari

Woh zindagi se ankh chura kar chala geya,
Chehra rida-e-gul main chupa kar chala geya,

Baar-e-gham-e-jahan se subak-dosh kya hua,
Hum par pahaarr gham ke giraa kar chala geya,

Dard aashnaa dilon ko na bhoole ga woh kabi,
Aesa dilon par naqsh bithaa kar chala geya,

Woh raazdar-o-shero-sukhan aashnaa-fun,
Mehfil main apna rang jamaa kar chala geya,

Sehraa-e-jahan main aabla-paayi ke bawjood,
Fikr o nazar ke phool khila kar chala geya,

Sar-daman udaas chaman sogwaar hai,
Mastay huyon ko pal me rulaa kar chala geya,

Apni misaal aap tha ae “qutab” woh “naseer”,
Jo apni aabo-taab dikha kar chala geya..

Watch Video



Rishte kab toota karte hain..

Video Shayari

Tum jitna bhi chaho lekin,
Rishte kab toota karte hain,

Rishte chahe toot bhi jayen,
Toote rishte bhi rishte hain,
Kab koi azaad hua hai,
In rishton ki zanjeeron se,
Rishte kab toota karte hain,
Man main sochi tadbeeron se,

Hum se door to ho jate hain,
Pr kab mitt paate hain rishte,
Jeevan ke sehraa main,
Shadaabi laate hain rishte,

Faasle paida karke aese,
Rote rehna bhi rishte hain,
Sheeshon se aur deewaron se,
Baaten karna bhi rishte hai,

Pal pal aankhon ke saahil se,
Dard ki mojain aa milti hain,
Khoon ke aansuu dil rota hai,
Jab jab bhi kalliyan khilti hain,

Rishton ke dehleez pe jana,
Deewanon ke sar phoote hain,
Tooti hai sanson ki dori,
Lekin rishte kab toote hain,

Tum rishte khone main koshan,
Hum rishte bunne main koshaan,
Apni apni koshish le ker,
Mar jayen ge hum tum dono,
Yunhi zinda reh jayen ge,
Toote phoote rishte saare..



Yeh jo deewane se do chaar nazar aate hain..

Video Shayari

Yeh jo deewane se do chaar nazar aate hain,
In main kuch saahab-e-asraar nazar aate hain,

Teri mehfil ka bharam rakhte hain so jaate hain,
Warna yeh log to bedaar nazar aatey hain,

Door tak koi sitaara hai na koi jugnuu,
Marg-e-umeed ke asraar nazar aate hain,

Mere daaman main sharaaron ke siwa kuch bhi nahin,
Aap phoolon ke khareedaar nazar aate hain,

Kal jisse chhu nahin sakti thi fariston ki nazar,
Aaaj woh ronaq-e-bazaar nazar aate hain,

Hashr main kon gawaahi meri de ga saaghar,
Sab tumhare hi tarfdaar nazar aate hain..

Watch Video



Tere hote janam liya hota..

Video Shayari

Tere hote janam liya hota,
Koi mujh sa na duusra hota,

Saans leta tu aur main jee uthta,
Kash Makkah ki main fizaa hota,

Hijraton main parrao hota main,
Aur tu kuch dair ko ruka hota,

Tere hujray ke aas paas kahin,
Main koi kacha raasta hota,

Beech taayef bawaqt sang-zani,
Tere lab pe saji dua hota,

Kisi ghazway main zakhmi ho ke main,
Tere qadmon main aa gira hota,

Kash ohad main shareek ho sakta,
Aur baaqi na phir bacha hota,

Teri pakeeza zindagi ka main,
Koi gumnaam waqiya hota,

Paani hota udaas chashmon ka,
Tere qadmon pe behh geya hota,

Poda hota main jalte sehraa main,
Aur tere hath se laga hota,

Pairr hota khajoor ka main koi,
Jiss ka phall tu ne kha liya hota,

Tukrra hota main aik baadal ka,
Aur tere sath ghoomta hota,

Aasmaan hota main ehd-e-nabvi ka,
Tujh ko hairat se dekhta hota,

Bacha hota ghareeb bewa ka,
Sar teri gaud main chupa hota,

Rasta hota tere guzarne ka,
Aur tera rasta dekhta hota,

Main koi jangjuu arab hota,
Aur tere saamne jhuka hota,

But hi hota main Khana Kaaba main,
Jo tere hath se fanaa hota,

Main bhi hota tera ghulaam hota,
Lakh kehta na main rihaa hota,

Mujh pe parrti jo teri nazr-e-karam,
Aadmi kya mojzaa hota,

Chobh hota main teri chokhat ki,
Ya tere hath ka aassaa hota,

Khaak hota main teri galliyon ki,
Aur tere paaon choomta hota,

Soot hota main teri chaadar ka,
Aur tere shaanon pe jhoolta hota,

Mujh ko khaaliq banata ghaar “hassan”,
Aur mera naam bhi hira hota..



Tera hijr gavaara kar loon kya..

Video Shayari

Tera hijr gavaara kar loon kya,
Khud se bhi kinara kar loon kya,

Har samt udaasi chaayi hai,
Main ishq dobara kar loon kya,

Ilhaaad nahin ilhaam sahi,
Ik lafz sharaara kar loon kya,

Nelaam huye sab loh-o-qalam,
Khawbon pe guzaara kar loon kya,

Qatraa hi to qulzam hota hai,
Ik aakhri chaara kar loon kya,

In khoon se seenchi ghazlon main,
Main zikr tumhara kar loon kya..

Watch Video



Chalne ka hauslaa nahin rukna muhaal kar diya..

Video Shayari

Chalne ka hauslaa nahin rukna muhaal kar diya,
Ishq ke iss safar ne to mujh ko nidhaal kar diya,

Ae meri gul-zameen tujhe chaah thi ik kitaab ki,
Ehl-e-kitaab ne magar kya tera haal kar diya,

Milte huye dilon ke beech aur tha faasla koi,
Uss ne magar bicharrte waqt aur sawaal kar diya,

Mumkinaa faislon main aik hijr ka faislaa bhi tha,
Hum ne to ek baat ki uss ne kamaal kar diya,

Mere labon pe mohr thi pr mee sheesha-ru ne to,
Sheher ke sheher ko mera waaqif-e-haal kar diya,

Chehera o naam ek saath aaj na yaad aa sake,
Waqt ne kis shabeeh ko khawb o khayaal kar diya,

Mudatton baad us ne aaj mujh se koi gilaa kiya,
Mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya..

چلنے کا حوصلہ نہیں رکنا محال کر دیا - پروین شاکر



Chalo ke kuucha-e-dildaar chal ke dekhte hain..

Video Shayari

Chalo ke kuucha-e-dildaar chal ke dekhte hain,
Kise kise hai yeh aazaar chal ke dekhte hain,

Suna hai aesa maseeha kahin se aaya hai,
Ke us ko sheher ke bemaar chal ke dekhte hain,

Hum apne but ko, zulekha liye hai yusuf ko,
Hai kon ronak-e-bazar chal ke dekhte hain,

Uss aik shakss ko dekho to aankh bharti nahin,
Uss aik shakss ko har baar chal ke dekhte hain,

Woh mere ghar ka kare qassd jab to saaye se,
Kayi qadam dar-o-deewaar chal ke dekhte hain,

Faraz aseer hai us ka ke woh faraz ka hai,
Hai kon kis ka giraftaar chal ke dekhte hain..

Watch Video



Yeh jo saanp-seerhi ka khail hai..

Video Shayari

Yeh jo saanp-seerrhi ka khail hai,
Abhi saath they dono hum-navaa,

Woh bhi aik pe,
Main bhi aik pe,
Ussey seerhi mili woh charrh geya,
Mujhe raaste main hi dduss liya,
Mere bakht ke kisi saanp ne,

Barri door se para lautna,
Zakham kha ke apne naseeb ka,
Woh ninaanvey pe pohanch geya,
Main dus ke phair main hi ghir geya,

Usse aik number tha chahiye,
Jo nahin mila so nahin mila,

Main barrha to barhtaa chala geya,
Buss aik chokke ki baat thi,
Pr us se jeetna meri maat thi,

Maine jaan ki gott ghalat chali,
Aur saanp ke mu main daal di,
Abhi saath they dono hum-navaa..

Watch Video



Mujhe ab dar nahin lagta..

Video Shayari

Mujhe ab darr nahin lagta
kisi ke door jane se
Taluq toot jane se
Kisi ke maan jaane se
Kisi ke rooth jaane se
Mujhe ab Darr nahin lagta

Kisi ko aazmane se
Kisi ke aazmane se
Kisi ko yaad rakhne se
Kisi ko bhool jaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Kisi ko chorr dene se
Kisi ke chorr jaane se
Shamma ko jalaane se
Shamma ko bhujaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Akele muskuraane se
Kabhi ansuu bahaane se
Na iss saare zamaane se
Haqeeqat se fasaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Kisi ki naa-rsaayi se
Kisi ki paa-rsaayi se
Kisi ki bewafaayi se
Kisi dukh intehaayi se
Mujhe ab darr nahin lagta

Na to iss paar rehne se
Na to uss paar rehne se
Na apni zindgaani se
Na ik din maut aane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Watch Video



Kabhi iss tarah se bhi eid kar…

Video Shayari

Kabhi iss tarah se bhi eid kar,
Abhi zid na kar dil-e-bekhabar,
Ke pass-e-hujoom sitam-giraan,
Abhi kon tujh se wafaa kare,

Abhi kiss ko fursaten iss qadar,
Ke samaitt kar teri kirchiyaan,
Tere haq main khud se dua kare,
Abhi zid na kare dil-e-bekhabar,
Ke tah-e-ghubaar e gham-e-jahan,
Kahan kho gaye tere chaaragar,
Ke raah-e-hayaat main raayegaan,
Kahan so gaye tere humsafar,
Abhi ghamgusaron ki chott seh,
Abhi kuch na sun abhi kuch na keh,

Abhi zid na kar mere be-nawaa,
Abhi ho sake to sahii mere,
Sabhi khawb raakh main daffan kar,
Abhi ho sake to yeh soch le,
Ke tuluu-e-ashq se paishtar,
Kahin dard hai to huaa kare,
Koi chott hai to khila kare,

Kabhi yun bhi ho ke sar-e-uffaq,
Tere dukh ka chaand dammak uthe,
Koi tees khud se chamak uthe,
Kisi sheher-e-zakhm farosh main,
Koi zakham khud se khareed kar,
Sabhi akss khud se khurachh kabhi,
Kiisi aayine pe na deed kar,
Kabhi yuun bhi jashn-e-turb mana,
Kabhi iss tarah se bhi eid kar…

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Video Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari