Video Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Video Shayari Poetry. Feel free to add your own Video Shayari Shayari here.

Video Shayari Collection

Video Poetry is shayari in video format. Video Shayari is recited by a female or male so that shayari lovers can hear it and watch it being recited. This type of audio shayari which can either be in urdu or in hindi is immensely popular among teenagers who don’t just like reading poetry but prefer listening to poetry in attractive voices.
Video poetry lovers usually like poetry in girls voices so we will try to record our audio and video shayari in female voices. We produce these poetry videos ourself.



Tera qurb hai na baada hai, kya kiya jaaye..

Video Shayari

Tera qurb hai na baada* hai, kya kiya jaaye,
Phir aaj dukh bhi zeyadaa hai, kya kiya jaaye,

Kuch apne dost bhi turkish-badosh phirte hain,
Kuch apna dil bhi kushaada hai, kya kiya jaaye,

Na un se tark-e-taluq ki baat kar paayen,
Na humdumi ka iraada hai, kya kiya jaaye,

Woh meherbaan hai, magar dil ki hirss* bhi kam to ho,
Talab karam se zeyada hai, kya kiya jaaye,

Humain bhi arz-e-tamanna ka dhangg nahin aata,
Mizaaj-e-yaar bhi saada hai, kya kiya jaaye,

Salook-e-yaar se dil doobne laga hai Faraz,
Magar yeh mehfil-e-aaada hai, kya kiya jaaye..

(baada:libaas, clothes)(hirss:lalach, greed)

Watch Video



Kabhi yoon bhi to ho, Tum aao..

Video Shayari

Kabhi yoon bhi to ho,
Dariyaa ka sahil ho,
Poore chaand ki raat ho,
Aur tum aao,

Kabhi yoon bhi to ho,
Pariyon ki mehfil ho,
Koi tumhari baat ho,
Aur tum aao,

Yeh narm o mulaayam thandi hawayen,
Jab ghar se tumhare guzren,
Tumhari khushbuu churaaye,
Mere ghar le aayen,

Kabhi yoon bhi to ho,
Sooni har manzil ho,
Koi na mere sath ho,
Aur tum aao,

Yeh baadal toot ke barse,
Mere dil ki tarah milne ko,
Tumhara dil bhi tarse,
Tum niklo ghar se,

Kabhi yoon bhi to ho,
Tanhai ho, dil ho,
Boondain hon, barsatain hon,
Aur tum aao,

Kabhi yoon bhi to ho,
Kabhi yoon bhi to ho..

Watch Video



Main dair tak rota raha..

Video Shayari

Kal raat jaane kya hua,
Kuch dair pehle neend se,
Kuch ashk milne aa gaye,
Kuch khawb bhi toote huye,
Kuch log bhi bhoole huye,

Kuch rasta bhattki hui,
Kuch gard main lipti hui,
Kuch be-tarhaan phaili hui,
kuch hole main simtti hui,

Be-rabt si sochain keyi,
Bhooli hui baatain keyi,
Ik shakss ki raatain keyi,
Bohat dair tak jaaga raha,
Sochon main gum betha raha,

Ungli se thande farsh par,
Ik naam bass likhta raha,
Haan, kal raat bhi woh raat thi,
Kuch dair pehle neend se,
Main dair tak rota raha,
Main dair tak rota raha..

Watch Video



Zindagi se eik yehi gila hai mujhe..

Video Shayari

Zindagi se eik yehi gila hai mujhe,
Tu bohat dair se mila hai mujhe,

Tu mohabbat se koi chaal to chal,
Haar jaane ka hausla hai mujhe,

Humsafar chahiye hajoom nahin,
Aik musaafir bhi qafila hai mujhe,

Lab kusha hoon to iss yakeen ke sath,
Qatal hone ka hosla hai mujhe,

Kon jaane ke chahton mein Faraz,
Kya ganwaya kya mila hai mujhe..

Watch Video



Mohabbat rog hoti hai, kaha bhi tha..

Video Shayari

Mohabbat rog hoti hai, kaha bhi tha,
Rulaa ke khud bhi roti hai, kaha bhi tha,

Tum usey dil ki dharti ka pata mat dena,
Yeh is me dard boti hai, kaha bhi tha,

Azal se iss ki aadat hai, rulaate rehna,
Zamane ko jagaa ke aap soti hai, kaha bhi tha..

Watch Video



Laut ke aatey nahin rooth ke jane wale..

Video Shayari

Meri chaahat ka takaaza na nibhaane waale,
Kitne be-dard hain yeh log zamane waale,

Koi apna nahin, matlab ki hai yeh duniya sari,
Ab kahan milte hain woh log puraane waale,

Main dua’go hoon sadaa neendain mubarik tujjhko,
Hijjar ka dard hume de ke jagaane waale,

Bas yeh soch ke har baar manaata hoon tujhe,
Laut ke aate nahin rooth ke jaane waale,

Hamare seeney mein jhaank ke dekho to zara,
Kitne afsurda hain auron ko hasaane waale..

Watch Video



Dard jab teri ataa hai to gila kis se karen..

Video Shayari

Dard jab teri ataa hai to gila kis se karen,
Hijar jab tu ne diya hai to mila kis se karen,

Akss jab toot ke bikhra hai tera aayine ke sath,
Ho gayi zakhm nazar akss chunaa kis se karen,

Main safar main hoon mere sath judai teri,
Humsafar gham hain to phir tujh ko juda kis se karen,

Khil uthen gull ya khulain dast-e-hanaayi tere,
Har tarf tu hai to phir tera pataa kis se karen,

Tere lab, teri nigaahen, tere aaraz, teri zulf,
Itne zinda hain to is dil ko rihaa kis se karen..

Watch Video



Choti si aik naao banane ki dair hai..

Video Shayari

Choti si aik naao* banane ki dair hai,
Daryaa ke paar bas mere jaane ki dair hai,

Aik pal main jaag jaye ga soya hua mehal,
Phir se qadeem geet sunane ki dair hai,

Shehzaadi chal parre gi mere sath khud’bakhud,
Uss se to sirf aankh milane ki dair hai,

Qaleen baadlon main urre ga humain liye huye,
Qadmon main aik baar bichaane ki dair hai,

Sar pe hamare ho ga parindon ka saaybaa’n,
Aik dhoop ki kiran faqat aaney ki dair hai,

Aaney lage gi titliyaan khilne lage ge phool,
Sehraa main ja ke haima* lagane ki dair hai,

Jugnu ki tarah chaand urre ga ird gird,
Sooraj ke khawb’gaah main jaane ki dair hai,

Utrain gi pariyan haath main taarey liye huye,
Nazren falak ki samt uthaane ki dair hai,

Hathon se apni rait pe likhti phire gi naam,
Hum kon hain, hawaa ko yeh bataane ki dair hai..

(nao:kashti,boat)(haima:jhomprri, camp)

Watch Video



Kabhi yaad aye to poochna apni khalwat-e-sham se..

Video Shayari

Kabhi yaad aye to poochna zara apni khalwat*-e-sham se,
Kise ishq tha teri zaat, kise pyar tha tere naam se,

Zara yaad kar ke woh kon tha kabhi tujhe bhi aziz tha,
Woh jo mar mitta tere naam pe, woh jee utha tere naam se,

Humein be’rukhi ka nahin gila, ke yehi wafaaon ka hai silla,
Magar aesa jurm tha konsa, ke gaye hum duaa-o-sallaam se,

Na kabhi visaal ki chaah ki, na kabhi firaaq main aah ki,
Ke mera tareeka-e-bandagi hai judaa tareeka-e-aam se..

(khalwat:privacy)

Watch Video



Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaana’n..

Video Shayari

ab ke tajdeed e wafa ke nahin imkaan jana

Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaanan,
Yaad kya tujh ko dilaayen tera paimaan jaanan,

Yoon hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai,
Kis qadar jald badal jaate hain insaan jaanan,

Zindagi teri ataa thi, so tere naam ki hai,
Hum ne jese bhi bassar ki tera ehsaan jaanan,

Dil yeh kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi,
Dil ki kya baat karen dil to hai nadaan jaanan,

Awal awal ki mohabbat ke nashe yaad to kar,
Be piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanan,

Aakhir aakhir to yeh aalam hai ke ab hosh nahin,
Rag-e-beena sulagg uthi hai rag-e-jaan jaanan,

Muddaton se yeh aalam na tawaqoh na umeed,
Dil pukaare hi chala jaata hai jaanan jaanan,

Hum bhi kya saada they hum ne bhi samajh rakha tha,
Gham-e-doraan se juda hai gham-e-jaanan jaanan,

Ab tera naam bhi shayed hi ghazal mein aaye,
Aur se aur huye dard ke unwaan jaanan,

Hum ke roothi hui rut ko bhi manaa lete they,
Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jaanan,

Hosh aaya to sabhi khawb they raiza raiza,
Jese urrte huye auraaq-e-pareshaan jaanan..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Video Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari