Dard Bhari Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dard Bhari Shayari Poetry. Feel free to add your own Dard Bhari Shayari Shayari here.

Dard Bhari Shayari Collection

Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.



Teray Liye. . . Meray Liye . . .

Dard Bhari Shayari

Dil hatheli per liye sab ne qataar’ain baandh lee’n
Sab ne aankho’n ki sajai kehkasha’n tere liye
Apni umeedo’n k taaray tery aagay rakh diye
Kar diya sab ne zameen ko aasman tery liye

Cactus jaisay hain ye mery dar-o-deewar bhi
Mera kamra hai dasht-e-be-ama’n mery liye
Mein to sardi’on ki thitharti raat ka mehtaab hun
Kon kholta hai ghar ki khirki’an mery liye?



Aisi Deewangi Se Kia Haasil?

Dard Bhari Shayari

Quwwat-e-fikr jis mein ghatt jaye
Zehn tareek’ion mein butt jaye
Dil ghubaar-e-alum mein att jaye
Aadmi zindagi se katt jaye

Aisi deewangi se kia haasil?
Is ghum-e-aashiqi se kia haasil?

Ishq aisa to ho k jiski chamak
Dil ki tareeek’ion ko door kary
Fikr ko aabshaar-e-noor kary
Sheesha-e-ghum ko choor choor kary

Aisi deewangi se kia haasil?
Is ghum-e-aashiqi se kia haasil?



Phool Khilnay Ki Gharri. !

Dard Bhari Shayari

Pehlay aap batain mujh ko
Aap ka chehra peela kyun hai?
Aap k kapray mailay kyun hain?
Wo neeli si shirt kahan hai?
Aap ki leather belt kahan hai?
Ainak k number kyun badlay?
Kyun dhundli dhundli hain aankhain?
Kyun itna likhtay parhtay hain?
Aap k in uljhay baalo’n ko
Kon wahan suljhaata ho ga?
Is wehshi, is Maztar dil ko
kon wahan behlata ho ga?
Wo to dasht hai tanhai ka
Chain wahan kab aata ho ga?

Resham jaisy kitny sawaalo’n k guchay hain
Jo pardes se ghar aaty hi khul jaaty hain
Sochta hun mein
Maa’n, mehbooba aur bivi
Ye teeno’n rishtay
Aapas mein jab mil jatay hain
Jaisay Door kahin sehra mein
Taaza Phool Khil Jaatay Hain. . !



Wo Mery Paas Aa Kar Kharri Ho Gai . . !

Dard Bhari Shayari

Mery haalaat ki abtari dekh kar . .
Us k abbu ne thukra diya tha mujhy . .
Phir achanak wo ik anjuman mein mili . .
Apni khamosh palkain jhukaye huay . .
Wo mery pas aa kar kharri ho gai . .
Chand lamho’n talak khanjar-e-khamoshi ..
Dheeray dheeray kalaij’on mein chalta raha. .
Waqt hairan aankho’n ko malta raha. .
Phir zara daair mein mozu-e-guftugu. .
Apny hath aa gaya. .
Yani mosam, siyasat, ghum-e-zidagi. .
Dair tak us se jee bhar k baatain hui’n. .
Phir wo chaltay huay aik pal ko ruki . .
Mujh se kehny lagi:
Shayari se bhala kia mila aap ko?
Sirf palko’n ka num?
Sirf yaado’n ka ghum?
Aap ki shohratain, aap ko besh-o-kam . .
Kuch na de gi kabhi shayari mohtaram. . !
Mat bura maniye ga meri baat ka. .
Ye taqaza hai mojooda haalaat ka. .
Is liye jan-e-man shayari chorr kar. .
Fann k in raigzaaro’n se munh morr kar. .
Ab Dubai aur Musqat ka rukh kejiye. .
Chand barso’n mein jab aap ki jaib mein. .
Aath dus laakh ho’n. .
Tab watan aaiye. .
Aur abu se phir maang lejiye mujhy. !



Ghar Kis K Liye Veeran Rehta Hai?

Dard Bhari Shayari

Kaha : Din ko bhi ye ghar kis k liye veeran rehta hai?
Yahan kia hum sa koi be-sar-o-saamaan rehta hai?

Dar-o-deewar sannaattay ki chaadar mein hain khuwab’eeda
Bhala aisi jaga zinda koi insan rehta hai?

Musalsal poochnay per aik chilman se jawab aya:
Yahan ik dil shikasta sahib-e-deewan rehta hai

Kaha: Kia is k risht-e-daar bhi nahi milny aaty?
Jawaab aya : Ye sehra raat din sunsaan rehta hai

Kaha : Is k ghar k aangan mein hain kuch phoolo’n k poday bhi
Jawab aaya k khaali phir bhi her guldaan rehta hai.

Khuda ka shukr hai hum ik fiza mein saans laity hain
Agar milty nahi, itna to itminaan rehta hai . !



Awaaz Ka Rishta. . .

Dard Bhari Shayari

Bus yunhi rasmi rasmi sa
Ik be-mafhoom ta’aruf tha
Us ne mera number mang liya
Phir ik din telifone kiya
Phir fone kiya..
Phir fone kiya..
Ik roz thi barish zoro’n per
Baadal garjay, Bijli chamki
Phir boondai’n barsi khirki per
Tab uska telifone aya
Be-saakhta meine us se kaha
Barsaat mein tanhai ki saza
Kyun deti ho?
Kyun karti ho tum fone mujhy?
Kuch lamho’n tak wo chup si rahi
Phir kehnay lagi:
Jo aap ka dheema lehja hai
Mujhy be-hadd acha lagta hai
Awaaz jo ap k honto’n se
Tashna kaano’n tak aati hai
MUJHY “USKI” YAAD DILATI HAI…!



Kis kashmakash mein hoon..

Dard Bhari Shayari

Yeh kashmakash alag hai ke kis kashmakash mein hoon,
Aata nahin samajh mein, bohat sochtaa hoon main..



Butt banay bethna , Pahlo main badaltay rahna

Dard Bhari Shayari

Butt banay bethna , Pahlo main badaltay rahna,
Milna khosh khosh magar andar sa Pighaltay rahna..



Bhula dia mujhe zaalim nay aadatan bhi magar

Dard Bhari Shayari

Bhula dia mujhe zaalim nay aadatan bhi magar,
Wo baat kay jis say yaad aoon mujh main thi bhi nahi..



Bay mahriy’e hayaat ki shidat kay bawajood dil mutma’in

Dard Bhari Shayari

Bay mahriy’e hayaat ki shidat kay bawajood dil mutma’in
Tha jab kay meray saath tab tum bhi thay


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari